Sunday 14 January 2018

Tarhi Misra: Shabbeer tere dar ki ata sab se juda hai

[03/01/2018]

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Shabbeer tere dar ki ata sab se juda hai*

Qafiya: 👉 *Ata*
Radeef : 👉 *Sab se juda hai*

شبّیر تیرے در کی عطا سب سے جدا ہے

ق: عطا
ر: سب سے جدا ہے

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir Abbas Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata aap hazraat ke saamne peshe khidmat hai..

1. Janab Zia Haidar Sb

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Abbas ke parcham ki hava sab se juda hai,
Milti hai ise leke shifa sab se juda hai.

2.
RishtoN me jo rakhte haiN giraH sab se juda hai,
Un sabko mile iski jaza sab se juda hai.

3.
Dete haiN farishte bhi dua usko bahot haiN,
Khidmat jo kare maaN ki sada sab se juda hai.

4.
Rakhte haiN adawat jo gHame Shaahe Huda se,
Bhugtega zamaane me saza sab se juda hai.

5.
Khaaliq ki kitaaboN ke siwa baaqi sabhi se,
Jo Nahje balaagHa ne kaha sab se juda hai.

6.
Hindu ho ya muslim ho ya fir sikkh isaayi,
In sab me Husaini ki baqa sab se juda hai.

7.
Makhlooqe Khuda jinno bashar jitne haiN unme,
Bas eyk nusairi ka Khuda sab se juda hai. 

8.
Mas hote hi Shabbeer ke jhoole se hai fitrus,
Par paake fizawoN me uda sab se juda hai.

9.
Raahib ko jo sheh dete rahe bete pa beta,
Bin maaNge ye dene ki ada sab se juda hai.

10.
Hur haNste huve ran ko chala kahte huve ye,
Shabbeer tere dar ki ata sab se juda hai.

11.
Hai qasr me zaalim ke bichha farshe aza ko,
Zainab ne jo maatam hai kiya sab se juda hai.

12.
KyuNkar ke na Zahra ka mere ghar pa basar ho,
Jab ghar me bichha farshe aza sab se juda hai.

13.
Hum sab ka bhala usse ho kyuN koi bhi rishta,
Maatam se huva jo bhi juda sab se juda hai.

14.
Seeno pa jo ban jata hai maatam ki dhamak se,
Wo khuld ka naqsha baKhuda sab se juda hai.

15.
Kahti hai jinaN khol sabhi dar ko hai humse,
Hum sabko makaN Sheh ne diya sab se juda hai.

16.
Ye sadqaye Maula hai karam hai wa nawazish,
Izzat jo mili tujhko ZIA sab se juda hai.

🌹

2. Janab Aijaz Ali sb

Ahmad ke charagoN ki Ziya sabse juda hai

Haider ke jiyaloN ki Ata sabse juda hai

2.

Duniya ki ho ya Chand ki Mitti to hai Mitti

Jo khaak hui khaak e shifa sabse juda hai

3.

Pahuchi yahi kehti hui Jannat me HawayeN

Abbas ke parcham ki hawa sabse juda hai

4.

Ek waar se laakhoN ka jigar chaak jo kar de

Besheer ke hansne ki ada sabse juda hai

5.

Hai bhaai yahaN bhai ka Dushman to chacha kya

Bas ek Sakeena ka chacha sabse juda hai

6..

Haider ki dua thi jo Wafadar ko paaya

Tab to mere Ghazi ki wafa sabse juda hai

7.

Shabbeer ne har ek ko diya jisne jo manga

Bas ek hai Hur jisko ata sabse juda hai

8..

MaidaN me jise azm e shahadat ne lagaya

Qasim tere haathoN ki hina sabse juda hai

9.

Jo Rehmat e Alam pe bhi Rehmat ka ho saaya

Wo Fatima Zehra ki Rida Sabse juda hai

10.

Ai karbobala teri Muqaddas si zameeN par

HaaN Roza e Hur teri Fiza sabse juda hai

11.

