Monday 12 March 2018

Tarhi Misra: Ummat e jad ne tujhe khoon rulaaya Zahra(sa)

[18/02/2018]
*بزم شعراء*

😭 *BAZM-E-SHOARA* 😭
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E NAUHA*  

              👇👇👇👇

*Ummat e jad ne tujhe khoon rulaaya zahra*

Qafiya: 👉 *Rulaaya*
Radeef : 👉 *Zahra*

*امَّتِ جد نے تجھے خون رلایا زھراؐ*

ق: *رلایا*
ر: *زھراؐ*

Misra by👉🏻  *Janab Altaf Haidari Maroofi Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke Nauha, Salaam aap hazraat ke peshe khidmat hai

1. Ghazi Abbas Sb

Tujhpey Ummat Ney sitam yuu bhi hai dhaaya Zehra
Tujhpey jaltaa huwa darwaaza giraaya zehra

1) Daag e baba ko abhi Dil se tu bhoolii hi nahi
Qabr e paigambar e aazam bhi abhi sookhi nahi

Kitna jaldi tujhey Ummat Ney sataaya zehra

2) Jab zamee'n par tu girii, tujhpey tha jalta huwa darr
Aur sitamgaar Ney us darr pey qadam rakh rakhkar

Tujhsey Mohsin ko Terey door karaaya zehra

3) Haaye Hyder ki shabii ko kaha dunya dekhi
Haaye Mohsin ki ziyaarat bhi na qudd tuu Ney kii

Usney maa kehkey bhi tujhko na bulaaya Zehra

4) Terey shauhar ko madeeney ke galii koocho'n par
Aur Terey beytiyio'n ko koofey ke chauraaho'n par

Baandhkar rassi se aadaa Ney phiraaya Zehra

5) Arsh par rooh e nabi qoon bahaakar royi
Farsh par gairat e Hyder bhi lahoo roti thi

Jabke darbaar mey zaalim Ney bulaaya, Zehra...!!!

6) Jo terey baba Ney dii thi Wo fidak ki qaatir
Jab tu peyshii mey saqeefa ki huwii thi haazir

Tujhko thehraakey layeeno'n Ney sataaya Zehra

7) Jiskey saaye ko bhi sooraj Ney kabhi dekha nahi
Usko darbaar mey logo'n ki nagaahey ghoori

Sadma ek ye bhi Terey Dil ko dukhaaya Zehra

8) Jis nawaaso'n ko nabi kehtey they aksar sachey
peysh ki tuu Ney gawaahii mey wohii do bachey

Jhootey kehkar unhey zaalim Ney hataaya zehra

9) Haath ek pehlu pey rakh kar tu zamee'n par baithi
Qudd hi chunney lagi tukdo'n ko sanad ke Bibi

Teri imdaad ko jab koi na aaya Zehra

10) Lekey paigaam e wilaayat tu har ek Ghar ko gayi
Haaye har darr pey tu ruk rukkey sadaa deney lagi

Baat sunney koi baahar bhi na aaya Zehra

11) Darr giraakar kabhi pehlu ko shikasta Karkey
Aur turbat ko baqiyya' mey shikasta karkey

*ummat e jadd Ney tujhey khoon rulaaya zehra*

12)Aaqri Teri wasiyyat ko adaa karney mey
Murtaza Terey hi bacho'n ka sahaara lekey

Shab ki taareeqi mey laashey ko uthaaya Zehra

13) Tuu Ney jab rokey pukaara tha kahaa ho mehdi
Ashq e khoo'n jabse hi barsaakey Wo kehta hai yehii

Teri imdaad ko my aa nahi paaya Zehra

14) Zulfeqar e asadullah ko thaamey *"GAAZI"*
Kabsey beychain hai pardey mey imam e MEHDI(ajtf)

Leney badlaa Tera ab usko bulaa yaa Zehra

-Az Qalam e *"GAAZI"*
19/02/18.




