Sunday 21 January 2018

Tarhi Misra: Aashiq e Meesam e tammar se bach kar rehna

[09/01/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Aashiq e Meesam e tammar se bach kar rehna*

Qafiya: 👉 *Tammar*
Radeef : 👉 *Se bach kar rehna*

عاشقِ میثمِ تمّار سے بچ کر رہنا

ق: تمّار
ر: سے بچ کر رہنا

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir Abbas Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata aap hazraat ke peshe khidmat hai.

🌹🌳🌳🌳🌳❤🌹🌹

1. Janab Rizwan Karbalayi Sb:

Bismlllah hirrahma nirrahim
❤❤❤❤❤❤❤❤❤❤
Na koi teer na talwaar se Bach Kar rehna

Sirf Islam KE gaddar SE Bach Kar rehna

Ach'che ach'cho ka yaha Dekha hai emaa'n bikte

Laalache deerahmo deenaar SE Bach Kat rehna

Mout bhi rakhti nahi inke ilaqe me qadam

Shamiyo gazi alamdaar SE Bach Kar rehna

Jiska kata huwa do hisso me bat jata hai 

Aisi Abbas ki talwaar SE Bach Kar rehna

Ma NE marhab SE kaha TU hai bahadur lekin

Dasht me Haidere karraar SE Bach Kar rehna

Hurmala kaid SE aazaadi mili hai inko

Aaj SE hazrate mukhtaar SE Bach Kar rehna

Amrikiyo tumhe kha jayenge iraa'n wale

Deene Ahmad KE madadgaar SE Bach Kar rehna

Toot jayenge nikaah inki alamdaari se

Muftiyo sheh KE azadaar SE Bach Kar rehna

Zakiro me nahi kehta'hai ye koule kuraa'n

Zikre Shabbir KE wyaapaar SE Bach Kar rehna

Mout SE bhi nahi darte hai zamane walo

Aashike meesame tammar se Bach Kar rehna

Naiza Abbas ka lehrate hi bole aada

Sani e Haidere karraar SE Bach Kar rehna

Saikh Ji aaye hai is simt SE mere moula

Khan e qaba ki deewaar SE Bach Kar rehna

Mout to aani hai wo aake rahegi'fir Kya

Malekut mout ki raftaar SE Bach Kar rehna

Kaam"rizwan"ka hai saikh tabarrah karna

Uske ash'aar ki bouchaar SE Bach Kar rehna

SHUKRN LILLAH

🌳
2. Janab Zeeshan Aazmi sb:

खामेनाई के     हर एक     वार से    बचकर रहना
रहनुमा    हक़ का   है गुफतार    से बचकर रहना

आज ज़ालिम     की हिमायत     में लिखे जाते हैं
मोमिनो हर     बीके    अखबार से बचकर   रहना

बेच देते हैं     यह ईमान     भी      पैसों के   लिए
अपनी ही     क़ौम के    गद्दार     से बचकर रहना

ज़ालिमों पर   यह     बड़े सख्त      हुआ करते हैं
लशकरे   हैदरे    क़र्रार     से     बचकर     रहना

काट     सकते हैं गला हक़    की ज़ुबां से बातिल
आशिक़े     मिसमे तम्मार    से   बचकर    रहना

पीठ पर वार न  लग जाए     मुनाफिक़  का तुम्हें
तेज़ ज़ीशान     वह    तलवार से    बचकर रहना

✍ ज़ीशान आज़मी

خامنہ ئی    کے ہراک     وار سے  بچ کے رہنا
رہنما حق کا     ہے    گفتار    سے بچ کے رہنا

آج ظالم کی حمایت    میں  لکھے جاتے ہیں
مومنوں ہر     بکے اخبار    سے    بچ کر رہنا

بیچ دیتے ہیں یہ ایمان بھی پیسوں کے لئے
اپنی ہی     قوم کے     غدار سے  بچ کر رہنا

ظالموں     پر یہ   بڑے سخت ہوا کرتے ہیں
لشکرِ حدرِ        قرار سے       بچ  کر     رہنا

کاٹ سکتے  ہیں گلا حق کی زباں سے باطل
عاشقِ میثمِ   تمّار    سے    بچ    کر      رہنا

پیٹ پر وار    نہ لگ جائے   منافق کا تمھیں
تیز   ذیشان    وہ   تلوار    سے   بچ کر رہنا

✍ ذیشان آعظمی

🌳
3. Janab Azam Maroofi Sb:

گل کو آتا ہے ہر اک خار سے بچ کر رہنا.....