Aijaz se maddah bahut guzre jahaN me

Sabne kaha Meesam ki ada sabse juda hai

🌹

3. Janab Hasnain Maroofi Sb

یہ فرش غم شہ ہے جگہ سب سے جدا ہے

اس جا کے ضمیروں میں وفا سب سے جدا ہ
۔🌹
سورج سے ضیابار ہے عالم کی ہر اک شیہ

پر جون کے چہرے کی ضیا سب سے جدا ہے
۔🌹
مشہور زمانے میں ہے عبّاس کا حملہ

اصغر تیرے لڑنے کی ادا سب سے جدا ہے
۔🌹
دنیا کے طبیب آج تلک جان  نہ پائے

شبّیر تیری خاک شفا سب سے جدا ہے
۔🌹
حاتم کی سخاوت کا زمانے میں ہے چرچا

پر آل محّمد  کا دیا  سب سے جدا ہے
۔🌹
اسلام کو دنیا میں غنی کر دیا تو نے 

شبّیر تیرے در کی عطا سب سے جدا ہے
۔🌹
کہنے کو قبیلے ہیں شجاعت کے بہت سے

دنیا میں مگر شیر خدا سب سے جدا ہے
۔🌹
تقدیر پہ ہم اہل عزا کیوں نہ ہوں نازاں

حسنین کے مادر کی دعا سب سے جدا ہے
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹
ye farshe ghume sheh hai jagah sab se juda hai

is ja ke zameero.n me wafa sab se juda hail
🌹
soraj se zeyaabaar hai aalam ki har ek shey

par jaun ke chahre ki zeya sab se juda hai
🌹
mash.hoor zamaane me hai abbas ka hamla

asghar tere ladne ki ada sab se juda hai
🌹
doniya ke tabeeb aaj talak jaan na paaye

shabbeer teri khaake shifa sab se juda hai
🌹
haatim ki sakhaawat ka zamaane me hai charcha

par aale mohammad ka diya sab se juda hai
🌹
islaam ko doniya me ghani kar diya tu ne

shabbeer tere dar ki ata sab se juda hai
🌹
kahne ko qabeele hai.n shujaa.at ke bahot se

doniya me magar sher e khuda sab se juda hai
🌹
taqdeer pa hum ahle azaa kiu.n na ho.n naaza.n

Hasnain ke maadar ki dua sab se juda hai

🌹

4. Janab Shahid Mirza Sb

Shabbir pe rone ka sila sab se juda hai🌱
Haan Fatema Zehra ki dua sab se juda hai
🍀🌹🍀

Her shaher se ye karbobala sab se juda hai🌱
Is khaak me posheeda shifa sab se juda hai
🍀🌹🍀

Khaali nahi rehta kabhi ummeed ka daaman🌱
Shabbir tere dar ki ata sab se juda hai
🍀🌹🍀

Milta hai sukun dil ko bahot aansu bahake🌱
Shabbir ka ghum sab se juda sab se juda hai
🍀🌹🍀

Muh phair  ke khud rone laga lashkare aada🌱
Asghar tere hasne ki ada sab se juda hai
🍀🌹🍀

Dunya me wafadaar to dekhe kayee lekin🌱
Abbase Ali teri wafa sab se juda hai
🍀🌹🍀

Karti hain tawaaf iska zamane ki hawaein🌱
Iswaaste ye shame aza sab se juda hai
🍀🌹🍀

Jannat ki fazayein hain bahot youn to moattar🌱
Per majlise sarwar ki faza sab se juda hai
🍀🌹🍀

Shayer ise kehta hai zamana mere moula🌱
Shahid pe ye ehsaan tera sab se juda hai
🍀🌹🍀

5. Janab Azam Maroofi Sb
1
Shabbeer ki ulfat ka nasha sabse juda h.....

Iski sare mahshar bhi jaza sabse juda h.....
2
Mana k ai hur teri khata sabse juda h.........

Mat bhool k Sarwar ki ataa sabse juda h........
3
Hur bole k dozakh se mai aa pahuncha hun jannat...

Shabbeer tere dar ki ata sab se juda h...... ..
4
Lag jaye agar teer to hansna nahi aasaa'n....

Asghar k tabassum ki ada sabse juda h....
5
Hoti hai yaha'n panjatane paak ki aamad....

Is waaste ye farshe aza sabse juda h.........
6
Ye eid or bakreed k mausam to bahot hain...

Lekin ye moharram ki fiza sabse juda h......
7
Girte bhi ubharte rahe sab deen jahan me....

Islaam magar teri baqa sabse juda h.......... 
8
Ik abd ko allah ka hamsar na samjhna.........

Mabood hai,khaliq hai khuda sabse juda h......
9
Alfaz alag dijiye Azam ko khudaya...............

Qirtaas pe unwaan mera sabse juda h......

🌹

6. Janab Mohsin Banarsi Sb

*Abbas e bawafa ki wafa sabse juda hai...*
*Bin haathoñ ke dene ki ada sabse juda hai...*

Sakhiyoñ ka sakhi sher e khuda sabse juda hai...
Maiñ kyuñ na kahu maula mera sabse juda hai...

