Tuesday 13 February 2018

Tarhi Misra: Bana di MajlisoN ki kaayenaat Zainab ne

[15/01/2018]
: *بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E QASEEDA*  

              👇👇👇👇

*Bana di MajlisoN ki kaayenaat Zainab ne*

Qafiya: 👉 *Kaayenaat*
Radeef : 👉 *Zainab ne*

بنادی مجلسوں کی کائٍنات زینب نے

ق: کائٍنات
ر: زینب نے

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir Abbas  Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai.

 

1. Arshad Sirsivi Sb:
Aseer hoke  bhi rakhi hai ahtiyaat aisi
Kiye na tarq kabhi wajibat zainab ne

Wo jis maqam pe hosh o hawas ud jaye'n
Ada kiye waha som o salat zainab ne


2. Kumail Nagri Sb:

*Banaa di majliso'n ki kaayenaat zainab ne*

Ali ke paa ke mokammal sifaat zainab ne.
Mitaa di  zulm o tashaddud ki zaat  zainab ne.

🌹

Uthi wo lehr ke aywaane zulm doob gaya.
Bahaayi sabr ki aisi furaat zainab ne.

🌹

Ali ke lahje me dekar bayaa'n sare darbaar.
Sitam ko din me dikhayi hai raat zainab ne.

🌹

Jalaal hazrate abbas ka utar aaya.
Na jaane kaunsi kehdi hai baat zainab ne.

🌹

Bade hi sabr se zindaane shaam me rahkar.
Badhayi deene nabi ki hayaat zainab ne.

🌹

Azaa ka farsh bicha kar yazeed ke ghar me.
*banaadi majliso'n ki kaayenaat zainab ne*

🌹

*Kumail* qatl shehe karbala huye jis dam.
Rakha sakina pe shafqat ka haat zainab ne.

🌹

*kumail* nagri.... ✍🏻
🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑

3. Zia Dandupuri Sb:

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Kinaare rakh ke sabhi khwahishaat Zainab ne,
Bachaaye deen ke hajjo zakaat Zainab ne.

2.
Dikha ke zulm ko uski wafaat Zainab ne,
Diya hai bhai ka har simt saath Zainab ne.

3.
Nisaar betoN ko karke khuda ke mazhab par,
Diya hai deen ko aabe hayaat Zainab ne.

4.
BaNdhe the pusht pe Zainab ke haath fir bhi hai,
Ada kiye sabhi haiN waajibaat Zainab ne.

*5.* *Qata band*
*Kalaam lahjaye Haidar me karke zaalim ki,*
*Bigaad dahr meiN di zaat paat Zainab ne.*

*The saat sau to magar goonge the bane baithe,*
*Dikhaayi lahje me wo deeniyaat Zainab ne.*

6.
Jagah jagah pa bayaN zikre karbala kar ke,
Dilaayi kufr se deeN ko nijaat Zainab ne.

7.
Qalam hai kufr ka sar karke apne khutboN se,
Hila di kufr ki har hai qanaat Zainab ne.

8.
Khada yazeed na ho paya fir hai kadmoN par,
Dikhaaye usko wo haiN haadsaat Zainab ne.

9.
Buland dahr me karke azaaye sarwar ko,
Bana di MajlisoN ki kaayenaat Zainab ne.

10.
Qalam liye ZIA kaagHaz pa likhne jab baitha,
Ata kiye sanaaye harkiyaat Zainab ne.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
17.01.2018

4. Navshad Bijani Sb:

🌹
Fida ki dee'n pe rida aali zaat zainab ne.
Magar di taalibe bay'at ko maat zainab ne.

Bana di majliso'n ki kaayenaat zainab ne.
Ata kiya hai yun dee'n ko sabaat zainab ne.

Ali ke lehje me khutbaat ki havsao'n se.
Bujha di zulm ki sham'e hayaat zainab ne.

Sare sitam juda shamsheere sabr se kar ke
Fane vigha ke nikhaate nikaat zainab ne.

Na bad-dua ki kabhi seh ke zulm ummat ke.
Yeh qaum pe hai kiya iltefaat zainab ne.