یہ ہنر بس ابوطالب کا پسر رکھتا ہے.....

سوتی حالت میں بھی تلوار سے بچ کر رہنا...

ظلم اک وار میں کٹ جاءے گی چاہت تیری.....

شہ کی ہمشیر کی رفتار سے بچ کر رہنا...

مفتیِ وقت لگاتے ہیں عزا پر فتوے......

بھَنْوْروں سے کہتے ہیں گلزار سے بچ کر رہنا...

یہ زباں کاٹنے کٹوانے کا دل رکھتا ہے.....

عاشقِ میثمِ تمّار سے بچ کر رہنا.....

وہ صدا اپنی اٹھاتا ہے خلافِ باطل....

جس نے سیکھا ہے ستمگار سے بچ کر رہنا...

بولیں زینب کہ ستم لاکھ کرو مجھ پہ یزید...

بس مری صبر کی تلوار سے بچ کر رہنا.....

جو نگل جاتا ہے خود اپنا ضمیر و ایماں.....

ایسے انسان کی منقار سے بچ کر رہنا....

مشورہ ہے یہ مرا غور سے سن لے اعظم.....

لذتِ درہم و دینار سے بچ کر رہنا....

Mausame zulme sitamgaar se bach kar rahna...

Gul ko aata hai har ik khaar se bach kar rahna....

Ye hunar bas abutalib ka pisar rakhta hai.....

Soti halat me bhi talwaar se bach kar rahna....

Zulm ik waar me kat jayegi chaahat teri.......

Sheh ki hamsheer ki raftaar se bach kar rahna....

Muftiye waqt lagate hain aza par fatwe......

Bawro'n se kahte hain gulzaar se bach kar rahna.....

Ye zaba'n kaatne katwaane ka dil rakhta hai....

Aashiqe meesame tammar se bach kar rahna....

Wo sada apni uthata hai khilafe baatil..........

Jisne seekha hai sitamgaar se bach kar rahna.....

Bolin zainab k sitam laakh karo mujhpe yazeed....

Bas meri sabr ki talwaar se bach kar rahna...

Jo nigal jata hai khud apna zameero eemaa'n....

Aise insaan ki minqaar se bach kar rahna...

Mashwera hai ye mera ghaur se sun le Azam.....

Lazzate dirhamo deenaar se bach kar rahna.....

از قلم   اعظم معروفی

🌳
4. Janab Manzoor Sb

हर  मुनाफ़िक़ से व मक्कार से बचकर रहना
फ़ितना कोई भी हो किरदार से बचकर रहना

ज़ाहिरी  तो  बड़े  मौलाई से लगते हो मियाँ
अपने अन्दर कै गुनाहगार से बचकर रहना

जब गिरेगी तो ये ले लेगी तुम्हे भी ज़द मे
मोमिनों  झूट की दीवार से बचकर रहना

बुज़दिली हुरमुला तू अपनी छुपाने के लिये
बस तबस्सुम के हसीं वार से बचकर रहना

दार  पर  भी ये हुनर रखते हैं हक़ गोई का
आशिक़े मीसम ए तम्मार से बचकर रहना

ये ही काफ़ी है तेरा तख़्त उलटने को यज़ीद
ख़ुत्बा ए आबिद ए  बीमार से बचकर रहना

लश्करे हक़ के हैं सालार हसन नसरुल्लाह
ज़ालिमो वक़्त के मुख़्तार से बचकर रहना

अपने अल्फ़ाज़ मे रखना हो गर असर मन्ज़ूर
तुम  अक़ीदों  के  व्यापार  से  बचकर  रहना


🌳
5. Janab Kumail Nagri Sb:

Dushmane haidare karrar se bach kar rehna.
Yani islaam ke ghaddaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Gar ye aajaye to maidaa'n me qayamat hogi.
Shamiyo she'h ke alamdaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Haq bayaani se ye duniya ko hilaadeta hai.
*Aashiqe meesame tammar se bach kar rehna*

🔺
🔻

Kar ke inkaar mohammed ka nawasa bola.
Kehdo bai'at ke talabgaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Aale imraan hai'n sunlo ay zamaane walo'
in ke iqraar aur inkaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Hurmela apne mohibbo'n se ye bola!  Dekho.
Muskuraahat ki har ek waar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Hum to qud shauq se sar apna kataa dete hai'n.
Humne seekha nahi talwaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Jumbishe lab se faqat hashr bapaa kar dega.
Ay yazeed abide bimaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Hurmela ha'ns ke jo choda hai tujhe asghar ne.
Iska matlab hai ki mukhtaar se bach kar rehna.