Jannat se yahi kahte huwe aaye farishte...
Gaazi tere parchum ki hawa sabse juda hai...

Is baat ko sunne me maza aata bahot hai...
Duniya me nosairi ka khuda sabse juda hai...

Dahlane ko har daor ke zalim ka kaleja...
Labbaik ke naro ki sada sabse juda hai...

Duniya me to har ek ke mazhab hai nirale...
Par fatima zahra ki duaa sabse juda hai...

Maidaañ me waar dekh ke shabbeer ne kaha...
Besheer ke ladne ki ada sabse juda hai...

Asgar ki tarha kon bhala jung karega...
Run me wo teer kha ke hansa sabse juda hai...

Sunkar shab e ashoor wo akbar ki azaañ ko...
Hur janib e sheh jaise chala sabse juda hai...

1400 saal ho gaye badla na aaj tak...
Sarwar ka azakhana pata sabse juda hai...

Darbaar e yazeedi me bicha ke saf e matam...
Zainab ne jo bhai ka kiya sabse juda hai...

Marham banenge fatima zahra ke laal ke...
Majlis me gire ashq e aza sabse juda hai...

Jannat se bhi behtar hai shahedeen ka rauza...
Aur sahre karbala ki hawa sabse juda hai...

Mash hote hi gahwaar e shabbeer se fitrus...
Par leke naye jaise uda sabse juda hai...

*Bhar bhar ke gaye jholiyañ hor O malak bashar...*
*Shabbeer tere dar ki ata sabse juda hai...*

Sab kahne lage aale nabi ka mujhe naukar...
*Mohsin* ko lakab ye bhi mila sabse juda hai...

🌹

7. Janab Aaftab Husain sb

🌹Tu sab se alag teri ada sab se juda  hai...
   Asger tera andaze wiga sab se juda hai....

🌹Jisne bhi piya usne kaha sab se juda hai..
Sahba e gadeeri ka nasha sabse juda hai

🌹Fitrus ko mile pr to wo besakhta bola
shabbeer tere dar ki ata sabse juda hai....

🌹Khak e dar e Zahra tere mathe ki h zeenat...
Zohra tere chehre ki zia sabse juda hai....

🌹Hum log Tabarruk pa hi karte hain Guzara...
Hum logo,n ki dunya me giza sabse juda hai...

🌹Hone nahi deta mujhe be raah kisi pal...
Mansoor mera raah numa sabse juda hai...

🌹

8. Janab Muntazir Abbas Sb

Raahib ne bhi hur ne bhi kaha SAB se Juda he
Shabbir tere dar ki ata sab se Juda he

Munkir ko ghutan deti he momin ko ye raahat
Abbas ke parcham ki hava sab se Juda he

Jaysa he abhi vaysa to pehle bhi nahi tha
Fitrus ne kaha par ye mera sab se Juda he

Jab zindagi ne roka to hur shan se bole
Shabbir pe marne ka maza sab se Juda he

Nabiyo.n ki safo.n me yaha.n hote he azaadar
Is waaste hi Farsh e AZA SAB se Juda he

Baalo.n ne Na hone diya chehre Ko be parda
Zaynab tere sar par ye rida sab se Juda he

Ghabraaye huve sehme huve Shaikh ji bole
Ye naara e hayder ki sada sab se Juda he

Tasbeeh ke daano se vo karta he palatvaar
Hamle me khumaini ki ada sab se Juda he

Ashaab e shahedi Ko mile Jannat o QAUSAR
Par Hur Ko jo tohfa he Mila SAB se Juda he

He  yo.n to musalma.n sabhi sarkaar ki ummat
Par fatema zahra ki doa SAB se Juda he

Baatil ka Nikal jaata he darr *muntazir* is se
Sarvar ki Mohabbat ka nasha sab se Juda he

🌹

9. Janab Masoom Haidari Maroofi sb

Be baazuo.n.wale ki ata sab se juda hai

Beshak ye shahanshahe wafa sab se juda hai
🌹
NazroN pe hai thahra hua nau laakh ka lashkar

Abbas ka andaz e wegha sab se juda hai
🌹
Bazaar ki nazroN ko jhukaye hue rakkha

Zainab tere lehje ki rida sab se juda hai
🌹
Allah ki laanat se bhi wo bach nahi paya