2. Suhail Waasti Sb:
*سلام علیکم*

*baad e Ahmad tujhe zalim ne sataya zehra*
*بعد احمد تجھے ظالم نے ستایا زہرہ *
*haay afsos tera ghar bhi jalaya zehra*
*ہاۓ افسوس تیرا گھر بھی جلایا زہرہ*
1)
*ho gya pehlu shakita tera  kaisa h sitam*
*ہو گیا پہلو شاکستہ تیرا کیسا ہے ستم*
*par sitamgar ko zara rehm na aya zehra*
*پر ستمگر کو ذرا رحم نہ آیا زہرہ*
2)

*paai mohsin ne shikam me hi shahadat usdam*
*پآئ محسن نے شکم میں ہی شهادت اس دم*

*jalte dar jab tere pehlu pe giraya zehra*
*جلتا در جب تیرے پہلو پی گرایا زہرہ*
3)
*aj har ek zabaan par h sada ya zehra*
*آج ہر ایک زباں پر ہے صدا یا زہرہ*
*maa'n ka husnain ke sar se utha saya zehra*
*ماں کا حسنین کے سر سے اٹھا سایا زہرہ*
4)
*phad kr haq ki sanad ahl e jafa haste the*
*پھاڈ کر حق کی سند اہل جفا ہستے تھے*

*bhr e imdaad magar koi na aaya zehra*
*بحر امداد مگر کوئی نہ آیا زہرہ*

5)

*girya krte huye ahmad pe jo sookhe ansu*
*گریہ کرتے ہے احمد پہ جو سوکھے آنسوں*
*apni ankho se lahu tu ne bahaya zehra*
*اپنی آنکھوں سے لہو تو  نے بھایا زہرہ*
6)
*dukh uthati rhi par shukr e khuda lab pe rha*
*دکھ اٹھاتی رہی اور شکر خدا لب پے رہا*

*umr bhar tu ne kbhi chain ne paya zehra*
*عمر بھر تونے کبھی چین نہ پایا زہرہ*

7)
*h rasan basta ali, kaise ye din aaye hn*

*ہیں رسن بستہ علی کیسے یہ دن آئے ہیں*

*unke rutbe ko  bhi aadaa ne bhulaya zehra*

*انکے رتبے کو بھی اعدا نے بھلایا زہرہ*
8)

*sath husnain ke haider ne andheri shab me*
*ساتھ حسنین کے حیدر نے اندھیری شب میں*

*teri mayaat ko basad ashk uthya zehra*
*تیری میّت کو بصد اشک اٹھایا زہرہ*

9)
*kbhi rone pe h bandish kbhi darwaze pa aag*

*کبھی رونے پا ہے بندش کبھی دروازے پا آگ*
*ummat e jad ne tujhe khoon rulaya zehra*

*امّت جد نے تجھے خون رلایا زہرہ*

10)

*nar e dozakh me yaqeenan wo jalega e suhail*
*نار دوزخ میں یقینن وہ جلیگا اے سہیل*

*jis kisi ne bhi  tere dil ko dukhaya zehra*

*جس کسی نے بھی تیرے دل کو دکھایا زہرہ*



3. Kumail Nagri Sb:
🏴 *NAUHa*🏴

Qabre ahmed pe yehi karti thi nala zahra.
Ji na payegi bina aap ke baba zahra.

🏴

Ab to pursa bhi mujhe dene nahi aata koyi.
Hogayi dehr me baad aap ke tanha zahra.

🏴

Mere rukhsaar se dekho hai ayaa'n ay baba.
Kis qadar zulm ka khayi hai tamcha zahra.

🏴

Haay jalta huwa darwaaza gira ya tujh par.
Zalimo ne ye sitam kaisa hai dhaya zahra.

🏴

Baade ahmed tere rone pe laga kar pahra.
Zalimo ne tujhe jee bhar je sataaya zahra.

🏴

Haaye kiya yaad use aagaya allah jaane.
Dekh kar roti hai shabbir ka kurta zahar.

🏴

Qatl mohsin ko tere batn me kar ke haaye.
Ummate jad ne tujhe khoon rulaaya zahra.