🔺
🔻

Paas jaao ge to nuqsaan uthaaoge *kumail*
Bughz aur keene ki diwaar se bach kar rehna .

🔺
🔻
*kumail* nagri....✍🏻
11/01/2018


🌳
6. Janab Muntazir Abbas Sb: BISMILLAHIRRAHMANIRRAAHEEM
RABBISHHARHALISADRI VA YASSIRLI AMRI

SHAAMIYO.N ROB E ALAMDAAR SE BACH KAR REHNA
JITE JI MAUT KE DEEDAR SE BACH KAR REHNA

DAAR SE KEH DO JIGARDAAR SE BACH KAR REHNA
AASHIQ E MISAM E TAMMAR SE BACH KAR REHNA

KAAFERA MAA NE BHI HAQ BAAT KAHI MARHAB SE
JUNG ME HAYDER E QARRAR SE BACH KAR REHNA

ZIQR E HAYDER KI TIJAARAT JO KARE MIMBER SE
AYSE BADKAAR KALAKAAR SE BACH KAR REHNA

HURMULA SE YAHI KEHTE THE USI KE HATHIYAAR
KUCHH BHI HO JAAYE TU MUKHTAAR SE BACH KAR REHNA

MAUT HE ZINDAGI IN KE LIYE AY BAGHDAADI
ROZA E SHAAH KE ZAWWAR SE BACH KAR REHNA

SHEH PE KHOO.N APNA BAHA DENE KI AADAT HE HAME
HUM SE MAT KEHNA KI TAKWAAR SE BACH KAR REHNA

ROB JIS KO BHI DIKHANA HO DIKHA AMRIKA
SIRF IRAAN KI YALGAAR SE BACH KAR REHNA

SOON KE BEDI KI KHANAK KHUD SE HI KEHTA THA YAZEED
ZINDA REHNA HE TO BIMAAR SE BACH KAR REHNA

CHHODNA MAT JUTHE FATWO.N KI BINA PAR MAATAM
FATH PAA NI HE TO IS HAAR SE BACH KAR REHNA

"MUNTAZIR" KEHTI THI YE SHIMR SE US KI HI CHHOORI
KHOON E SHABBIR KE SHEHKAAR SE  BACH KAR REHNA

Shuqre maula....


🌳
7. Janab Zia Dandupuri Sb:

Bismillah hir rahma nir raheem
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
🌹🥜❤ *Hidayat* ❤🥜🌹
1.
Lazzate dunyaye bekaar se bach kar rehna,
Raahe haq me padi talwaar se bach kar rehna.

2.
Kho na jana kahiN baazaar se bach kar rehna,
Kah raha hai khuda sansaar se bach kar rehna.

3.
Har bure waqt me in waar se bach kar rehna,
Rahnuma dikh rahe agHyaar se bach kar rehna.

4.
DarmiyaN apno ke deewaar se bach kar rehna,
Aql ke garda o gobaar se bach kar rehna.

5.
Rahti dunya ke jafaakaar se bach kar rehna,
Jhoot ke khushnuma fawwaar se bach kar rehna.

6.
Chahte ho hai agar naar se bach kar rehna,
MaaN ki inkaar se dutkaar se bach kar rehna.

7.
Haalate haazra ki maar se bach kar rehna,
Aur akhbaari ki akhbaar se bach kar rehna.

8.
Muslimo jhoot ke angaar se bach kar rehna,
Fatwaye muftiye bhangaar se bach kar rehna.
🌹🥜❤🌰🌰🌰❤🥜🌹
🌹🥜❤ *Kalaam* 🥜❤🌹
9.
Gar teri chaah hai finnaar se bach kar rehna,
BugHzaye Haidare Karrar se bach kar rehna.

