Sunday 18 February 2018

Tarhi Misra: Bahaare khulde bareeN leke aa gaye sajjad

[03/02/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Bahaare khulde bareeN leke aa gaye sajjad.*
*بہارِ خلدِ بریں لیکے آگئے سجاد*

*Qafiya........Aa*
*Radeef.......Gaye sajjad*

Misra by👉🏻
*Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke Salaam, Noha aap hazraat ke peshe khidmat hai.

1. Azam Maroofi Sb:

👇
Rukhe yazeed se parda utha gye sajjad...

Zamane bhar ko haqeeqat dikha gaye sajjad.....

Sitam ko jaise hawa me uda gaye sajjad...

Kuch aise zulm ki hasti pe chha gaye sajjad.

Qasam khuda ki nahi eik eeent bhi chhori....

Sitam ki neew talak b gira gaye sajjad....

Adab se aaj b duniya salam karti hai...

Ai deen tera moqaddar bana gye sajjad

Aza'n dilane laga zalime zamaa'n dar kar....

Jo do(2) ghadi ko hi mimbar pe kya gaye sajjad...

Dam apan zulmo sitam ki kheza'n ne tod diya....

Bahare khulde baree'n leke aagaye sajjad...

Liye wo sabr ki aatish har eik manzil pr...

Tamaam zulm ki duniya jala gaye sajjad...

Pada tha ghutno pe karbo bala me deene khuda...

Pakad k ungliya'n chalna sikha gaye sajjad....

Saja ke bazme mosarrat har eik soo Azam....

Khushi manao k duniya me aa gaye sajjad..

🖋 Azam Maroofi🖋


2. Muntazir Abbas Sb:

1) JAHA.N JAHA.N BHI TERE NAQSH E PAA GAYE SAJJAD
WO ZARRE KHAAQ KE ME'RAAJ PAA GAYE SAJJAD

2) LAHHO KE QATRE BAHAAKAR KHUD HI KE PAIRO.N SE
ZAMEE.N PE LAAKHO.N SITAARE UGA GAYE SAJJAD

3) JAHA.N PE BEHTA SAMANDAR THA BID'ATO.N KA VAHI.N
AZA E SHAH KA KHAIMA LAGA GAYE SAJJAD

4)UJAD NA PAAEGA FATWO.N KI SAAZISHO.N SE KABHI
AZA KA FARSH DILO.N ME BICHHA GAYE SAJJAD

5) BADE HI THANDE KALEJE SE PADH KE KHUTBA E HAQ
YAZIDIYO.N KE KALEJE JALA GAYE SAJJAD

6). JO KHUD KO ROB SE KEHTA THA SHAAM KA HAAQEEM
KHANAK SE BEDI KI US KO DARA GAYE SAJJAD

7) TU APNE BETE KI NAZRO.N ME BHI THAHAR NA SAKA
YAZEED TUJ KO TO ITNA GIRA GAYE SAJJAD

8) BADALNE VAALI HE ZINDAAN E SHAAM KI QISMAT
BAHAAR E KHULD E BARI.N BAN KE AA GAYE SAJJAD

9) WO JAANA MAAZ PAR SAJDO.N KE SAATH SHAH KA GHAM
SUHAAGA SONE PE KYA HE BATA GAYE SAJJAD

  Sahifa e kaamela..ke havaale se..
10)  HAMAARI HAAJATO.N KO APNE LAFZ PEHNA KAR
QUBOOLIYAT KE MANAARE DIKHA GAYE SAJJAD

11)  KAMAAL KAR GAYE TUM APNE KAAM SE MUKHTAAR
KE ROTI AANKH SE BHI MUSKURA GAYE SAJJAD

12) HAR EK SHER ATA KAR KE *"MUNTAZIR"* TUJ KO
TERI BHI SHASYARI KA QADD BADHA GAYE SAJJAD

shuqre maula....