🏴

Daastaa'n zulm ki you'n qud hi ayaa'n hoti hai.
Leke chalti hai asaa ka jo saharaa zahra.

🏴

Zulm ke pahre me mismaar pada hai rauza.
Aaj bhi teri lehad par hai andhera zahra.

🏴

Bain the saqiye kausar ke janaze pe *kumail*
Tujh se hi ghar me tha haidar ke ujalaa zahra.

🏴

*KUMAIL* nagri..✍🏻
20/02/2018

⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛



4. Kaifi Kalkatwi Sb: *BISMILLAH*

*Dono'n alam mei'n laqab tune ye paaya zehra*
*Tujhko maa'n keh ke payamber ne bulaya zehra*

*Zoja e sher e khuda madar e hasnain hai tu*
*Dar pe zohra sa sitara bhi hai aaya zehra*

*Ek ishaare pe hi jannat se manga kar ke libaas*
*Farz hasnain ki madar ka nibhaya zehra*

*Chakkiyaa'n pees ke din raat" bana kar roti*
*Khana haatho'n se imamat ko khilaya zehra*

*Tere dar pe hi farishto'n ne salami di hai*
*Ambiya ne bhi hai sar apna jhukaya zehra*

*Gham mei'n rone na diya baap ke beti ko kabhi*
*Bas laeeno'n ne har ik lamha sataya zehra*

*Baad e mehboob e khuda haa'n ye sitam dhaaya gaya*
*Dushman e deen ne darwaaza jalaya zehra*

*Qatl mohsin huye jis waqt sitamgaro'n ne*
*Dar jo jalta hua pehlu pe giraya zehra*

*Saare ahsaan tere bhool ke ghurbat haaye*
*Ummat e jad ne tujhe khoon rulaya zehra*

*Tujhko kehte the nabi apne jigar ka tukda*
*Dil tera aur laeeno'n ne dukhaya zehra*

*Siskiyaa'n leti rahi pasliyaa'n thaame haaye*
*Dard apna na kisi ko bhi bataya zehra*

*Tu gawaah rehna ke kaifi ne teri ghurbat par*
*Roz o shab aankho'n se aansoo hai bahaya zehra*

Kaifi kalkatwi.....✍🏻


5. Urfi Jafrabadi Sb:
بسم اللہ الرحمن الرحیمo
۔1
*کلمہ گویوں نےتمھیں اتنا رلایازہرا*
*لمحہ بھرکےلئےبھی جین نہ پایازہرا*
۔2
*باپ کاسایہ اٹھاسرسےتوپھراس کےبعد*
*امت جدنےتمھیں خون رلایازہرا*
۔👆Tazmeen
۔3
*ظلم وہ تم پہ ہوئےارض وسماکانپ گئے*
*قبراحمدٌسےبھی ہےآئی صدایازہراُ*
۔4
*زندہ حیدٌرتھےمگرہائےیہ غربت بی بیٌ*
*ظالموں نےہےتراگھربھی جلایازہراُ*
۔5
*پسلیاں ٹوت گئیں ہوگئےمحسن بھی شہید*
*جلتےدروازےکوجب تجھ پہ گرایازہراٌ*
۔6
*جب نہ سنبھلیں توزمیں پرگریں بےدم ہوکر*
*یاعلیٌ کہتےہوئےخودکواٹھایازہراٌ*
۔7
*پسلیاں ٹوٹی ہوئی دیکھ کےیہ پولےعلیٌ*
*ہائےتم نےنہ کبھی مجھ سےبتایازہراٌ*
۔8
*غسل کےوقت علیٌ چیخ کےروکربولے*
*دردسہ کرہےہراک زخم چھپایازہرا*
۔9
*ہائےوہ بیٹانہ کیوں خون کےآنسوروئے*
*شب میں اٹھ اٹھ کےجسےپانی پلایازہرا*
۔10
*وقت تدفین پیمبرٌبھی لحدمیں روئے*
*تونےجب بیٹےکوسینےسےلگایازہرا*
۔11
*سربازارلعینوں نےپس قتل حسین ٌ*
*سربرہنہ تری زینبٌ کوپھرایازہرا*
۔12
*ان پہ یہ اہل عزاکرتےہیں ہیں لعنت ہردم*
*جن لعینوں نےترےروضےکوڈھایازہرا*
۔13
*غم میں ڈوبےہوئےیہ دیکھوعزاداروں نے*
*فرش غم آپ کاگھرگھرہےبچھایازہرا*
۔14
*اہل غم ساتھ میں عرفی کےہیں روئےبی بی*
*آپ کےحال کاجب نوحہ سنایازہرا*