10.
Inse unse nahi farraar se bach kar rehna,
Un fidak choroN se gHaddaar se bach kar rehna.

11.
Dars ye bhi hai QuraaN deta musalmaano ko,
Eyk do teen se makkaar se bach kar rehna.

12.
Teer haNste huve hai halq pa lekar bole,
MaiN huN AsgHar mere kirdaar se bach kar rehna.

*13.* *Qata baddh*
*Shimr kahta hai agar jaaN ki amaaN hai pyari,*
*GHaazi Abbas ke huNkaar se bach kar rehna.*

*14.*
*Eyk Haidar nahi Haidar se haiN Haidar saare,*
*Jo muqaabil me hai jarraar se bach kar rehna.*

15.
Ay yazeed inpe hai chaahe jo sitam karle par,
Saaniye Zehra ki gHuftaar se bach kar rehna.

16.
Zaalimo Haq ke tarafdaar se bach kar rehna,
*Aashiqe Meesame tammaar se bach kar rehna.*

17.
Gar khushi laani tumhe zindagi me hai apni,
Ay *ZIA* maal ke jhankaar se bach kar rehna.
🌹❤🥜🌰🌰🌰🥜❤🌹
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
12.01.2018

🌳
8. Janab Arshad Sirsivi Sb:

Mashwara titli ko dete ho chaman tarq kare

Aqlmandi nahi gulzaar se bach kar rehna

Ham azadaron ki fitrat me nahi hai shamil

Majlis e sayyed e abrar se bach kar rehna

🌳
9. Janab Aaftab Husain sb:

🌹Zalimon chaho jo tum haar se bach kr rahna...
Aahe Mazloom ki yalgaar se bach kr rhna...

🌹Ik Tabassum me chupe waar se bach kr rhna..
Hurmula apni badi haar se bach kr rhna..

🌹Khobiye Tegh e sharar baar se bach kr rhna..
Zalimon barhwe,n sarkar se bach kr rhna..

🌹Daar ko bhi ye bana leta h mimber apna..
..Ashiqe e meesam e tammar se bach kr rhna..

🌹Zalimon iski Rawani tumeh,n le doobe gi..
Chasma e chasm e Azadar se bach kr rhna..

🌹Ay zamane k yazidon ye azadaron ke..
Jazba o jurate inkar se bach kr rhna..

🌹Zalimon dekh raha hai wo tumhe,n parde se
Deen ke asl nigeh daar se bach kr rhna..

🌹Munqasim krta ho jo millat e Jaferiya ko..
Aise hr aik riya kaar se bach kr rhna..

🌹Kho k rh jana na Rangini e Dunya me kahi,n..
Momino ret ki deewar se bach kr rhna..

🌹Haq bayani se tu Mansoor na ghafil hona..
Ha,n mager garmi e guftaar se bach kr rhna..

       🙏🙏🙏🙏🙏
Mansoor raza jafri


🌳
10. Janab Suhail Waasti Sb:

Aashiq e meesum e tammar se bach kr rehna
“Tum sada haq ke tarafdar se bachkr rehna
Siekh g seh ke azadar se bach kr rehna
1
Madh e haider ye kiya krte h nezo se bayaa’n
Aashiq e meesum e tammar se bach kr rehna
2
Jang tum sab se kro maa ne ye marhab se kaha,
Han magar haider e karrar se bach kar rehna,
3
Dekh abbas ki haibat ko ye lashkar bola
Gair mumkin h alamdar se bachkr rehna,
4
Ek muskaan se ye jeet ke le jayega,
Jang me asghar e nadaar se bachkr rehna,
5
apne khutbe se palat dengi ye manzar saara,
Dukhtar e Fatima ke waar se bachkr rehna
6
Sunke krbal ke bayaan tod di zanjeer e sitam,
Gaiz me h abhi mukhtar se bachkr rehna
7
Badla lene ke liye ayegenge Mehdi ek din
Phir na ho payga talwar se bachkr rehna

8
Tum bhi ho jao ghulaaman me shamil tumko
Zeb deta nhi karrar se bachkr rehna
9
Sabr o isaar se todenge ye batil ka gurooor
Al gharaz aabid e bimaar se bachkr rehna
10
Sath quraa’n ke kro aale eba ko shamil
Aise mumkin h ke ho naar se bach kr rehna
11
Ye hunar seekh le jeene ka yaqeenan tu (suhail)
Zulm o shar, keena o Takraar se bachkr rehna”



🌳
11. Janab Mohsin Banarsi Sb:
🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹

_*••••बिस्मिल्लाह हिर्र रहमान निर्र रहीम••••*_

🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹

*दुश्मन ऐ शह के तरफदार से बचकर रहना.!!*
*यानी बातिल के मददगार से बचकर रहना.!!*

*लहजा ऐ हैदर ऐ कर्रार से बचकर रहना.!!*
*सानीऐ ज़हरा की गुफ्तार से बचकर रहना.!!*

*मार डाले ना कहीं हैबत ऐ सज्जाद उन्हें...*
*कह दो बैय्यत के तलबगार से बचकर रहना.!!*

