Sunday 17 December 2017

Tarhi Misra: Ilm ka madeena hai, Aamena ka shehzaada

7.12.2017
🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E NAAT*  

              👇👇👇👇

*ilm ka madeena hai, aamena ka shehzaada.*

Qafiya: 👉 *Madeena*
Radeef : 👉 *Hai Aamena ka shehzaada.*

Misra by👉🏻  *Janab Hasnain Maroofi sahab.*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata aap hazraat ke peshe khidmat hai .



1. Janab Kumail Nagri sb

🌹
Arsh ka ujaala hai  aamena ka shehzada.
ilm ka khazana hai amena ka shehzada.

🌹

Aasmaan ki aankhe'n taab lanahi sakti.
is qadar chamakta hai aamena ka shehzaada.

🌹

Saaye ki tarha hardam saath hai'n abu talib.
Ye na kehna tanhaa hai aamena ka shehzaada.

🌹

Choomti hai jannat bhi ba adab kafe paa ko.
Jab qadam utthataa hai aamena shehzaada,

🌹

Aasmaane zahra ke be baha sitaaro'n ko.
Dosh par sajaata hai aamena ka shehzaada.

🌹

Hai bhateeja imraa'n ka aur ali ka bhayi hai.
Sayyada ka baba hai amena ka shehzaada.

🌹

Jaa ke arshe aazam par dekhiye shabe meraaj.
Rab se baat karta hai aamena ka shehzada.

🌹

Shirk ke andhero me aur kufr ki shab me.
Noor ban ke aya hai aamena ka shahzada.

🌹

Aake babe khaibar ko wo ukhaad phekega.
Bhayi ko bulaata hai aamena ka shehzaada.

🌹

Maangna ho jo rab se maangle *kumail* ab tu.
Mo'etebar waseela hai aamena ka shehzaada,

🌹

2. Janab Kaifi kalkatwi sb

*NAAT E PAAK*

*Noor ka khazina hai Aamena ka shehzada*
*Aamena ke jaisa hai Aamena ka shezada*

*Hai chacha Abutalib aur baba Abdullah*
*Muttalib ka pota hai Aamena ka shehzada*

*Maqsad e Ilahi ka paasbaan banke woh*
*Khuld se haa'n aaya hai Aamena ka shehzada*

*Husn mei'n Risalat ke noor e Rab liye logo'n*
*Rehmatei'n woh laya hai Aamena ka shehzada*

*Jiske ishq mei'n Rab ne khalq ki har ik shay ko*
*Do jaha'n mei'n tanha hai Aamena ka shehzada*

*Badshah hai alam ka hukm-raa'n hai khilqat ka*
*Phir bhi kitna sada hai Aamena ka shehzada*

*Pathharo'n ko bhi bakhshe jo zabaan midhat ki*
*Aesa dene wala hai Aamena ka shehzada*

*Jehl ka koyi banda is me aa nahi sakta*
*ilm ka madeena hai, Aamena ka shehzaada*

*Martaba Khuda jane ya to phir Ali jane*
*Har jaha'n se aala hai Aamena ka shehzada*

*Har bashar ko rauze par apne woh bulata hai*
*Sab se pyaar karta hai Aamena ka shehzada*

*Bharlo jholiya'n apni jitni chaho aye logo'n*
*Nematei'n lutata hai Aamena ka shehzada*

*Murtaza ke beto'n ko Fatehma ke pyaro'n ko*
*Dosh par bithata hai Aamena ka shehzada*

*Yaad kar har ik lamha karbala ke pyaso'n ko*
*Ashk e gham bahata hai Aamena ka shehzada*

*Amn ka sabaq dekar har Ali ke aashiq ka*
*Dil se dil milata hai Aamena ka shehzada*

*Sath hain Ali "Kaifi" har bala o mushkil mei'n*
*Muskurata jata hai Aamena ka shehzada*

3. Janab Mohsin Banarsi Sb
_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*अपना तो वासीला है आमेना का शहज़ादा...*
*मांगे बिन ही देता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*हो रहा है आलम में नूर वाले का चर्चा...*
*आज आने वाला है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*जो नबुवते दीं का सिलसिला चला लेकर...*
*हां वही नगीना है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*कुफ्र की जेहालत में आया रौशनी बनकर...*
*नूर का उजाला है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*मर्ज़ी ऐ खुदा एक शब में खरीद लेता है...*
*भाई ऐसा रखता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*नाम है अली जिसका उससे अपनी बेटी का...*
*खुद निकाह पढ़ाता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*तोड़ने को काबे के बुत को सारे हैदर को...*
*दोश पर बिठाता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*मैं हूं मौला जिस-जिस का उसका है अली मौला...*
*खुम में सबसे कहता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*पुश्त पे नवासा है और जबीन सजदे में...*
*सर नहीं उठाता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*अर्श से ये कहते हुए जिबरईल आते हैं...*
*इल्म का मदीना है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

*शर्म से कमर मोहसिन छुप गया है बादल में...*
*इस तरह चमकता है आमेना का शहज़ादा.!!*

