Tuesday 2 January 2018

Tarhi Misra: Sham,e haq bujhane ko AandhiyaN tarasti haiN

[09/12/2017]
🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Sham,e haq bujhane ko AandhiyaN tarasti haiN*

*شمعِ حق بجھانے کو آندھیاں ترستی ہیں*

Qafiya: 👉 *AandhiyaN*
Radeef : 👉 *Tarasti Hain*

Misra by👉🏻  *Altaf Haidari Maroofi*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam  aur qata aap hazraat ke peshe khidmat hai.

1. Janab Masoom Haidari Maroofi sb

Tum se koyi jab puche kah do haN tarasti hain

Ab bhi unke jalwe ko putliyaN tarasti hain
🌹
Bhej de khuda mere Fatema ko duniya me

is zameeN pe jeene ko betiyaN tarasti hain
🌹
Shahre mustafa tune jo maqaam paya hai

Aisi shan ko sari bastiyaN tarasti hain
🌹
Sarwar e do Aalam ki haiN fazeelateN kitni

Ye shumar karne ko gintiyaN tarasti hain
🌹
FATEMA NE CHADAR KO YUn BANA DIYA FANOOS

SHAM,E HAQ BUJHANE KO AAnDIYAn TARASTI HAIN
🌹
fatema ki roti to khuld ki gheza thahri

Jane kitne hathoN ki rotiyaN tarasti hain
🌹
Be zobaN k jhoole se sab ne paayiN aulaadeN

Fir main kis tarah likkhuN godiyaN tarasti hain
🌹
Shauq e deed me yuN hai haal pyasi nazroN ka

Jis tarah se pani ko machhliyaN tarasti hain
🌹
Eek sul,he shabbar se zulm ki ye haalat hai

Muztarib hain talwareN barchhiyaN tarasti hain
🌹
Murtaza ki chaukhat pe shaad huN main ay MASOOM

dar badar hain jo unki jholiyaN tarasti hain

🌹

2. Janab Altaf Maroofi sb

Deed e murtaza hogi putliyaN tarasti hain

SaaNs ke rawaabit me dooriyaN tarasti hain
🌹
Zulfeqar e Haider ki kaat ka asar dekho

BooNd booNd pani ko HaddiyaN tarasti hain
🌹
Mimbar e welayat ka Aaj bhi hai ek waris

Han magar Saqeefa ki kursiyaN tarasti hain
🌹
Karbala me Akbar ne hal aisa kar dala

Apne haale khasta pr barchiyaN tarasti hain
🌹
Dam na tod de suraj tashnagi k chehre pr

BadliyaN tabassum k darmiyaN tarasti hn
🌹
Gham zada aseeroN ne fat,h karbala kr li

Masnad e hokumat pr shekhiyaN tarasti hain
🌹
Sirf chand sikkoN me khuld bik gayi lekin

Sar jhukaye daulat ki garmiyaN tarasti hain
🌹
Aasman se tara ja raha hai Soowe Haq

Ghar saja e ShaikhoN ki bastiyaN tarasti hain
🌹
Fanne shayri aisa mil gaya tujhe Altaf

UngliyaN uthane ko hastiyaN tarasti hain

🌹

3. Janab Kaifi kalkatwi sb
*BISMILLAH*

*Ungliyaa'n tarasti hai'n mutthiyaa'n tarasti hai'n*
*Nusrat e imamat ko hastiyaa'n tarasti hain*

*Jaane kab muyassar ho tishnagi shahadat ki*
*Be-qaraar dhadkan hai hichkiyaa'n tarasti hai'n*

*Haadiy e zamaana ab aaiiye riza le kar*
*Naqsh e paa ke boso'n ko wadiyaa'n tarasti hai'n*

*Be sahara maaei'n hai'n ghamzada se bachche hai'n*
*Deed ko teri moula bastiyaa'n tarasti hai'n*

*Phir padar ki khwahish mei'n roz o shab tadaptie'n hai'n*
*Kyu'n kaniz e zehra ki betiyaa'n tarasti hai'n*

*Ishq e rab ne pohnchaya ilm ko balandi par*
*Dekh ye zamaane ki pastiyaa'n tarasti hai'n*

*Garche parda e ghaibat mei'n hamare haadi hai'n*
*Sham,e haq bujhane ko Aandhiya'n tarasti hai'n*

*Khushboo e imamat ki ik mahek hi kaafi hai*
*Dil ke baagh mei'n kaifi titliyaa'n tarasti hai'n*