*तेरे दरबार को रख देगा उलट कर ज़ालिम...*
*खुतबा ऐ आबिदे बीमार से बचकर रहना.!!*

*पाए सज्जाद की बेड़ी से कयामत होगी...*
*उसकी ज़ंजीर की झनकार से बचकर रहना.!!*

*शाम वालों तुम्हे अब्बास का अंदाज़ा नहीं...*
*दश्त में शेर की ललकार से बचकर रहना.!!*

*सामने आओगे सूरज के तो जल जाओगे...*
*शामियों शह के अलमदार से बचकर रहना.!!*

*देख कर औनो मोहम्मद को लईं कहने लगे...*
*सानी ऐ जाफरे तय्यार से बचकर रहना.!!*

*तेगे मुस्कान से करता है ये हमला अक्सर...*
*रन में बेशीर के इस वार से बचकर रहना.!!*

*इन्तेकामे अली असगर को है बेचैन बहोत...*
*हर्मुला अहमदे मुख्तार से बचकर रहना.!!*

*टुकड़े एक वार में होते है बराबर देखो...*
*हैदरी तेग की रफ्तार से बचकर रहना.!!*

*मां ने मरहब की बताया था कई बार उसे...*
*जंग में हैदर ऐ कर्रार से बचकर रहना.!!*

*बम धमाके की धमक से जो डराने आए...*
*उनसे कह देना अज़ादार से बचकर रहना.!!*

*मौत का खौफ नहीं सर पे कफ़न बांधे हैं...*
*मौला शब्बीर के ज़व्वार से बचकर रहना.!!*

*खून में अपने नहाते हैं अज़ादारे हुसैन...*
*इनको आता नहीं तलवार से बचकर रहना.!!*

*ले के गाज़ी का अलम गुज़रे तो गुलज़ार हुआ...*
*बद अकिदों ज़रा अंगार से बचकर रहना.!!*

*अपने अश्कों से जला देंगे हर एक फतवे को...*
*मुफ्तियों शह के अज़ादार से बचकर रहना.!!*

*शौक से नौहा सुनो और करो मातम भी...*
*शर्त ये है के कलाकार से बचकर रहना.!!*

*खोखला कौम को अन्दर से ये कर देते हैं...*
*मोमिनों दीन के गद्दार से बचकर रहना.!!*

*दम निकल जाए ना दर देख के काबे में नया...*
*शैख जी काबे की दीवार से बचकर रहना.!!*

*बरछियां बन के उतार जाएंगे दिल में मुनकिर...*
*तुम अली वालों के अशहार से बचकर रहना.!!*

*दार पे चढ़ के भी हक बात बयां करते है...*
*आशिके मीसमे तम्मार से बचकर रहना.!!*

*मां ने मोहसिन की सिखाया है यही बचपन से...*
*तुम ज़रा तीनों ही मक्कार से बचकर रहना.!!*

🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹

      _*✍🏻••••मोहसिन बनारसी••••*_

🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹

12. Janab Kaifi Kalkatwi sb:
*BISMILLAH*

*Dee'n ke gaddaaar se makkaar se bach kar rehna*
*Haa'n munafiq ke har ik waar se bach kar rehna*

*Maine sikha hi nahi dar pe shah e dee'n tere*
*Neza o khanjaro talwaar se bach kar rehna*

*Haque bayani pe zabaa'n apni kata dete hai'n*
*Aashiq e misam e tammar se bach kar rehna*

*Kaat le jayega sir tera dar e zainab par*
*Hurmala waqt ke mukhtaar se bach kar rehna*

*Maa'n ne marhab ki kaha tha use bachpan me kabhi*
*Khaas kar haider e karraar se bach kar rehna*

*Dekh pal bhar me mita dega hukumat teri*
*Shaikh tu sheh ke azadaar se bach kar rehna*

*Aakherat teri sanwar jayegi kaifi lekin*
*Tu faqat dirham o dinaar se bach kar rehna*

Kaifi kalkatwi........✍🏻

🌳
13. Janab Naushad Bijani Sb:

Deen ke naam pe kuchh log chalaate hai'n dukaa'n.

Ayse dunya ke talabgaar se bach kar rehna.

Shaayeri shirko ghuloo se ho mulavvas jis ki.