Nabi ke misl hai vahdaaniyat ko bakhsha farogh.
Bayaan kar ke khuda ki sifaat zainab ne.

Aza ka farsh ata kar ke saari dunya ko.
Sikhaaye tarze hayaato mamaat zainab ne.

Ali ne tode hai'n laat o manaat patthar ke.
Sitam ke tode hain laat o manaat zainab ne.

Lutaai maine hai daulat aza pe jab navshad.
Ada kiye hai woh sab akhrajaat zainab ne.
🌹




😭
Suna hai shaame ghareena'n ki raat zainsb ne.
Uthaai khayme ki tooti qanaat zainab ne.

Diya tha ghaazi ki maanind raat bhar pehra.
Musibato'n me shujaa'at ke saath zainab ne.

Balaa ke dasht me ehle haram ki aankho'n se.
Thi dekhi ashko'n ki behti furaat zainab ne.

Sulaake ret ke bistar pe sheh ke baccho'n ko.
Ibaadato'n me guzaari woh raat zainab ne.

Padi thi laashe'n azeezo'n ki ja-b-ja ran me.
Qaza na hone di fir bhi salaat zainab ne.

Charaagh aankho'n ke qurbaa'n kar ke bhaai par.
Lutaadi apni hai kul kaayenaat zainab ne.

Jari ka tadpega laasha yeh soch kar haaye.
Qadam badaye na sooye furaat zainab ne.

Adu ko maat thi Navshad deni meh'shar tak.
To mulke shaam me paai wafaat zainab ne.
😭

5. Asmee Sarkaar Sb:

🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻🙏🏻

*_kadam Yazid ki Bayyat Pe har kadam rakh Kar..._*

*_Bana Di Majliso'n Ki Qaynaat Zainab Ne.._*

6. Azam Maroofi Sb:

👇👇
Byaan kar ke haqo dee'n ki baat zainab ne.....

Sitam k chehre pe maari hai laat zainab ne......

Khuda k deen pe ik aanch tak na aayegi.......

Sanbhaal rakhi hai sab mushkilaat zainab ne......

Ye rassiyo'n me nahi qaid shaah ki hamsheer....

Ye baandh rakhhe hain bai'at k haath zainab ne.....

Ghame hussain bapa karke zulm k ghar me...

Bana di majliso'n ki kaynaat zainab ne.........

Jo zindagi ko samajhte rahe makaane baqa.....

Qadam qadam pe unhe'n di mamaat zainab ne

Har eik gaam pe dee'n kamyaab hota gya.....

Diya hai itne saleeqe se sath zainab ne.....

bala k dasht me islaam jal raha tha magar....

Bachaali deen ki Azam hyaat zainab ne..

Az qalam   ---- AZAM MAROOFI

7. Aaftab Husain Sb:
    🙏🙏🙏🙏🙏🙏
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷
Saja k majlison ki kaynaat zainab ne...
Husainiyat ko ata ki Hayaat zainab ne..🌷

🌷Bagair mange qalam or dawaat zainab ne...
Dikhaee logon ko rahe najat zainab ne🌷

🌷Ghame Husain ko dunya me javedaani di...
Bana k ashkon ko aabe hayaat zainab ne...🌷

🌷Yazidiyat ko thaherne nahi diya ik pal...
Kisi mahaaz pe ghaazi shifaat zainab ne..🌷

🌷Hamaare waste mansoor kr gaee,n aasa,n..
Rahe najat ki sab mushkilaat zainab ne..🌷

Mansoor raza jafri

8. Suhail Waasti Sb:

🌹🌹*sitam ki jheli h sab mushkilaat zainub ne,*
*magar na tark ki raah e sibaat zainub ne*
*ستم کی جھیلیں ھیں سب مشکالات زینب نے*
*مگر نہ ترک کی راہ ثبات زینب نے "*

*1) aza ke sath me shamil kro namazo ko,*
*dikhai ham ko ye raah e nijaat zainub ne*
*عزا کے ساتھ میں شامل کرو نمازوں کو *
*دکھائی ہم کو یہ راہ نجات زینب نے *

