Tuesday 2 January 2018

Tahri Misra: Yeh sar zameen e karbobala hai jinaN ki rooh

[24/12/2017]

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Yeh sar zameen e karbobala hai jinaN ki rooh*
*یہ سر زمینِ کرب و بلا ہے جناں کی روح*
ق۔۔۔۔ *جناں*

Qafiya: 👉 *JinaN*
Radeef : 👉 *Ki rooh*

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata aap hazraat ke peshe khidmat hai. 

1. Janab Hasnain Maroofi sb
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

جس دم زمینِ کرب و بلا نے عیاں کی روح

سینے میں دفن ہو گئ سارے جہاں کی روح
۔ 🌹

شامل ہے اس میں شاہ کے کڑیل جواں کی روح

محشر تلک نکل نہیں سکتی اذاں کی روح
۔ 🌹

کعبہ ہے اس کا جسم تو شبّیر ہیں وجود

یہ سر زمینِ کرب و بلا ہے جناں کی روح
۔ 🌹

اسلام زندہ کر دیا زہرا کے لال نے

اک نا میں دب کے رہ گئ بیعت کے ہاں کی روح
۔ 🌹

تشنہ لبی کے ایک تبسّم کے وار سے

زخموں سے چور چور ہے آبِ رواں کی روح
۔ 🌹

سجّاد جسم سجدۂ معبود ہیں اگر

شبّیر پھر نماز ہیں اکبر اذاں کی روح
۔ 🌹

وہ دیکھ نوکِ نیزہ پہ سر ہے حسین کا

گریہ کناں ہے آج بھی اہلِ فغاں کی روح
  ۔ 🌹

اب حشر تک فرات پٹکتی رہے گی سر

عبّاس لیکے آ گۓ آبِ رواں کی روح
۔ 🌹

ذکرِ بتول کرنے کو اس کائنات میں

لازم ہے پاک چاہیۓ دل اور زباں کی روح
۔ 🌹

وہ شخص فاطمہ کی دعاﺅں سے دور ہے

دولت کما رہا ہے جو تڑپا کے ماں کی روح
۔ 🌹

ہے عالموں پہ ظلم کا بادل چڑھا ہوا

گلشن میں دینِ حق کے ہے دورِ خزاں کی روح
۔ 🌹

آجایئے کی ظلم کا دریا ہے باڑھ پر

کیسے سکون پایئگی امن و اماں کی روح
۔ 🌹

حسنین ذکرِ شاہ کی عظمت نہ پو چھیۓ

خوشبو وفا کی چوم رہی ہے زباں کی روح
۔ 🌹🌹🌹🌹🌹
حسنین معروفی
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

jis dam zameene karbobala ne ayaa,n ki rooh

Seene me dafn ho gayi saare jaha,n ki rooh

🌹
shaamil hai is me shaah ke kadiyel jawa,n ki rooh

Mehshar talak nikal nahi sakti azaa,n ki rooh

🌹
kaaba hai is ka jism to shabbeer hai,n wajood

Ye sar zameene karbobala hai jena,n ki rooh

🌹
islaam zindah kar diya zahra ke laal ne

Ek naa me dab ke rah gayi baiyet ke haa,n ki rooh

🌹
tashna labi ke eik tabassum ke waar se

Zakhmo,n se choor choor hai aabe rawa,n ki rooh

🌹
sajjaad jisme sajda e maabood hai,n agar

Shabbeer phir namaaz hai,n akbar azaa,n ki rooh

🌹
wo dekh noke naiza pa sar hai husain ka

Giriya kuna,n hai aaj bhi ahle fugha,n ki rooh

🌹
Ab hashr tak furaat patakti rahe gi sar

Abbas le ke aa gaye aabe rawa,n ki rooh

🌹
zikre botool karne ko is kainaat me

Laazim hai paak chaahiye dil aur zuba,n ki rooh

🌹
wo shakhs fatema ki duaao,n se door hai

Daulat kama raha hai jo tadpa ke maa,n ki rooh

🌹
hai aalimo,n pe zulm ka baadal chadha hoa

Gulshan me deene haq ke hai daore kheza,n ki rooh

🌹
aa jaaiye  ki zulm ka dariya hai baadh par

Kaise sokoon paaye gi amn o amaa,n ki rooh

🌹
hasnain zikr e shaah ki azmat na puchhiye

Khoshbu  wafa ki choom rahi hai zubaa,n ki rooh

🌹

2. Janab Muntazir Virani sb

1) KHUSIYO.N SE JOOM UTTHEGI AMN O AMA.N KI ROOH
ZAAHIR JO HOGI SAB PE ZAMEEN O ZAMA.N KI ROOH

2)EK DO NAHI YAHA.N PE BAHATTAR HE JANNATE.N
YE SAR ZAMEEN E KARBOBALA HE JENA.N KI ROOH

3)TERA NISHAANA TUJ PE HI AAEGA HURMULA
ASGAR KI MUTTHIYO.N ME HE TEER O KAMA.N KI ROOH

4)AKBAR KA NAAM LEHJA E AKBAR ME JAB SUNA
MEHSOOS HUR KO HO GAYEE FAURAN AZA.N KI ROOH

5)MUKHTAAR TUM NE KAAM BADE KAAM KA KIYA
MUDDAT KE BAAD KHUSH HUVEE SARVAR KI MAA.N KI ROOH

6)GOONJI SADA JO NAARA E HAYDER KI BAZM ME
SOON TE HI MUH KO AA GAYEE MUFTI MIYA.N KI ROOH

7) QIBLA USE KABHI BHI BANAATA NAHI KHUDA
BANTE ALI AGAR NA KHUDA KE  MAQA.N KI ROOH

8)PEHLU ME MUSTAFA KE SULA TO DIYA MAGAR
SHAMSHAAN ME CHALI GAYEE THI WO WAHA.N KI ROOH

9) MISAM KA WAAQEA HE SUNA JAB SE *MUNTAZIR*"
BEKHAUF AUR HO GAYEE MERI ZUBAA.N KI ROOH

🌹

3. Janab Kumail Nagri sb

is par nisaar hoti hai kauno makaa'n ki rooh.
Ye sar zameene karbobala hai jinaa'n ki rooh.