3. Eram Mehdi Sb:

Wiqaar e Khanaye kaaba badha gaye Sajjad
Khuda se abd e khuda ko mila gaye Sajjad
Riyaz e deen ko pazmurdagi ka khatra tha
Bahar e khuld e bari'n le ke a gaye Sajjad

وقارِ خانئہ کعبہ بڑھا گئے سجاد
خدا سے عبدِ خدا کو ملا گئے سجاد
ریاضِ دین کو پژمردگی کا خطرہ تھا
بہارِ خلدِ بریں لے کے آ گئے سجاد

Eram Mehdi

4. Ghazi Abbas Sb:

Qushi Husain ki aakar badhaa Gaye sajjad
Ali ke jalwey jahaa'n ko dikhaa Gaye Sajjad

Do baala hogayi shabbir ki qushii aisey
Ali ke Ghar mey Ali bankey aa Gaye Sajjad

Phupii ki godh mey, baba ke haatho pey palkar
Dilo'n mey ahley mawaddat ke chaa Gaye Sajjad

Bahaakey ilm ka daryaa har ek ke seeney mey
Nijaat aql e bashar ko dilaa Gaye Sajjad

Jinhoney Deen e qudaa ko mitaana chaaha tha
Unhii ka dehr mey nakshaa mitaa Gaye Sajjad

Ba waqt e asr nidaa e shah e hudaa sunkar
Qudaa ke Deen ko badhkar bachaa Gaye sajjad

Har eak raah pey baazaar yaa ke ho darbaar
Sitam ko qutbo'n se apney rulaa Gaye Sajjad

Yazeed, chain se sonaa hai ab mohaal Tera
Wo dekh, shehr mey Terey qudd Aa Gaye Sajjad

Wo jis mey shauq se jeeta rahaa yazeed e paleed
Usii Mahal ko jahannum banaa Gaye Sajjad

Ley shehr e shaam, muqaddar badalgaya Tera
*Bahaar e quld e baree'n lekey Aa Gaye sajjad*

Pehenkey tauq Wo deykar bayaa'n sarr e darbaar
Yazeed zaado'n ki neendey udaa Gaye Sajjad

Jahaa pey letey na they koi naam sarwar ka
Wahii pey farsh e aza ko bichaa Gaye Sajjad

Ali ke lehjey mey qutbey sunaaye Zainab Ney
Husain bankey zamaaney pey chaa Gaye Sajjad

Qudd apney qoon mey doobey huwey khadey they magar
Jahaa'n ko sabr ka kalmaa padhaa Gaye Sajjad

Pinhaayi shaam ke haakim Ney inko Jo zanjeer
Dayaar e shaam Usii se HIlaa Gaye Sajjad

Terey guroor ko tujhko Mahal mey dafnaakar
Yazeed, teri hukoomat mitaa Gaye Sajjad

Namaaz e ishq adaa Karkey jaltey qaimey mey
Ajab namaaz ki dunya basaa Gaye Sajjad

Andheyraa *"GAAZI"* merey Dil mey aanahi sakta
Ye dil mey shamm e wilaayat jalaa Gaye Sajjad

-Az Qalam e *"GAAZI"*
04/02/18.


5. Sohail Zaidi Sb:


yazeedi zulm ka chehra dikha gaye sajjad
ali ke ghaiz me mimber pe aa gaye sajjad

zamane bhar ko ibadat sikha gaye sajjad
musalla shehar e sitam me bicha gaye sajjad

Zamana dekh le kuch is tarah kiye sajde
Ke qaid khane Ko masjid bana gaye sajjad

khada tha deen bhi mushkil me jab sare darbaar
madad ke waaste darbaar aa gaye sajjad

Zamana dekhe to islaam ki baqa ke liye
Sitam ki hasti jahan se mita gaye sajjad

masal ke rakhi hai gardan yazeed ki dekho
faraz e takht se deeñ ko bacha gaye sajjad

zabaane zulm pe bhi charche bandagi ke hain
*bahar e khuld bareeñ leke aa gaye sajjad*

'Sohail' khutba diya wo ali ke lehje me
Jo zulm ki thi imarat gira gaye sajjad
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

6. Arshad Sirsivi Sb:

Baraye khutba jo mimbar pe aa gaye sajjad
Abu turab ke johar dikha gaye sajjad

Tumhara naksh e kafe pa jo pa gaye sajjad
Hame saleeqe ibadat ke aa gaye sajjad

Wo bediyan jo aziyat me ek izafa thi
Unhe bhi aap zulekha bana gaye sajjad

Asa e sabr o tahammul se bar sare darbaar
Sitam ke neel me rasta bana gaye sajjad

Yazeediyat ka jaha'N maqtab e tashaddud tha
Nisaab e sabr waha'N bhi pada gaye sajjad

Faseel e zulm pe rakh kar charagh e ashq e aza
Husainiyat ki tajalli bada gaye sajjad



7. Kaifi Kalkatwi Sb: *BISMILLAH*

*Sitam ko khauf ka chehra dikha gaye sajjad*
*Ali ke ghar mei'n ali ban ke chha gaye sajjad*

*Ibadato'n ne kaha haq hai murtaza ki qasam*
*Bahar e khuld e baree'n le ke aa gaye sajjad*

Kaifi kalkatwi....✍🏻


8. Navshad Bijani Sb:

Adu ke khaak me arma'n mila gaye sajjad.
Har ayk dil me ghame sheh basa gaye sajjad.

