Tuesday 2 January 2018

Tarhi Misra: Yazeed zulm tera AansuwoN se haar gaya

[17/12/2017]

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Yazeed zulm tera AansuwoN se haar gaya*

*یزید ظلم تیرا آنسؤں سے ہار گیا*

Qafiya: 👉 *AaNsuwoN*
Radeef : 👉 *Se haar gaya*

Misra by👉🏻  *Altaf Haidari Maroofi*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata aap hazraat ke peshe khidmat hai.

🌹

1. Janab Azam Maroofi sb

1
raha jo takht nashee'n bekaso'n se haar gaya...
ladayi jeet li or qaidiyo'n se haar gaya... 
2
le dekh aaj b jaari h shaah pr rona.......
yazeed zulm tera aansu'o'n se haar gaya.. 
3
sitam ne jinke gale karbala me kaate the.....
wafa o sabr k un paikaron se haar gaya....
4
sadaye'n aati rahin khanjaro'n ki maqtal se.. .. .
har eik zulm bureeda saro'n se haar gaya...
5
hamesha rahta tha sairaab zulm ka lashkar...
magar Husain as. k tishna labon se haar gya .....
6
foraat tujhpe abi tak hai qabaza-a-Ghazi.......
sitam kate huye do bazuo'n se haar gya....
7
har ek daur me dushman lada zaroor magar......
sada wo mahfilo'n or majliso'n se haar gya....
8
daboch rakkha hai darbar ko shikanje me.....
la'ee'n machalti huyi mutthiyon se haar gya....
9
ghame Husain hamare dilo ki taqat h.......
jo is se door h azam Ghamo'n se haar gya....

🌹

2. Janab Zia Haidar sb

1.
Ghame Husain se ladkar ghamoN se haar gaya,
Wo fatve dete huye bidatoN se haar gaya.

2.
Le aaye teer the talwaar the or khanjar bhi,
Magar yazeed tu sookhe galoN se haar gaya.

3.
Le aaye laakh hoN fauji magar ay sheikh suno,
BahattaroN ke haiN wo hausloN se haar gaya.

4.
Chiraagh gul kiya fir bhi gaye ashaab na jab,
Yazeed us ghadi un faisloN se haar gaya.

5.
Sitam ki aaNdhiyaaN kaisi chali hoN maqtal meiN,
Hai par ghuroor tera beridoN se haar gaya.

6.
Kari thi zulm ki toone to intehaaN zaalim,
Magar sakeena ke haiN baaliyoN se haar gaya.

7.
Azaaye Shaah ye kahti zamaane bhar se hai,
Yazeed zulm tera aaNsuwoN se haar gaya.

8.
Mili hai sadqaye maula ZIA ko ye raunaq,
Wagarna tha yahaN tanhaiyoN se haar gaya.

🌹

3. Janab Zeeshan Aazmi sb

यज़ीदी ग़लबा    बहत्तर  सरों से हार गया
वह प्यासे करबला के बेकसों से हार गया

ग़मे हुसैन   है ज़िन्दा,   हुसैन     जीत गये
यज़ीद ज़ुल्म   तेरा आंसुओं   से हार गया

