Sunday 18 February 2018

Tarhi Misra: Baad-e-Nabi jalaaya gaya _Ghar_ Batool ka

[28/01/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E SALAM/NOHA*  

              👇👇👇👇

*Baad-e-Nabi jalaaya gaya _Ghar_  Batool ka*

*Qafiya........Ghar*
*Radeef.......Batool ka*

*بعد_نبی جلایا گیا  گھر  بتول کا*

Misra by👉🏻
*Ustad Janab Navshad Bijani Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai.


1. Kumail Nagri Sb:
🏴 *NOHA*🏴

*Gham kha rahi hai roohe payambar batool ka.*
*Baade nabi jalaya gaya ghar batool ka*

*Jalta huwa jo dar gira zahra ki pusht par*
*haaye shikam me margaya dilbar batool ka*

*Pehlu shikista bibi ka chalna mohaal hai*
*thaame hai haath zainabe muztar batool ka*

*Mayyat ko ghusl dete huye roye zaar zaar*
*pehlu ka zakhm dekh ke haidar batool ka.*

*Marqad pe mustafa ke ya nauha hasan ka tha*
*Na na yateem hogaya shabbar batool ka*

*Baade wafaate ahmade mukhtaar ay KUMAIL*
*Kat ta tha waqt rone me aksar batool ka*

*kumail* nagri....✍🏻

29/01/2018

⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛



2.  Ghazi Abbas Sb:

*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

Kaisey badal gayaa hai muqaddar Batool ka
*Baad e nabi jalaaya gayaa Ghar Batool ka*

Kal Tak salaam kartey they jis darr pey Mustafa
Ab jalrahaa hai sholo'n mey wo darr Batool ka

Deewaar o darr ke beech mey dabney se momino
Maa ke shikam mey margaya dilbar Batool ka

Thaamey asaa Wo chaltii hai att'haara saal mey
Kya haal kardiya hai sitamgar Batool ka

Rehmat thi do jahaan ki rehmat ke waastey
Ummat Ney Dil dukhaaya hai kyunkar Batool ka

Aansu nahi lahoo Wo bahaatey hai aaj tak
Pehlu ko jabsey dekhey hai Hyder Batool ka

Baba tumhaarey chaahney waalo Ney dekhiye
Ruqsaar neeley kardiye aakar Batool ka

Dikhlaati rehgayi Wo wahaa baap ki sanad
Jhutlaadiye gawaah jahaa par Batool ka

Qabr e nabi pey Zehra Jo karney lagii bukaa
Rotey they bayn sunkey payambar Batool ka

Karbobala mey zainab o kulsoom kii nahi
Dar asl cheeni zulm Ney chaadar Batool ka

Jis farsh par Batool bahattar ko roti thi
Maatam hai uspey kartey bahattar Batool ka

*"GAAZI"* tu kar dua ke imam e zamaa'n ke saath
Maatam karey baqiyya mey milkar Batool ka

-Az Qalam e *"GAAZI"*
30/01/18.



3. Kaifi Kalkatwi Sb: *BISMILLAH*

*YA ZEHRA* s.a

*Ummat ne aese dhaaya hai kuch dar batool ka*
*Bhulega gham zamana ye kyu'n kar batool ka*
*Aate the saare jhuk ke nabi ki hayaat mei'n*
*Baad e nabi jalaya gaya ghar batool ka*

*امّت نے ایسے ڈھایا ہے کچھ در بتول کا*
*بھو لیگا غم  زمانہ  یہ کیونکر  بتول کا*
*آتےتھےسارےجھک کےنبی کی حیات میں*
*بعدِ  نبی   جلا یا   گیا   گھر  بتول کا*

Kaifi kalkatwi.....✍🏻


4. Mohsin Banarasi Sb: 😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Misra:- Bade nabi jalaya gaya gher batool ka..!!*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Ummat ne haay ajre risalat me gum diya...
Baade nabi jalaya gaya gher batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Pahlu shikasta ho gaya jalta jo dar gira...
Chalna mohal ho gaya uthkar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Pahlu hai zakhmi baba na mai ji sakungi ab...
Rote the bain sun ke payumbar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Jab tak nahi bulayengi amma na jaunga...
Kahta tha door pe khada dilbar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Haq mangna rulayega bibi ka hashr tak...
Darbaar me shaqi ke yuñ aakar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Jhuti hai kah ke phaad di tahreer e mustafa...
Gasib fidak jo baithe haiñ khakar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Har ek zulm dhaya hai ummat ne aapki...
Kabre nabi pe bain tha rokar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Jhuk jhuk kar rahe the jise mustafa salam...
Ummat ne hi jala diya wo dar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

Zulmo sitam ki aandhiyañ mohsin nahi ruki...
Dhaate hai haay rauza sitamgar batool ka.!!