🌹

4. Janab Suhail Waasti sb

Yun areeza pane ko machliyan tarasti h,
phool ke liye jaise titliyan tarsti h"
1)
naam leke haider ka ghar se jab nikalta hu'
mere pas aane ko tngiyan tarasti h"
2)
nauha khwani krne ko dil mera machalta h,
or alam uthane ko mutthiyan trasti h"
3)
dar par se meesum ne jaisi madh e haider ki'
aisi madha sun ne ko suliyan trasti h'
4)
ism e rab ki azmat ka jab imam zamin ho'
sham e haq bujhane ko aandhiyan tarasti h"
5)
shah e deen ki masooma sham me akeli h'
chadaren h afsurda baliyan tarsti h"
6)
hind aai zindaa'n me odhe maqna o chadar'
kya ghazab h ahmad ki betiyan tarasti h'
7)
itne khye h durre ibn e shahe safdar ne'
kuch sokoon pane ko haddiyan tarsti h'

e *suhail* jab fursat kam se nhi milti '
zikr e maula likhne ko ungliyan trasti h"

🌹

5. Janab Mohsin Banarsi ab
💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣
_*बिस्मिल्लाह हिर रहमान निर्ररहीम*_
💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*परचमे जरी से है खुल्द की हवा आती...*_
_*इस हवा-ऐ-जन्नत को बस्तियां तरसती हैं.!!*_

💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*सदके में ही असगर के दे दो अब पिसर मौला...*_
_*दर पे तेरे खाली जो गोदियां तरसती हैं.!!*_

💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*मुन्तज़िर जहां सारा आपका ही है मौला...*_
_*आपकी ज़ियारत को पुतलियां तरसती हैं.!!*_

💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*ले के हर अरीज़े को जा रहीं हैं कायम तक...*_
_*साल भर इसी दिन को मछलियां तरसती हैं.!!*_

💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*ज़ुल्म की घटाओं को अब हटाइए मौला...*_
_*शम-ऐ-हक बुझाने को आंधियां तरसती हैं.!!*_

💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*पैसों का नहीं सुन लो खेल है ये किस्मत का...*_
_*करबला में जाने को हस्तियां तरसती हैं.!!*_

💐❣💐❣💐❣💐❣💐❣

_*करबला में जो रौज़ा शाहे दीं का है मोहसिन...*_
_*चूमने को उसको ये उंगलियां तरसती हैं.!!*_

🌹

6. Janab Naushad Bijani sb

Ran se bhaag jaata hai chhor kar nabi ko jo.

Haath choomne uska choodiya'n tarsati hai.

Bole mustafa jaao ya ali alam lekar.

Sham,e haq bujhane ko AandhiyaN tarasti hain.

🌹

7. Janab Hasnain Maroofi sb
                        نعت
حسرتیں اُمیدوں کے درمیاں ترستی ہیں

دیدِ شاہِ بطحا کو پتلیاں ترستی ہیں

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
صادقوں کی بستی میں ہر طرف اجالا ہے

کاذبوں کے دنیا کی بستیاں ترستی ہیں

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
صبر کے گلستاں میں جب بہار آتی ہے

ظلم کی قبیلوں کی وادیاں ترستی ہیں

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
مرکزِ محمد میں ہے حصار حیدر کا

شمعِ حق بجھانے کو آندیاں ترستی ہیں

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
قدسیوں کے میلے ہیں آمنہ کی چوکھٹ پر

نکہتوں کے گلشن میں تیتلیاں ترستی ہیں

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
نعتِ مصطفٰی حسنین جب عروج پاتی ہے

دیکھ کر بلندی پر پستیاں ترستی ہیں

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

حسنین معروفی

🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

Hasrate,n umeedo,n ke darmiya,n tarasti hai,n

Deede shaahe bat,ha ko putliya,n tarasti hai,n

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
saadiqo,n ki basti me har taraf ujaala hai

Kaazibo,n ke duniya ki bastiya,n tarasti hai,n

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
sabr ke gulista,n me jab bahaar aati hai

Zulm ke qabeelo,n ki waadiya,n tarsti hai,n

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Markaze mohammad me hai hesaar  haidar  ka

Sama,ae haq bujhaane ko aandhiya,n tarasti hai,n

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
qudsiyo,n ke mele hai,n aamena ki chaokhat par

Nik,hato,n ke me titliya,n tarasti hai,n

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
naate mustafa hasnain jab urooj paati hai

Dekh kar  bulandi par pastiya,n tarasti hai,n

🌹

8. Janab Kumail Nagri sb

Hur tere muqaddar ko hastiyaa'n tarasti hai'n.
Dekh kar bulandi ko pastiyaa'n tarasti hai'n .

🌹

Hur ke rauze ko hure'n dekhti hai'n you'n jaise.
Phool tak pohunchne ko titliyaa'n tarasti hai'n.

🌹

Har sadi ke maathe par aaj bhi ye likha hai.
*Shamme haq bujhaane ko aandhiyaa'n tarasti hai'n*

🌹

Ghar se jab nikalta hai she'h ke rauze ka zaayer.
Choomne qadam uskaa kehkashaa'n tarasti hai'n.