*2)musibato me kisi waqt bhi ko qaza na hui ,*
*dawaam bahsha h tujhko salaat zainub ne*
*مصیبتوں میں کسی وقت بھی  قضا نہ ہوئ*
*دوام بخشا ہے تجھکو صلات زینب نے*

*3) laraz gya h sitamgar ka tkht bhi jis se,*
*ali ke lahje me ki aise baat zainub ne*
*لرز گیا ہے ستمگر کا تخت بھی جس سے *
*علی  کے لہجے میں کی ایسے بات زینب نے*
*4) chali thi sath madeene se leke baito'n ko*
*lutaye bhai pe aala sifaat zainub ne*
*چلی تھی ساتھ مدینے سے لیکے بیٹوں کو *
*لٹاۓ بھائی پہ اعلیٰ صفات زینب نے *

*5) china ke chadaren apni luta ke ghr apna*
*khuda ke deen ko bahshi hayat zainub ne*
*چھنا کے چادریں اپنی لٹا کے گھر اپنا *
*خدا کے دین کو بخشی حیات زینب نے*

*6) ke jinko soch ke ankho se khoon jari ho*
*jigar pe jhele h wo hadsaat zainub ne*
*کے جنکو سوچ کے آنکھوں سے خون جاری ہو *
*جگر پہ جھیلے ہیں وہ حادثات زینب نے *

*7) jafa ke ghr me hi maatam ki ibteda karke*
*bana di majliso ki kayanaat zainub ne*
*جفا کے گھر میں ہی ماتم کی ابتدا کرکے *
*بنا دی مجلسوں کی کاینات زینب نے *

*8)gale pe chalte huye bhai ke dikha khanjar,*
*suhail jabke uthai qanaat zainub ne*
*گلے پے چلتے ہوۓ بھائی کے دکھا  خہنجر*
*سہیلؔ جبکے اٹھائی قنات زینب نے* 🌹🌹🌹

9. Kaifi Kalkatwi Sb: BISMILLAH

Azaa e shah ko di hai hayaat zainab ne
Rakhi hussain ki har ek baat zainab ne

Bitha ke pehre pe abbas se dilawar ko
Yazid chheen li tujhse furaat zainab ne

Nisaar kar ke bayabaa'n mei'n apne bachcho'n ko
Na chhora dasht mei'n bhai ka haath zainab ne

Yazid bach ke na ja payega aseero'n se
Ke band rakhi hai har simt ghaat zainab ne

Kabhi jaha'n me na hoga yazid ab paida
Mita di khutbo'n se zaalim ki zaat zainab ne

Haa'n sir utha na sakega kahi'n zamane mei'n
Sitam ko di hai suno'n aesi maat zainab ne

Bicha ke farsh e azaa baad e asr e aashoora
Bana di majliso'n ki kayenaat zainab ne

Ke jis mei'n mar gayi kaifi hussain ki dukhter
Na jane kaise guzari woh raat zainab ne

Kaifi kalkatwi.....✍🏻

10. Ghazi Abbas Sb:

*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Banaadi majliso'n ki kaayenaat Zainab Ney*

Qilaaf e shaah sunii jab bhi baat Zainab Ney
Hai maari qutbo'n se zaalim ko laat Zainab ney

Sitam ke hosh thikaaney pey aagaye us damm
Ki jabkey baap ke lehjey mey baat Zainab ney

Layee'n ka qutbo'n se kaata jigar sarr e darbaar
Ajab dikhaay*e* wahaa maujzaat Zainab Ney

Ali ke Sher ke parcham ke saaye mey jaakar
Adoo se cheenli badhkar furaat Zainab Ney

Balaa ke dasht mey do laal ko fidaa karkey
Qudaa ke dee'n ki badhaa di hayaat Zainab Ney

Qudaa ke Deen pey kunba lutaakey qudd apna
Adaa ki Deen e nabi ki zakaat Zainab ney

Kabhi bhi shaam mey ab shaam honahii sakti
Sitam se usko dilaaya nijaat Zainab Ney