6. Altaf Maroofi Sb:
⏪⏪ *طرحی نوحہ* ⏩⏩

امّتِ جد نے تجھے خون رلایا زھرا
آج اٹّھا تیرا دنیا سے جنازہ زھرا
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
۱
کیا ستم ہوگیا کیسی یہ قیامت آئی
پسلیاں چور ہیں محسن نے شہادت پائی

تجھ پہ جلتا ہوا دروازہ گرا  یازھرا
۲

آہ بھر بھر کے صدا دیتی تھی فضہ آؤ
در و دیوار کی زد میں ہوں  اے بابا آؤ

چور زخموں سے ہوئی امّ اَبِیہَا زھرا
۳

تیری تحریر اے بابا ہوئی ٹکڑے ٹکڑے
اور جھٹلائے گئے میرے جگر کے ٹکڑے

اتنی توہین کرے کیسے گوارا زھرا
۴

لیکے دربار میں حسنین کو جس دم پہونچی
تھے سیاہ بال , کمر اُسکی خمیدہ بھی نہ تھی

لوٹ کر آئی تو لگتی تھی ضعیفہ زھرا
۵

ظلم کی حد ہے کہ اعداء نے علی کو باندھا
غمزدہ بیکس و لاچار یہ دیتی تھی صدا

وا علیا وا علیا وا علیا زہرا
۶

ہائے یہ بیکسیِ بنت نبی وا ویلا
آج بھی دھوپ میں تربت ہے تیری وا ویلا

تیرے مرقد پہ نہ گنبد ہے نہ سایہ زھرا
۷

تیرے حالات پہ سر پیٹ کے حیدر روئے
زلزلہ آگیا تربت میں پیمبر روئے

اس قدر تجھکو لعینوں نے ستایا زھرا
۸
یونہی شہزادیِ کونین کا لکّھو نوحہ
اشک آنکھوں سے برستے رہیں *الطاف* صدا

بخشوائیں گی تمہیں حشر میں *بشری*ٰ زھرا

*الطاف حیدری + اہلیہ*


7. Zia Dandupuri Sb:

🌹🌹🍂😭 SALAAM😭🍂🌹🌹

1.
Jispe chhaayi thi musibat ki ghataa Ya Zahra,
Tere bete ne wo islaam bachaaya Zahra.

2.
Kaise niklega bhala uska janaazaH Zahra,
Deen ko khoon se Sarwar ne hai seeNcha Zahra.

3.
Jo bhi shaamil the tujhe khoon rulaane me shar,
Unki aulaadoN ko AsgHar ne rulaaya Zahra.

4.
Apni haybat se alamdaar ne maqtal me hai,
Dushmane deen ko paani hai pilaaya Zahra.

5.
Karke Qur'aaN ki tilaawat sare naiza par hai,
Martaba deen ka Sarwar ne badhaaya Zahra.

6.
Jab kabhi deen e Muhammad pe musibat aayi,
Khoon ne tere hi hai khud ko ubaala Zahra.

7.
Sochta zulm hai ye kaun tha zere khanjar,
Haar kar aaj bhi Shabbeer hai zindaH Zahra.

8.
Ho pareshaani na Ahmad ko teri shaadi meiN,
Isliye nabh se utar aaya sitaara Zahra.

9.
Maryam o Aasiya ko ye na laqab mil paaya,
Tujhko Ahmad ne kaha Umme Abeeha Zahra.

10.
Shaan e azmat ko bayaaN teri hai karta Qur'aaN,
AayateN padhti haiN tera hi kaseedaH Zahra.

😭😭😭😭😭
11.
Haaye dete haiN tujhe aake aziyat fir bhi,
Bazzat o minni hai tu unko pata tha Zahra.

