Monday 12 March 2018

Tarhi Misra: Gham manaao kar gayi dunya se rehlat Fatema(sa)

[10/02/2018]
*بزم شعراء*

😭 *BAZM-E-SHOARA* 😭
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E NAUHA*  

              👇👇👇👇

*GHam manaao kar gayi dunya se rehlat Fatema*

Qafiya: 👉 *Rehlat*
Radeef : 👉 *Fatema*

*غم مناؤ کر گئی دنیا سے رحلت فاطمہ*

ق: *رحلت*
ر: *فاطمہ*

Misra by👉🏻  *Janab Altaf Haidari Maroofi Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai

1. Kaifi Kalkatwi Sb:

*Arsh par chowda 14 mohammed mahw e girya ho na kyu'n*
*Chal padei'n seh kar musibat aur aziyat fatehma*
*Peet kar apna sar o seena suno'n ahl e jaha'n*
*Gham manao kar gayie'n duniya se rehlat fatehma*

Kaifi kalkatwi.....✍🏻


2. Ghazi Abbas Sb:
*Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Ghum manaao kar gayi dunya se rehlat fatema*

Saarey aalam mey hai bass qaatoon e jannat fatema
Qudd rasool e Paak ki qaatir hai rehmat fatema

Arsh se aati hai qudd jannat Tera darr choomney
Kya kisii chaukhat ko haasil hai ye neymat fatema ?

Teri azmat ko bayaa'n kaisey karey ahley jahaa'n
Terey betey hi hai jab sardaar e jannat fatema

Roz e mehshar rabb se bhi baqshey na jaayengey Wo log
Kar rahi thi is jahaa'n mey jinpey laanat fatema





Paayi hai baad e nabi Kuch aisi qismat fatema
Jheyltii hi rehgayi taa umr shiddat fatema

Martaba jitna badaa Tera hai Bibi dehr mey
Ussey badhkar to yahaa dekhii hai gurbat fatema

Baad baba ke sitamgar Ney sitam aisa kiya
Phir kabhii paayii nahi hai chain o raahat fatema

Aye madeena jitney Ghar tujhmey basey hai Sabke paas
Jaakey pahunchaati thi paigaam e wilaayat fatema

Haaye at'thaara baras mey haath mey aaya asaa
Kaun karpaaye bayaa'n Terii museebat fatema

Ummati aakar tujhey ajr e risaalat yuu Diye
Jalta darwaaza giraakar kii bagaawat fatema

Beech mey deewaar o darr ke jab se tuu hai pisgayi
Naa rahii paslii Teri tabse salaamat fatema

Jab bhi tuu apney masaayab ko bayaa'n karney lagi
Qabr mey rotii rahi rooh e risaalat fatema

Kehti thi aksar Ali se maaf karna aye Ali
Aapki kar na saki Kuch din se qidmat fatema

Apney saarey ghum chupaatii hi rahi Hyder ke paas
Qudd wo sehti hi rahii saarey aziyyat fatema

Kal se apney ghum Bhalaa kisko sunaayengey ali
Murtuza se horahi hai aaj ruqsat fatema

Paar karkey saari hadd beyhurmatii ki ummati
Darr giraakar dhaa gayi tujhpar qayaamat fatema

Raat ki taareeqiyo'n mey dafn mujhko keejiyo
Rokey karti hai Ali se ye wasiyyat fatema

Qoon aankho se bahaakar aaj ke din momino
*Ghum manaao kar gayi dunya se rehlat fatema*

Kis tarha Dil thaamkar mehdi rahengey gaib mey
Hai shikasta tera pehlu aur turbat fatema

Hashr ke din Mustafa qudd rokey poochengey ye baat
Kisney Teri hai banaadi aisi haalat fatema

Dil tadap jaata hai *"GAAZI"* ka ye fikra sochkar
Aaj Tak tootii huwii hai Teri turbat fatema

-Az Qalam e *"GAAZI"*
12/02/18.



3. Kumail Nagri Sb:
🏴*nauha*🏴

Momeno sa'h kar sitam khaToone jannat fatema.
Gham manaa o kar gayi duniya se rehlat fatema

🏴

Paara'h paara'h hai jigar sunkar teri roodade gham.
Karna pavunga bayaa'n teri musibat fatema.

🏴

Jalta darwaza gira kar bibi pehlu par tere.
Zalimo ne dhaa di haaye ek qiyaamat fatema.

🏴

Gham pisar ki maut ka aur zakhmi pehlu ka azaab.
Sa'h rahi hai dekhiye kits kiya aziyyat fatema.

🏴

Haaye 18 baras ke sin me thaame hai asaa.
Zalimo ne kiya banaa di teri haalat fatema.

🏴

Peet kar sar apna roti hai ali ki laadli.
Ho rahi hai zainabe muztar se ruqssat fatema.