🌹

Zulfeqaar jaane kab phir niyaam se nikle.
Jalwa'h dekhne us ka bijliyaa'n tarasti hai'n.

🌹

Laila tere suraj ke ye sawera hote hi.
Shaam tak ujaale ko badliyaa'n tarasti hai'n .

🌹

Lamha lamha paane ko khusbu phir areeze ki.
Eak saal pani me machliyaa'n tarasti hai'n.

🌹

Dekhne ko jee bhar ke rauza e shehe waala.
Darmiyaan palko'n ke putliyaa'n tarasti hai'n.

🌹

Jis jaga bhi ghazi ka ye alam nahi hota.
Rahmate khuda ko wo bastiyaa'n tarasti hai'n.

🌹

Ay rasool dikhlaado  phir ali ke che'hre ko.
Shauqe deed me qum ki wadiyaa'n tarasti hai'n.

🌹

Sar hai saare shohdaa ka nauke naize ke oopar.
Kaise apne piyaaro'n ko bibiyaa'n tarasti hai'n.

😭

Raahe shaamo kufa me eak kohna chadar ko.
Baweqaar zahra ki betiyaa'n tarasti hai'n.

Wariso'n se kehdena jaa ke fateha🤲🏻 padhlo.
Ay *kumail* qabro'n ki takhtiyaa'n tarasti hai'n.

🌹

9. Janab Anees Abr sb

Auj e deen mit jaaye pastiyaaN tarasti hain,
Sham'e haq bujhaane ko aandhiyaaN tarasti hain..

Be qaraar jhule me be zabaan Asgar(as) hai,
Teg ke liye nanhi mutthiyaaN tarasti haiN..

Kaun hai jahaanoN me aisa saabir o shakir,
Jiske paau ki khatir bediyaaN tarasti haiN...

Ibne saqi e kausar lout aao darya se,
Eyk boond paani ko bibiyaaN tarasti hain..

Aaiye uthakar ab maula parda e gaibat,
Aapki jhalak paane putliyaaN tarasti haiN...

Aatish e jahannum ke waste ye indhan haiN,
Maal ke liye jo bhi pagdiyaaN tarasti haiN..

Abr kab wo aayega jiski chah me ab bhi,
Fatema ke pehlu me pasliyaaN tarasti haiN..

🌹

10. Janab Aaftaab Jafri sb

  Qasr e haq jalaney ko bijliyan tarasti hain

sham e haq bujhaney ko Aandhiyan tarasti hain

Apney pan ka matlab jo waqaee samajhte hain

unke beech aaney ko Talkhiyan tarasti hain

jo maqam Zahra ki khadma ko hasil hai
wo maqam paney ko Raniyan tarasti hain

Boriya nasheeno,n si shan e beniyazi ko
Takht o Taj le kr bhi shahiyan tarasti hain

bus k khaliqe e izzat jisko bakhs de izzat
osko khwar karney ko khwariyan tarsti hain

Sahebaney ismat ke hum hain manney waley
hum se honey ko sarzad galtiyan tarasti hain

Jo urooj hasil hai gardey sehney Haider ko
Wo urooj paney ko chotiyan tarasti hain

🌹

11. Janab Zeeshan Aazmi sb

आज     औरतें   क्यों   क़ाज़ी मियां    तरसती है
अदल के लिए     मां   और     बेटियां तरसती है

लूट कर     गरीबों     को, ऐश   में    हुकूमत   है
आबो दाना     पाने     को  बस्तियां    तरसती है

सब हरे भरे     आंगन    के मेरे    शजर    उजड़े
अब चमन को गुलशन की तितलियाँ  तरसती है

या अली कदम बोसी   के    लिए तेरी    अब भी
मुनसफी    हुकूमत की    पगड़ियां     तरसती है

दहर में    ज़ियारत को,   एक हुसैन  की पयहम
चप्पे-चप्पे     की    सारी   हस्तियां    तरसती है

नूर ए हक़ तो   रोशन है    और रहेगा  रोशन ही
शमऐ हक़    बुझाने    को    आंधीयां तरसती है

क्या उरूज    पर है ज़ीशान   यह  तेरी क़िस्मत
यह मुक़ाम    पाने   को    पसतियां   तरसती है