Ayse makkaar ke ashaar se bach kar rehna


🌳
14. Janab Ghazi Abbas sb:
*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Aashiq e meesam e tammaar se bachkar rehna*

Mujtaba ke kabhi iqraar se bachkar rehna
Aur kabhi shaah ke inkaar se bachkar rehna

Fauj ke sayyad o sardaar se bachkar rehna
Gaazi Abbas e alamdaar se bachkar rehna

Damm nikaljaayega aadaa ki bass ek aahat se
Sher e Hyder ki Wo lalkaar se bachkar rehna

Parcham e gaazi merey Ghar pey hai saaye ki tarha
Merey Ghar ke darr o deewaar se bachkar rehna

Akbar o qasim o Abbas se Hyder hai yahaa
Lashkar e sayyad e abraar se bachkar rehna

Haskey shabbir ke haatho pey ye asgar Ney kahaa
Hurmala, ab tu merey waar se bachkar rehna

Maut sheerii hai shehad se bhi yahaa qasim ko
Uskey talwaar ki raftaar se bachkar rehna

Rondh daaleygi tumhey paav taley lamhey mey
Zaalimo Gaazi ke rehwaar se bachkar rehna

Kaat daaleyga zabaa'n se hi sitamgaaro ko
*Aashiq e meesam e tammaar se bachkar rehna*

Aagaye sayyad e Sajjad sarr e shaam yazeed
Ab tu zanjeer ki jhankaar se bachkar rehna

Aakey shaitaa'n Ney ye duwwam se kahaa sheikh suno
Tum to bass laanato ki waar se bachkar rehna

Lekey doobey na malangii ye tumhey bhi logo
Uskey har waar se aur pyaar se bachkar rehna

Jiska qoo'n Paak nahii Wo hii kaheyga ye baat
*"GAAZI"* ke nauha o ash'haar se bachkar rehna

-Az Qalam e *"GAAZI"*

🌳
15. Janab Syed Ali Abbas Naqvi Fasih Sb:

..............................

Chahata hai tu agar naar se bach kar rahna.
Dushman e hyder e karrar se bach kar rahna.

Bech de apna jo imaan jahan ki khatir.
Aisi daulat ke talabgaar se bach kar rahna.

Jab saqi ibne saqi hai mera maula dega.
Bas tu imaa'n ke qharidaar se bach kar rahna.

Khooni matam ke mukhalif ko nasihat hai meri.
Pairo e hazrat e mukhtar se bach kar rahna.

🌳

16. Janab Masoom Haidari Maroofi sb:

🌹TARAHI KALAAM🌹

🌹Har munafiq se riyakaar se bach kar rahna,
Aastee'n me chhupi talwaar se bach kar rahna.

🌹Kuchh shayateen bhi mullao'n ki poshaak me hain,
In aqeedo'n ke kharidaar se bachkar rahna.

🌹Bhai Bhai ka hi Dushman ho Bharosa kya hai,
Apne aangan ki hi diwaar se bachkar rahna.

🌹Gar Zubaida si ho niyat to bahot achha hai,
Warna phir dirham-o-deenar se bachkar rahna.

🌹Fakhr-e-Yusuf ke ghulaamon me tumhara hai shumaar,
Dekhna misr
ke bazaar se bachkar rahna.

🌹Fauje baatil se nikal kar ye bataya hur ne,
Dagmagati hui sarkaar se bachkar rahna.

🌹Azm rakhte hain wahi seene me rakhte hain jigar,
Aashiq e meesam e tammaar se bachkar rahna.

🌹Inteqam e shahe mazloom lage jab lene,
Shor utha kufe me Mukhtaar se bach kar rahna.

🌹Yaad har waqt dilati rahi marhab ki maa'n,
Jang me Haidar e karraar se bach kar rahna.

🌹Leke Sarwar se riza aagaye maida'n me habeeb,
Shaahe wala ke madadgaar se bachkar rahna.

🌹Maa'n ne bachpan se sikhaya hai mujhe Naad-e- Ali,
Mujhko aata hai har aek waar se bachkar rahna.

🌹Haq ne jab aqla ka tohfa tumhe bakhsha hai to phir,
Phool se pyaar karo khaar se bachkar rahna.

🌹Khud kaha zulm se darbaar ke sannate ne,
Aek qaidi se giraftaar se bachkar rahna.

🌹Naam "Masoom" hai masoom(as) ka shaydai hun,
Mujhko aata hai gunahgaar se bachkar rahna.

🌹Wassalam🌹🙏🏻

No comments:

Post a Comment