🏴

Baade paighambar adu dhate rahe zulmo sitam.
Eak pal bhi dehr me paayi na rahet fatema.

🏴

*Qata band*

Thaam kar dil apna rote hai'n ameer al momenie'n
Kar rahi hai murtaza se ab wasiyyat fatema.

Mere bacho'n ka khayaal ab aap rakhiye ga ali.
Ja rahi hai sonp kar apni amaanat fatema.

🏴

Dekh kar tooti huyi turbat baqiyya'h me *kumail*
Ro rahi hai aaj bhi roohe risalat fatema.

🏴

*Kumail* nagri....✍🏻

⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛


4. Navshad Bijani Sb:

Ho gai daare fana se aaj rukhsat faatema.
Chal basi mulke baka khaatoone jannat faatema.

Ro rahe hai khoon ghaybat me imaame waqt bhi.
Gham manaao kar gai dunya se rehlat faatema.

Dar giraaya zaalimo ne bibi pe jalta huva.
Dee'n ki khaatir seh gai yeh bhi mudibat faatema.

Pehlu zakhmi aur chaknachoor pasli ho gai.
Zulm ki dhaayi gai tujh par qayaamat faatema.

Zulm se deewaaro dar ke darmya'n tu dab gai.
Ho gai tab tere mohsin ki shahaadat faatema.

Aap ke bete ka maatamdaar hu ghamkhwaar hu.
Aap hi navshad ki karna shafa'at faatema.


5. Aaftab Husain Sb:

Karte karte shikwa e bedaad e Ummat Fatema
  Ho gaee,n dunya se aakhir aaj rukhsat Fatema

   Sah na paee,n zakhm e pahloo ki aziyat Fatema
  Gham manao kr gaee,n dunya se rehlat Fatema

   Chal padee,n baba se milne ke lye sooye jina,n
  Apne hoto,n pr liye faryad e Subbat Fatema

   Q na ahle dil ise Aashooraye sani kahe,n
  Aaj ka ye din nahi km az Qayamat  Fatema

  Roz e  mahsher ahle sher chehra chupaye,n ge kaha,n
Ban k jab aaye,n gi Khatoon e Qyamat Fatema

  Zarra bher bhi shak nahi  mansoor ko is bat pr
  De,n gi ashko,n ke ewaz hum sab ko jannat Fatema


6. Zia Dandupuri Sb:

😭😭😭😭😭 Nauha 😭😭😭😭😭

Kah rahe haiN Murtuza hoti hai rukhsat Fatima,

GHam manao kar gayi dunya se rehlat Fatima.

1.
Zulm dhaaya hai musalmaano ne tum par har ghadi

Ghar jalaaya tera or teri bhi ki be hurmati,

Haaye kaise ho bayaN teri musibat Fatima.

2.
Dar pe tere aa ke jhukte the farishte baaraha.

Kehte the umme abeeha tujhko shaahe ambiya.

Bhool baithi ye tere baba ki ummat Fatima.

3.
Tujhpe hai jalte huve dar ko giraya zulm ne,

Tere bachche ko shikam me maar dala zulm ne,

Haaye zaalim dete haiN tujhko aziyat Fatima.

4.
Chubh gayi tere badan me keeleN jis dam dar gira.

PasliyaN tooti tere tan se lahoo behne laga.

Mehve gham thi us ghadi baaba ki rehmat Fatima.

5.
GHusl dete waqt rote the imaame zulmanan.

PasliyaN thi paara paara,  tar lahoo me tha badan,

Royi jannat dekh kar teri yeh gHurbat Fatima.

6.
Arsh wale farsh wale karte haiN maatam bapa,

Dekh ke zulm o sitam ye aap par khairun nisha,

SogH me doobi huvi hai saari khilqat Fatima.

7.
Roti hain Kulsoomo zainab, taari fizza par hai gham.

Ro rahe haiN dekh kar Shabbeer o Shabbar yeh sitam

Ro rahi hai aap ke gham me mashiyyat Fatima.

8.
Kambar o Ammaar Yasir or sabhi ansaar bhi,

Rote jate haiN musalsal sab ke sab Ghamkhaar bhi,

Rote haiN jibreel or gham meiN hai qudrat Fatima.

9.
Khoon rote haiN musibat par teri shams o qamar,

Tuj pe rote hain imaame waqt bhi shaamo sahar.

Karti hai maatam tera har ik ibadat Fatima.

10.
Roz e mehshar apne shiyoN ko ata karna jaza.

Bakhshwa dena ZIA ko hashr me ay Sayyada.

Shayer e aal e aba haiN teri millat Fatima.

😭😭😭😭😭😭😭😭
✍🏻Zia Haidar
15.02.2013

No comments:

Post a Comment