😭😭😭😭😭😭😭😭😭

   *✍🏻•••• Mohsin Banarsi ••••*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭


5. Hur Karbalayi Sb:
*اللہ اکبر ۔۔۔*
*خامنہ ای رہبر ۔۔*

*لو پڑگئ  مدینے میں  بنیاد کربلا ۔۔*
*توڑا ستم نے پہلوۓ اطہر بتول کا ۔۔*

*کچھ یوں دلِ نفاق کے شعلے بھڑک اٹھے ۔۔*
*بعد نبی جلایا گیا گھر بتول کا ۔۔*
*حر کربلا ئی جلالپوری ۔*

*Lo padgayi madeene me buniyad e karbala ..*
*Toda sitam ne pahluwe athar batool ka ..*

*Kuch yo'n dil e nafaaq ke shoole bhadhak uthe ..*
*Bad e nabi jalaya gaya ghar batool ka ..*

*Hur karbalai jalalpuri...*
*up india..*



6. Zia Dandupuri Sb:

Bismillah hirrahma nirraheem

😭😭 *NAUHA*😭😭

*Nauha yahi tha jaan e Payambar Batool ka,*
Baad e nabi jalaaya gaya ghar Batool ka.

1.
Zahra Bayaan karti thiN Qabre Rasool par,
Ummat ne baba aapki tukde kiya jigar,
*Afsos Jeena kar diya doobhar Batool ka.*

2.
Ay zaalimo batao maiN kya Fatima nahi,
Baba mera Rasool e zaman aapka nahi,
Ye tha sawaal binte payambar Batool ka.

3.
Baba maiN kahti jati thi beti nabi ki huN,
Maadar Hassan-Hussain ki Zauja Ali ki huN,
HaNste the sab kaleja dukha kar Batool ka.

4.
Kaise bayaN ho Baba sitam kya nahiN huva,
Darbaar me Mal'oon ne ruswa mujhe kiya,
Kaisa badal gaya tha muqaddar Batool ka.

5.
Baba tumhare baad shukooN chain na raha,
Baba Fidak ko chheen ke Zalim ne ki jafa,
*Dushman bana huwa tha sitamgar Batool ka.*

6.
Dar ko giraaya mujhpe mera ghar jalaa diya,
Deewaro dar ke beech mera tan bhi aa gaya,
Hy hy sikam me mar gaya dilbar Batool ka.

7.
Ghusl o kafan jo laash e mutahhr diya gaya,
Haalat pe khasta jism ki Moula bhi ro Pada,
Dard o alam ka baab tha paikar Batool ka.

8.
Zainab pachhade khati thi Kulsoom roti thi,
Hasnain ko bhi maa ki tadap inteha ki thi,
Zaar o qataar rota tha Shauhar Batool ka.

9.
Beshak ZIA hai Fatima Zehra ki ye nazar,
Har waqt har jagah pe azadaare Shaah par,
Saaya rahega Shaah ki maadar Batool ka.

😭😭😭😭😭
✍🏻 Zia Haidar
01.02.2018


7. Navshad Bijani Sb: 😭

Gham karte hain lahad me payambar batool ka.
Maatam najaf me karte hain haidar batool ka.

Baaba ko ro na paai woh, kehke yu'n baar baar.
Padte hai nawha saakiye kavsar batool ka.

Nusrat na uski kar saka tha waqte imteha'n.
Ro ro ke keh raha hai yeh shauhar batool ka.

Khaybar tha jis se dhaaya woh ungli ko dekhkar.
Gham kha rahe hai faatehe khaybar batool ka.

Shabber maa'n ke gham me hai karbal me mubtela.
Ghamkhwaar hai baqee'(a) me shabbar batool ka

Shaamil dare batool jalane me jo na the.
Karbal me woh jalaatne gaye ghar batool ka.

Us waqt maa'n ke mil gaye aarmaan khaak me.
Jab ho gaya shaaeed guletar batool ka.

Lena tha inteqaam mohammad se is liye.
Baade nabi jalaaya gaya ghar batool ka.

Subbat alayya ujdi lahad se baqee'(a) me.
Navshad navha sunta hain aksar batool ka.

*✍Navshad Bijani*
*📋 02/02/2018*



8. Azam Maroofi Sb:

Pursa ali ko dena h rokar batool ka...

Taza h zakhm aaj b dil par batool ka...

Zulmo sitam ki aag se madar k batn me....

Beta tadap k mar gya muztar batool ka....

Gulshan ujad chuka h nabi ki wafaat se....

Q dar jala rahe hain sitamgatar batool ka...

jab tk sada na dengi nahi aayega husain...

marqad pe apni royega dilbar batool ka..

Dekha jo zakhme fatema zahra bawaqte ghusl..

Roya h cheenkh mar k shauhar batool ka..

sar peet'ti hain zainabo kulsoom baar baar....

Gham kar rahi hain dono barabar batool ka...

Zakhmi jigar hua h Hasan ka feraaq me..

Gham kis tarah uthayenge madar batool ka..

Ummat ne kaise ajre resalat ada kiya..

Bade nabi jalaya gya ghar batool ka..

Azam nabi ki qabr larazti rahegi ab...

Sadma liye huye hain payambar batool ka..

Azam Maroofi

No comments:

Post a Comment