✍ ज़ीशान आज़मी

یزیدی غلبہ    بہتر    سروں   سے ہار گیا
وہ پیاسے کربلا کے بے کسوں سے ہار گیا

غمِ حسین   ہے   زندہ،  حسین جیت گئے
یزید ظلم  تیرا    آنسؤں     سے    ہار گیا

🌹

4. Janab Hasnain Maroofi sb

ہے غل کہ خار  چمن کا گلوں سے ہار گیا

خزاں کا دور اٹھا وادیوں سے ہار گیا
۔ 🌹
تڑپ کے مر گیا خنجر ستم کے ہاتھوں میں

گلوے صبر کے پیغمبروں سے ہار گیا
۔ 🌹
سرِ حسین سناں پر بتا رہا ہے ہمیں

کہ خنجروں کا قبیلہ سروں سے ہار گیا
   ۔ 🌹
محاذ جیت کے نازاں ہوا بہت لیکن

غموں کے بیچ ستم عابدوں سے ہار گیا
۔ 🌹
اسیر ہوکے غریب الوطن نے جیت لیا

امیرِ شہر مگر قیدیوں سے ہار گیا
۔ 🌹
کلامِ پاک کو کر کے شہید خوش تھا بہت

یزیدِ نحس مگر آیتوں سے ہار گیا
۔ 🌹
یزید شہر کا اپنے امیر تھا لیکن

برا تو تب ہوا جب مفلسوں سے ہار گیا
  ۔ 🌹
حسینی صبر کے ماتم سے آ رہی ہے صدا

یزید ظلم  ترا  آنسؤں  سے ہار گیا
۔ 🌹
نمازِ شکر ادا کر سکون سے حسنین

ستمگروں کا حسد شاکروں سے ہار گیا
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
حسنین معروفی

🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

hai ghul ki khaar chaman ka galo,n se haar gaya

Khiza,n ka daur utha waadiyo,n se haar gaya
🌹
tadap ke par gaya khanjar   sitam ke haatho,n me

Golowe sabr ke paighambaro,n se haar gaya
🌹
sar e husain sina,n par bata raha hai hume,n

Ki khanjaro,n ka qabeela saro,n se haar gaya
🌹
mahaaz jeet ke naaza,n hoa bahot lekin

Ghumo,n ke beech sitam aabido,n se haar gaya
🌹
aseer ho ke ghareeb ul watan ne jeet liya

Ameere shahr magar qaidiyo,n se haar gaya
🌹
kalaame paak ko kar ke shaheed khush tha bahot

Yezeede nahs magar aayeto,n se haar gaya
🌹
yezeed shahr ka apne ameer tha lekin

Bura to tab hoa jab mufliso,n se haar gaya
🌹
husaini sabr ke maatam se aa rahi hai sada

Yezeed zulm tera aansowo,n se haar gaya
🌹
namaaze shukr ada kar  sokoon se hasnain

Sitamgaro,n ka hasad shaakiro,n se haar gaya

🌹

5. Janab Mohsin Banarsi ab

*Ye baat haq ke lakhoñ ko saath laya tha...*
*Magar yazeed bahttar saroñ se haar gaya.!!*

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

*Bata diya hai ye naize pe bol kar sheh ne...*
*Sitam ka waar bhi sukhe galoñ se haar gaya.!!*

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

*Ruki na majlis e shabbeer dekh le mufti...*
*Har ek fatwa tera majlisoñ se haar gaya.!!*

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

*Bicha ke farsh e aza ye bata gayi zainab...*
*Yazeed shaam me kuch kaidiyoñ se haar gaya.!!*

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

*Hui hai sabr ki fatha tu dekh le zalim...*
*Yazeed zulm tera aansuoñ se haar gaya.!!*

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

_*✍🏻-"Mohsin Banarsi...!!*_

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂
🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

_*```یہ بات حق ہے کے لاکھوں کو ساتھ لایا تھا*_```
_*```مگر یزید بہتّر سروں سے ہار گیا*_```

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

_*```بتا دیا ہے یہ نیزے پے بول کر شہ نے*_```
_*```ستم کا وار بھی سُوکھے گلوں سے ہار گیا*_```

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

_*```رُکی نہ مجلسِ شبّیر دیکھ لے مفتی*_```
_*```ہر ایک فتویٰ تیرا مجلِسوں سے ہار گیا*_```

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

_*```بچھا کے فرشِ ازا یہ بتا گئی زینب*_```
_*```یزید شام میں کُچھ قیدیوں سے ہار گیا*_```

🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂🌸🍂

_*```ہوئی ہے صبر کی فتھا تُو دیکھ لے ظالِم*_```
_*```یزید ظُلم تیرا آنسوں سے ہار گیا*_```

🌹

6. Janab Asmee Sarkar sb

*Sitam guzare bahttar Pa waqt ka kaabil...*

*Sabar se lipte hue Haabilo'n se haar gaya....*

*Gawahi aaj Bhi deta hai har azakhana...*

*Yazeed zulm tera aansuo'n Se haar Gaya...*

🌹

7. Janab Sohail Zaidi sb

hai inteha ke kate bazuon se haar gaya
*yazeed zulm tera aansuon se haar gaya*

uthake chullu me darya k munh pe maar diya
tamam pani bhi tashnalabon se haar gaya

ye bole sham ke hakim se sayyade sajjad
pinha k bediya'n khud bediyo'n se haar gaya

yazeed hoga tu hakim kisi shahr ka magar
tu apne shahr mein hi bekason se haar gaya

gali me apne to kutta bhi sher hota hai
tu ghar me apne sitam sabiro'n se haar gaya

sitam ne chaha badal den sharee'ate islam
nabi ke deen ke kuch rahbar'on se haar gya