12.
Haaye dar jalta hua tujhpe giraaya Zahra,
Ummate jad ne tujhe khoon rulaaya Zahra.

13.
Haaye kya kya hai sitam tujhpe kiye aadaaN ne,
Ho raqam kaise ZIA zulm jo dhaaya Zahra.

😭😭😭😭😭
✍🏻Zia Haidar
24.02.2018


8. Hasnain Maroofi Sb:
▪▪▪786▪▪▪
کیسے یثرب میں جیئے بن تیرے بابا زھرا
کتنے اس دل پہ اٹھائیگی یہ صدمہ زھرا
۔▪
kaise yesrab me jiye bin tere baba zahra

kitne is dil pa uthaayegi ye sadma zahra
تھرتھراتی ہے زمیں عرش لہو روتا ہے
ظلم ہر سانس پہ زھرا کی نیا ہوتا ہے

ہاے اس عمر میں  لگتی ہے ضعیفہ زھرا
۔▪
thartharaati hai zamee.n arsh loho rota hai

zulm har saans pa zahra ki neya hota hai

haaye is umr me lagti hai zayeefa zahra

کس طرح فاطمہ زھرا کو بھالا آئے چین
خاک پر بیٹھ کے روتے ہیں حسن اور حسین

دیکھ کر تھام کے روتی ہیں کلیجہ زھرا
۔▪
kis tarah fatema zahra ko bhala aaye chain

khaak par baith ke rote hain hasan aur husain

dekh kar thaam ke roti hai hain kaleja zahra

پسلیاں تھام کے روتی ہے وہ چلاتی ہے
کتنی مجبور مدینے میں نبی زادی ہے

لب پہ جبریل امیں کے ہے یہ نوحہ زھرا
۔▪
pasliya.n thaam ke roti hai wo chillaati hai

kitni majboor madeene me nabi zaadi hai

lab pa jibareele amee.n ke hai ye nauha

یاد بابا سے بچھڑنے کی ابھی تازہ تھی
پسلیاں ٹوٹ گئیں قتل ہوئے محسن بھی

اور اک زخم ہوا آپ پہ تازہ زھرا
۔▪
yaad baaba  se bichhadne ki abhi taaza thi

pasliya.n toot gayee.n qatl hoye mohsin bhi

aur ek zakhm hua aap pa taaza zahra

رسّیّاں باندھ کے حیدر کو پھراتے ہیں لعیں
سامنے اس کے تیرے گھر کو جلاتے ہیں لعیں

کتنا مجبور مدینے میں ہے مولا زھرا
۔▪
rassiya.n baandh ke haidar ko phiraate hain layee.n

saamne us ke tere ghar ko jalaate hain layee.n

kitna majboor madeene me hai maula zahra

فاطمہ بنت  نبی درد سے چلاّتی ہیں
سسکیاں زینب و کلثوم کی بڑھ جاتی ہیں

دیکھ پاتیں نہیں یہ تیرا تڑپنا زھرا
۔▪
fatema binte nabi dard se chillaati hain

siskiya.n zainab o kulsoom ki badh jaati hain

dekh paatee.n nahi ye tera tadapna zahra

کیسے *حسنین* لکھے کتنی مصیبت ٹوٹی
پسلیاں ٹوٹیں کہ زھرا پہ قیامت ٹوٹی

امّت جد نے تجھے خون رلایا زھرا

kaise *Hasnain* likhe kitni musibat tooti

pasliya.n toti.n k zahra pa qeyaamat tooti

ummate jad ne tujhe khoon rulaaya zahra

حسنین معروفی
hasnain maroofi

No comments:

Post a Comment