Adab se Deen Padheyga namaaz e shukraana
Ke jabke Hal ki kayii mushkilaat Zainab Ney

Layeen aaj bhi dartaa hai shaam aaney se
Har eak raah pey usko di maat Zainab Ney

Yazeed e Waqt ke Ghar mey bichaakey farsh e aza
*Banaadi majliso'n ki kaayenaat Zainab Ney*

Kahii pey sabr, kahii par jalaal peysh kiyaa
Ali se seekhey hai sab waardaat Zainab ney

Pakadkey haath ko karbobala se shaam talak
Sikhaayi Deen ko qudd deeniyaat Zainab Ney

Namaaz phir sarr e meraaj pahunchi asr ke baad
Bandhey rasan se padhii jab salaat Zainab Ney

Namaaz e shab mey adaa Karkey shukr ka sajdaa
Guzaari *"GAAZI"* gareebo'n ki raat Zainab Ney

-Az Qalam e *"GAAZI"*


11. Zeeshan Aazmi Sb:

बचाया दिन को    दिन और   रात ज़ैनब ने
उठाई    कर्बला में    मुश्किलात   ज़ैनब ने

कभी ना छोड़ना दामन नमाज का    लोगों
पढ़ी है    रंजो अलम     में सलात ज़ैनब ने

अली के लहजे में दरबारे    शाम में आकर
कि इनकेशाफ यज़ीदों कि ज़ात   ज़ैनब ने

ज़माने वालों को मेंबर से   आज बतलाओ
जहां-जहां जो कीं है हक़ की बात ज़ैनब ने

कोई यज़ीद सा    ज़ालिम न  कर उठाएगा
सितमगरों को दी है    ऐसी मात    ज़ैनब ने

बीछा के फरशे अज़ा देखिए यज़ीद के घर
बना दी मजलिसों की   कायनात ज़ैनब ने

यही     अक़ीदा है ज़ीशान    का हमेशा से
अता की फरशे   अज़ा को हयात ज़ैनब ने

✍ ज़ीशान आज़मी

بچایا دین     کو دن    اور       رات زینب نے
اٹھائی     کربلا     میں     مشکلات زینب نے

کبھی     نہ چھوڑنا     دامن    نماز  کا لوگو
پڑھی ہیں     رنج و الم میں صلات زینب نے

علی کی     لہجے   میں   دربارِ شام میں آکر
کی      انکشاف    یزیدوں  کی ذات زینب نے

زمانے والوں   کو منبر     سے      آج    بتلاؤ
جہاں جہاں جو کی ہے حق کی بات زینب نے

کوئی     یزید    سا     ظالم نہ   سر اٹھائےگا
ستم گروں کو دی     ہے ایسی مات زینب نے

بچھا    کے فرشِ عزا     دیکھئے یزید کے گھر
بنادی مجلسوں     کی      کائنات     زینب نے

یہی    عقیدہ       ہے ذیشان     کا ہمیشہ سے
عطا کی        فرشِ عزا     کو حیات زینب نے

✍ ذیشان آعظمی

12. Urfi Jalalpuri Sb.

جناب *زينب* سلام الله عليها

*بہاکےآنسوئوں کی اک فرات زینب نے*
*ڈبودی ظلم وتتشددکی ذات زینب نے*

*ستم کی قید میں دوسال سختیاں سہ کر*
*وفاوصبرکوبانٹی حیات زینب نے*

*لگی جوآگ توسب خیمےجل گئےلیکن*
*بچائی خیمےسےکل دینیات زینب نے*

*وہ چاہےشام غریباں ہویاکہ زنداں ہو*
*کئےنہ ترک کبھی واجبات زینب نے*

*قدم قدم پہ مصائب ,مگربآسانی*
*عبورکی حدناممکنات زینب نے*

*کوئی حسین کاذاکرکوئی بناشاعر*
*ہمیں یہ بخشےہیں*عرفی *صفات زینب نے*
URFI Jalalpuri
AmbedkarNagar U.P.INDIA

No comments:

Post a Comment