'sohail' ho nahi sakta wo pairukare hussain
jo apne waqt ke kuch zalimo'n se haar gya

🌹

8. Janab Kumail Nagri sb

Jafa parast to you'n sabero'n se haar gaya.
Ke jaise shaita'n koyi momino'n se haar gaya.

🌹

Kabhi suna nahi hum ne ke buturaabi ko.
Ali ke hote huye mushkilo'n se haar gaya.

🌹

Bitha ke pahera'h wo baheti furaat par laikin.
Bala ke dasht me tashna labo'n se haar gaya.

🌹

Dubona chaahta tha jinko zulm ka paani.
Tadap ke sabr ke un sahelo'n se haar gaya.

🌹

Aaeer kar ke haram ko wo taalibe bai'at.
Ali ke ghar ki sabhi aayato'n se haar gaya.

🌹

Har eak jang me jo mulk fathayaab rahaa!
Hamari qaum ke wo rehbaro'n se haar gaya.

🌹

Bata raha hai yehi arbayeen ka manzar.
Sitam to zayero'n ke hawslo'n se haar gaya.

🌹

Mowarraqeen ne tareeqe karbala me likha.
Jo eak jhoota tha wo sadeqo'n se haar gaya.

🌹

Wo dekho aagaye zainab ke saath me sajjad.
Hai kaisa taqt nashee'n qaidiyo'n se haar gaya .

🌹

Bichaa ke farshe azaa bhaayi ki bahen boli.
Yazeed zulm tera aansuo'n se haar gaya .

🌹

Sinaa pe kehte hai'n hanste huye bahattar sar.
Wo bad nasab hai jo zinda dilo'n se haar gaya.

🌹

Zamaana jab bhi mitaane chalaa *kumail* azaa.
Azaa e shaa'h ke har manchalo'n se haar gaya.

🌹

9. Janab Masoom Haidari Maroofi sb

Yazeed haar Gaya qaidiyoN se haar Gaya

Mahal me rah ke bhi ujde gharoN se haar gaya
🌹
Ali ke saath Jo the haadesoN se jeet gaye

Jo in se door raha mushkiloN se haar gaya
🌹
Bada ghuroor tha jis tez dhaar Khanjar Ko

Wo Karbala me burida saroN se haar gaya
🌹
Alam ka aaj bhi uthna dalil e mohkam hai

Sitam jari ke Kate baazuoN se haar gaya
🌹
Wo jiska baar Kayi pahlwaN uthate the

Mere Ali ki wo do ungliyoN se haar gaya

🌹

10. Janab Aaftab Husain jafri sb

  Ameer e sham tu kin aslahon se har gaya
  Gareeb aankhon k kuch aanso,on se har gaya

Jinhe,n samjhta raha tu aziyaton ka pahaad
  Ghroor e khaar unhi,n  Aablon se har gaya

 
🌹

11. Janab Kaifi kalkatwi sb
*BISMILLAH*

*Tu reh ke lakho'n mei'n chand mukhliso'n se haar gaya*
*Chamakti aankho'n se sukhe labo'n se haar gaya*

*Shuja mei'n haar gaya honslo'n mei'n haar gaya*
*O bad nasab tu har ik marhalo'n nei'n haar gaya*

*Furaat karna saka qabza laakho'n ka lashkar*
*Faqat kate huwe do bazuo'n se haar gaya*

*Hai kya ghazab huyi aye hurmala shikast teri*
*Abaa se khelti chand ungliyo'n se haar gaya*

*Aziyato'n ne ye samjha ke mai'n to jeeta hoo'n*
*Kaha zamaane ne tu to ghamo'n se haar gaya*

*Karoo'n na kaise mai'n aelaan fath ka ka Kaifi*
*Yazeed zulm tera aansuo'n se haar gaya*

No comments:

Post a Comment