_*❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀❀*_

4. Janab Suhail Waasti sb

DEEN KA NAGEENA H AMNA KA SEHZADA,
HAQ KI BAAT KRTA H AMNA KA SEHZADA,

1)
GAR NIJAT PANI HO TO SAWAR HO JAO,
KHULD KA SAFEENA H AMNA KA SEHZADA,
2)
SIDQ E DIL SE MANGOGE GAR DUA ZIAARAT KI ,
DAR PE KHUD BULA LEGA AMNA KA SEHZADA,
3)
ZALIMO KE NARGHE SE BE KHATAR NIKAL JAYE ,
BA KHUDA JIYALA H AMNA KA SEHZADA,
4)
PUCHNA HO JO PUCHO KUL JAHAAN KI BAATE'N,
ILM KA MADEENA H AMNA KA SEHZADA,
5)
BAAT KYA H INSAA'N KI WO TO KANKRO KO BHI,
HAQ KA DARS DETA H AMNA KA SEHZADA,
6)
BHEEK CHAND BHI JIS SE CHANDNI KI LETA H ,
NOOR KA SARAPA H AMNA KA SEHZADA,
7)
KUL JAHAAN ROSHAN H AAMAD E BAHARA H,
JAG ME JAGMAGATA H AMNA KA SEHZADA,
8)
KHUD NABI KI BETI H OR ALI KI ZOJA H ,
MAA JISE BULATA H AMNA KA SEHZADA,
9)
MERI KYA HAQIQAT H KE *SUHAIL* LIKH PAUN,
SHER KHUD LIKHATA H AMNA KA SEHZADA

5. Janab Zia Haidar sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

1.
Jaan lo ye tum kya hai, Aamina ka shahzaada,
Gauhare khazaana hai, Aamina ka shahzaada.

2.
Rabb ka ye dulaara hai, Aamina ka shahzaada,
Haadiye zamaana hai, Aamina ka shahzaada.

3.
Kalma go haiN patthar to, chaaNd tukde karta hai,
Mojiza dikhaata hai, Aamina ka shahzaada.

4.
Aap jaise hain gar to, koi bhi ay makkaaro,
Leke aao jaisa hai, Aamina ka shahzaada.

5.
Gaar se bataate hain, roke sheikh ji sabko,
HaaN yahi pa baitha hai, Aamina ka shahzaada.

6.
Faash parda ho jaaye, raaz gaar wale ka,
Isliye hi laaya hai, Aamina ka shahzaada.

7.
So gaye Ali jab haiN, log the yahi samjhe,
Gahri neeNd sota hai, Aamina ka shahzaada.

8.
Baab gar Ali haiN to, ba khuda zamaane meiN,
Ilm ka madeena hai, Aamina ka shahzaada.

9.
Bas alam ko khaibar meiN, ab Ali ke haaNtho meiN,
La ke khud hi deta hai, Aamina ka shahzaada.

10.
Naate paak inka hai, kis tarah ZIA se ho,
Ba khuda karaata hai, Aamina ka shahzaada.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

6. Janab Syed Ali Abbas Naqvi Fasih sb

🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Hashmi nagina hai Amina ka shaezaada.

Dawari khazina hai Amina ka shahzaada.

Kyun balao'n me gum ho aao aaye jahan waalo.

Rahmathi safeena hai Amina ka shaezaada.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Lab pa har maheena hai Amina ka shae zaada.

Haq ka Aabgeena hai Amina ka shae zaada.
            ------------

Isliye to kahte hain bolta hua quraa'n.

Ilm ka madina hai Amina ka shaezaada.
           --------------

Raushani ho duniya me kyun na uske aane se.

Jaweeda'n qhareena  hai Amina ka shaezaada.
           -------------
Jis waseele se milta hai khuda e baari bhi.

Bilyaqee'n wo zeena hai Amina ka shaezaada.
           ------------

Kalma ahle imaa'n ka la illaha il allah.

Aur uska bina hai Amina ka shaezaada.
               -------------
lo batagaya aakar Iss jahan e faani me .

Humko kaise jeena hai amina ka shaezaada.

            -------------
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
7. Janab Naushad Bijani sb

khulk ka khazeena hai aamena ka shehzada.
ilm ka madeena hai aamena ka shehzada.

noor ka saheefa hai aamena ka shehzada
amn ka safeena hai aamena ka shehzada.

khuld ka vaseela hai aamena ka shehzada
khayr ka zareeah hai aamena ka shehzada.

fikre man se baala hai aamena ka shehzada.
arsh se bhi aala hai aamena ka shehzada.

rab ka ik atiyya hai aamena ka shehzada.
neamate kaseera hai aamena ka shehzada.

husn ka zakheera hai aamena ka shehzada.
noore rab ka jalva hai aamena ka shehzada.

har nabi se aala hai aamena ka shehzada
har malak ka pyaara hai aamena ka shehzada.

kufr pe tamaacha hai aamena ka shehzada.
sidq ki tamanna hai aamena ka shehzada.

umr meri kat'ti hai us ke ishq me Navshad.
chain mere dil ka hai aamena ka shehzada.

No comments:

Post a Comment