🌹

Qud aasma'n jhukaata hai apni jabee'n yahaa'n.
isko zamee'n na kahiye ye aasmaa'n ki rooh.

🌹

Tum ne zubaa'n kataa ke sare daar jab diya.
Meesam kuch aur hogayi  taaza'h bayaa'n ki rooh.

🌹

Chamka you'n chehra jaun ka zanu e shaa'h par.
Sarmindagi me doobgayi kehkashaa'n ki rooh.

🌹

Karbobala me dee'n ko bachaya husain ne.
Warna nikalhi jaati namaazo azaa'n ki rooh.

🌹

Zalim ke hauslo'n ko tabassum se raun kar.
Chinaa hai sheerkhwaar ne teero kamaa'n ki rooh.

🌹

Girjaata eak qatra jo besheer ka lahoo.
Lamhe me hi nikalgayi hoti jahaa'n ki rooh.

🌹

Dee'n mehaar zainabe kubra ko sonpkar.
Bole husain hai ye mere kaarwa'n ki rooh.

🌹

Goya hai sar husain ka saakit hai mulke shaam.
Kiya cheenli husain ne aaho fughaa' n ki rooh.

🌹

Zewar sitam ka pahne hai sajjad pur sukoo'n.
Dam todti hai sharm se tauqe geraa'n ki rooh.

🌹

Farshe azaa jo shaam me zainab bichagayi.
Ay karbala wahi thi tere daasta'n ki rooh.

Allah jaane kis tarha dekha husain ne.
Tan se nikalte akbare kadiyal jawaa'n ki rooh.

Asghar ka karbala me ye aalam tha piyaas se.
Sookhe labo'n tak aagayi thi bezubaa'n ki rooh.

Maa'n behno ko jo balwe me dekha hai be rida.
Taa umr kiyu'n na royegi phir natawaa'n ki rooh.

✍🏻

Mashkeeze me Sakina ki pani nahi *kumail*
Abbas leke aaye hai'h aabe rawaa'n ki rooh.

🌹

4. Janab Azam Maroofi sb

1
Dekar khuda ki raah me ik naujawa'n ki rooh....

Shabbeer ne bachaayi h kul inso jaa'n ki rooh....
2
Batil ko paash paash karegi khuda qasam....

Gahwaare me machalti h ik bezabaa'n ki rooh
3
Besheer k labo'n pe tabassum h is liye....

Asghar ki mutthiyo'n me zulme jahaa'n ki rooh...
4
Batlaa rahe hain iske bahattar hasee'n gulaab....

Ye sar zameene karbobala h jenaa'n ki rooh...
5
Sarwar k gham me nikle to mil jayegi hayaat........

Roomale Fatemah me hai ashke rawaa'n ki rooh.....
6
Ik roz kaynaat se mit jayega sitam......

Azam hai aaj ghaib me amno amaa'n ki rooh..

🌹

5. Janab Eram Mehdi sb

Jab tak na degi izn use baghban ki rooh
Tab tak rahegi qaed e chaman me khizan ki rooh
Charon traf hisaar e bahaar e batool hai
Ye Sar zameen e karbobala hai jinan ki rooh

🌹

6. Janab Masoom Haidari Maroofi sb

Itni h ek yazid e najis hukmaran ki rooh

Rahti h jitni der tak uth,te dhuaaN ki rooh
🌹
Majlis tamaam hote hi manzar Badal gaya

Lagta hai k nikal gayi mere makaN ki rooh
🌹
Phir Karbala ke Baad na bachchoN pe uth sake

Asghar ne jaise khainch Li teer o kamaN ki rooh
🌹
Hoti agar na ye to na hoti ye kaynat

Hai karbala husain ki dono jahaN ki rooh
🌹
Jannat me hur pahoch gaye dozakh me hurmula

Jayegi us maqaam pe hogi jahaN ki rooh
🌹
Hai pahre daar asghar e besheer ki hansi

Zakhmi ho kaise deen ke is gulsetaN ki rooh
🌹
Chauda sadi ke bad bhi akbar jawan hain

Duniya se kah rahi hai abhi tak azaN ki rooh

Piri hai aur barq ki raftar tegh me

Shabbeer ne habeeb ki kaise jawaN ki rooh
🌹
Ban jaati Eek jang ka maidaan ye zamiN

Sulhe hasan bacha gayi amno amaN ki rooh
🌹
Pahre koyi bethata rahe ab foraat par

Abbaas aake le gaye aabe rawaN ki rooh
🌹
Hai ek burida sar ki zubaN par telawateN

Maqtal me beqarar hai tegh o senaN ki rooh

Parcham me hai Jo mashke sakina lagi huyi

Dar asl ye hai deen e khuda ke nishaN ki rooh
🌹
YuN To madina makka bhi haiN jannateN magar

Ye sar zameen e karbobala hai jenaN ki rooh
🌹
MASOOM zikr aale nabi ka na chhodna

Gar chaahte ho taaza rahe dil zubaN ki rooh

No comments:

Post a Comment