Zahra tere Dushman ki saza sab se juda hai
🌹
Hain khanjaro shamsheer pasine me nahaye

Inkaar e Shahe deeN ki ada sab se juda hai
🌹
Jab tak yehaN baitho koyi shikwa na shikayat

Shabbeer tera farshe aza sab se juda hai
🌹
Mansooba,e baatil ko bina jang ke mara

Khaamoshiye shabbar ki Ada sab se juda hai
🌹
Akbar ki AazaN sun ke chala Hur sue sarwar

Shabbeer ke maqsad ki sada sab se juda hai
🌹
Hai majlis e shabbeer har ek gham ka madawa

Ham chaahne waloN ki dawa sab se juda hai
🌹
Be dast alamdari ke mansab pe hai Faayez

Kaunain me haidar ki dua sab se juda hai
🌹
Thi ek ki talab* saat pesar pa Gaya raahib

Shabbeer tere dar ki ata sab se juda hai
🌹
Har Sher Ko meraaj ki haasil hai bulandi

Masoom Teri fikr e Rasa sab se juda hai

🌹

10. Janab Ghazi Abbas Sb

Jab hurr Ney kahaa Meri qataa sab se judaa hai
Maula Ney kahaa Meri ataa sab se judaa hai

Ye baat zamaaney ko hai fizza Ney bataaya
Zehra ki kaneezi ka silaa sab se judaa hai

Maidaan mey Ashaab e Husain ibne Ali ke
Shabbir pey Marney ka nashaa sab se judaa hai

Dunya mey sanaakhwan e Ali laakho milengey
Par daar se Meesam ki Sanaa sab se judaa hai

Meesam ney kahaa saarey makeeno mey jina'a ke
Aye hurr Terey qismat ka pataa sab se judaa hai

Karkar abhi aaya Hoon my Ghar qoon ka maatam
Is raat ko soney ka mazaa sab se judaa hai

Beemaaro ki qaatir hai dawaaye kayii maujood
Un sab mey magar qaak e shifaa sab se judaa hai

Mash'had Najaf o kaazmain o qom bhi hai jannat
Ha azm mey bass karbobala sab se judaa hai

Kehney lagaa raahib kabhi hurr aur kabhi fitrus
*Shabbir Terey darr ki ataa sab se judaa hai*

Asgar Ney kahaa godh mey shabbir ke, baba..
Talwaaro mey hasney ka mazaa sab se judaa hai

Aashoor se taa hashr Wo pyaasa hi raheyga
Saqqa e Sakina ki wafaa sab se judaa hai

Hai Gaazi faqat Hyder e Karrar ka saani
Ha fatema Zehra ki dua sab se judaa hai

Hai *GAAZI* mano salwa to Allah ki neymat
Par majlis e sarwar ki gizaa sab se judaa hai

🌹

11. Janab Sohail Zaidi Sb

Ye Karbobala Hai Ya Jinah Sab Se Juda Hai
Islam Bhi Jis Ghar Mein Pala Sab Se Juda Hai

Mitti Hai Teri Khaak E Shifa Sab Se Juda Hai

Sajde Ne Jise Sajda Kiya Sab Se Juda Hai

Har Ghar Me Biccha Farsh e Aza e Shahe Wala

Ghar Aayi Yeh Jannat Ki Hawa Sab Se Juda Hai

Parcham Ke Tale karte hain matam jo Azadaar

Deti Hain Unhe Bibi Duaa Sab Se Juda Hai

Hain Door Wo Matam Se Jo Fatwo Pe Pale Hain

Dozakh Me Makaañ Unka bana Sab Se Juda Hai

Aijaaz Hai Ghazi Ke kate hathon ka ye Bhi

Karta h ye jo kuch bhi ata Sab Se Juda Hai

Ek baar me bhar leta h jo mashk me darya

Sab dekh len Haider Ki Duaa Sab Se Juda Hai

Sarwar si sakhawat nahi duniya me kahin bhi

*Shabbeer Tere Dar Ki Ata Sab Se Juda Hai*

Darbar se shabbeer ke jannat bhi milegi

Mola tere qadmon ki jagah Sab Se Juda Hai

Abbas Ke Parcham ka jo le lete hain bosa

Mola Se Mili unko Jazaa Sab Se Juda Hai

Likhte raho ta umr ' *Sohail* ' haq ka qaseeda

Rab ne ye sharaf tmko diya Sab Se Juda Hai

🌹🌹🌹🌹🙏🏻🙏🏻🌹🌹🌹🌹

No comments:

Post a Comment