Ghar apna raahe khuda me luta gaue sajjad.
Baraaye deen har ik gham utha gaye sajjad.

Nahi tha jaam woh ayyoob maykade me tere.
Woh jaam-e-sabr jaha'n ko pila gaye sajjad.

Faraar khaare sitam honge gulshane dee'n se.
Bahaare khulde bari'n le ke aa gaye sajjad.

Baleegh-e-aal-e-shahanshaah-e-ambiya ka arooj.
Jaha'n ko khutbo'n se apne bata gaye sajjad.

Samajte the jise shaami rasool ka mimbar.
Use bhi lakde ka takhta bana gaye sajjad.

Gham apne bhool ke ehle haram ki chaadar ka.
Jaha'n se padte huve marsiya gaye sajjad.

Na sar sitam ka uthe fir se, is liye navshaad.
Aza ki shakl me pehre bitha gaye sajjad.

*✍ Navshad Bijani*
*🗒 2018/02/09*


9. Mohsin Banarasi Sb:

*Bishmillah hir rahman nir raheem*
_____________________

Qadam qadam pe mosalla bicha gaye sajjad
Zamiñ ko arshe moalla bana gaye sajjad

Ali ke lahje me khutboñ se waar kar kar ke
Azaan  waqt se pahle dila gaye sajjad

Hayat sajdoñ ko bakhsi hussain ne lekin
Kuch aur sajdoñ ki zeenat badha gaye sajjad

Bujha ke sabr ke tufaan se sitam ka diya
Hussainiyat ka charaga jala gaye sajjad

Na aaya samne baiyyat talab bhi karne koi
Faqeere shaam ko itna dara gaye sajjad

Dayare zulm me lahra ke fat'h ka parcham
Hussain ban ke laeno pe cha gaye sajjad

Ye baat aur hai zanzeer me the jakde magar
Sipahe shaam ko qaidi bana gaye sajjad

Ab isse badh ke bhala haar teri kya ho yazeed
Tere mahel me hi tujhko jhuka gaye sajjad

Na baith payega takhte yazeed pa koi
Dayare shaam me tala laga gaye sajjad

Mahek ye baghe eram ki bata rahi hai hume
Bahaare khulde bareeñ leke aa gaye sajjad

Dayare shaam se majlis ki ibteda karke
Alam hussain ka gher gher laga gaye sajjad

Jahañ pe rok thi zikre hussain pa mohsin
Aza ka farsh wahañ per bicha gaye sajjad

______________________

_*✍🏻•••• Mohsin Banarsi ••••*_

_____________________

10. Zia Dandupuri Sb:
Bismillah hirrahma nirraheem

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Azaa e Shaah diloN me basa gaye Sajjad,
Husainiat ka hai sikka jama gaye Sajjad.

2.
Koyi yazeedi kabhi sar utha na payega,
Yazeediat ka charaga bujha gaye Sajjad.

3.
Nabi ka deen to kho jata jahiloN me kahiN,
Khuda ka shukr hai sajda sikha gaye Sajjad.

4.
Namaze hoti na hota nahi ghame Shabbeer,
Khushi manaiye dunya me aa gaye Sajjad.

5.
MusibatoN pe musibat sahi magar ay sheikh,
Tumhari aaNkho se neeNde uda gaye Sajjad.

6.
Dayaare shaam me khutboN se apne zaalim ke,
Hayaat o maut pe pahra laga gaye Sajjad.

7.
Chala ke khutboN ki talwaar qasr e zaalim me,
Zabaane kaat ke gooNga bana gaye Sajjad.

8.
Hai unke kaano me hota abhi bhi sann sann sa,
Wo jinko khutboN ki gooNje suna gaye Sajjad.

9.
Sunaayi deti hai zanjeer ki unhe jhankaar,
Jinhe hai khutboN se bahra bana gaye Sajjad.

10.
Badha tha farsh e aza ko ZIA bichaane bas,
Bahaare khuld e bariN leke aa gaye Sajjad.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻 Zia Haidar
09.02.2018

No comments:

Post a Comment