✍ ज़ीशान आज़मी

آج عورتیں  کیوں قاضی  میاں ترستی ہیں
عدل کے لئے    ماں  اور  بیٹیاں ترستی ہیں

لوٹ کر غریبوں کو عیش میں حکومت ہے
آب و دانہ  پانے    کو    بستیاں ترستی ہیں

سب ہرے بھرے آنگن کے مرے شجر اجڑے
اب چمن کو  گلشن  کی تتلیاں ترستی ہیں

یا علی    قدم بوسی   کے لئے تری اب بھی
منصفی   حکومت کی پگڑیاں ترستی ہیں

دھر میں زیارت   کو اک  حسین کی پیہم
چپے چپے کی  ساری   ہستیاں ترستی ہیں

نورِ حق تو  روشن ہے اور رہےگا روشن ہی
شمعِ حق بجھانے  کو آندھیاں ترستی ہیں

کیا عروج    پر ہے    ذیشان یہ تری قسمت
یہ مقام    پانے کو    پستیاں    ترستی ہیں

🌹

12. Janab Zia Haidar sb

1.
AsqiyaaN taraste haiN goliyaaN tarasti haiN,
Raahe haq dabaane ko sakhtiyaaN tarasti haiN.

2.
Banke aayeN haadi jo deen ke Muhammad haiN,
Qahr barpa karne ko bijliyaaN tarasti haiN.

3.
Ishq me Ali ke jo haiN unhe jalaane ko,
Aaj bhi adaawat ki lakdiyaaN tarasti haiN.

4.
Phool the khile jaise Fatima ke aaNgan meiN,
Is tarah ke phooloN ko kyariyaaN tarasti haiN.

5.
Zulm kitne dhaaye haiN fir bhi chhoone se waez,
Haq pa rahne wale ko shaktiyaaN tarasti haiN.

6.
Silsila shahadat ka jis tarah nibhaya tha,
Baade karbala usko qaum yaaN tarasti haiN.

7.
Raushni mili jaisi baade karbala humko,
Mukhtalif hukumat ki battiyaaN tarasti haiN.

8.
Kar rahe haiN dahshat jo in yazeed waloN ki,
Tootne pa judne ko haddiyaaN tarasti haiN.

9.
Aage jab badhe Aabid bolne laga mimber,
Aise baadshaaho ko kursiyaaN tarasti haiN.

10.
Hai asar zamaane meiN Karbala ka ye ab bhi,
Shaame haq bujhaane ko aaNdhiyaaN tarasti haiN.

11.
Jin tarah ke gauhar ko tum ZIA sajaaye ho,
Waisi madh karne ko motiyaaN tarasti haiN.

🌹

13. Janab Asmee Sarkaar Sb

🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁

Fatema Karam kar do godiya'N tarasti hai...
Bhar do jholiya'n saari loriya'N tarsti hai'n...
⚡⚡
AA Bhi jao parde se ab tumhare shiyo ki...
Narm hath ko chhune Ungliya'N tarasti Hai'n...
⚡⚡
Kya sharaf ye kufe se pa Gaye habeeb aake...
Aapki salami ko hastiyaa'N tarasti hai'n...
⚡⚡
Dekhlo musalmano waqte Asr e aashura...
Shamm e haq bujane ko aandhiya'N tarsti Hai'n...
⚡⚡
Iss liye mai karta hu'n zakhme matame zanjeer...
Sheh ke gham me rone ko pasliyaa'N tarsti hai'n...
⚡⚡
Karbala me baccho se maut haar baithi hai...
Kisne Keh Diya tumse unki ma'N tarasti hai'n...
⚡⚡
Jab namaz se farigh ho gaye hain tab Asmee...
Fatima ki sunnat ko ungliya'N tarasti hain...

🌹

14. Janab Syed Ali Abbas Naqvi Fasih sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

*Iss jaahan e faani ki waadiyaa'n tarasti hain.*
*Arsh e karbala hone pastiya'n tarasti hain.*
             ...........

*Di jo aaye sae'l ko panjetan ne faaqo'n me*
*Uss buland rutbe ko rotiya'n tarasti hain.*
            .............

*Zaheri khilafat wo Murtuza ne ki thi jo.*
*Aise hukmraano'n ko kursiya'n tarasti hain.*
             ..........

*Duktar e shah e dee'n ka inteqaam lene ko.*
*Baazuo'n ki ghaazi ke machliya'n tarasti hain.*
             ..........

*Dushman e ali jo hain unke sar pa padh ne ko.*
*Bilyaqeen dozaq ki lathiyaa'n tarasti hai.*
               ..........

*Jo koi hai wabasta shaher ilm ke dar se.*
*Usme khud samane ko khoobiya'n tarasti hain.*
             ..........

*Momino'n ki jumbish par rahe haq me sunlije.*
*Naam par likhe jaane nekiyan tarasti hain.*
           ............

*Wasta hai Asghar a.s ka ya Hussain a.s bhar dije.*
*Chaah me pisar ki jo godiya'n tarasti hain.*
            ............

*Askari ke aay dilbar aa bhi jaaiye rahber* .
*Deed ko in ankho'n ki putliya'n tarasti hain.*

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

No comments:

Post a Comment