Tuesday 5 December 2017

Tarhi Misra: Ham ghareebo'n ka ik aasra qum me hai

[21/11/2017]

🔳 *BAZM-E-SHOARA* 🔳
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Ham ghareebo'n ka ik aasra qum me hai*

Qafiya: 👉 *Aasra*
Radeef : 👉 *Qum me hai*

Misra by👉🏻  *Navshad Bijani.*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata peshe khidmat hai.



1. Janab Kaifi kalkatwi sb

*Kyun muradei'n na bar aaye ghamkhwaar ki*
*Bint e zehra o mushkil kusha qum me hai*
*Khauf khate nahi gham ke tufaan se*
*Ham ghareebo'n ka ik aasra qum me hai*

2. Janab Kumail Nagri sb

Ye jo tasweere khairunnisa qum me hai.
Goya tatheer ka tarjuma qum me hai.

🍀

Poochte ho to sunlo!  Ki kiya qum me hai.
Baaghe firdaus ka raasta qum me hai.

🍀

Ye faqat zaayero'n ka nahi hai hujoom.
Jaagti fatema ki duaa qum me hai.

🍀

Sar jhukaate hai aakar yahaa'n ambiyaa.
Binte kazim ka kiya dabdabaa qum me hai.

🍀

Aagaye honge milne ko hamsheer se.
Dil mera keh raha hai raza qum me hai.

🍀

ilmo irfaano hikmat ki khushbu liye.
Karbala aur najaf ki hawa qum me hai.

🍀

Jis ki moosa ne dekhi jhalak toor par.
Dekhlo chal ke ab wo ziya qum me hai.

🍀

Jaa'n balab hai magar zindagi payenge.
Hum gharibo'n ka ek aasra qum me hai.

🍀

Chaand ki tarha dekho chamakta huwa.
Kis nabi zaadi ka naqshe paa qum me hai.

🍀

Maangna jo bhi ho maang le ay *kumail*
Sayyada taahera fatema qum me hai.

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀
3. Janab Suhail Waasti sb

mujhse pucha gya kya tera qum me h,
kya tera koi hajat rawa qum me h,
1)
maine unse kaha ap bhi len shifa,
ham ghareebo ke gham ki dawa qum me h,
2)
har ghadi rehta h zairo ka hujoom,
aisa lagta h ke karbala qum me h,
3)
bhai jiska ghareeb ul ghareeba h ' wo ,
ham ghareebo ka ek aasra qum me h,
4)
thi mohabbt Reza se jise be panah,
maula kazim ki wo mehlaqa qum me h,
5)
jiska kirdar h Fatima ki misaal'
maryam e Syyada Fatima qum me h,
6)
maine aksar suna zairo se *suhail*,
ba khuda khuld jaisa maza qum me hi

4 Janab Naushad Bijani sb

Makhzane ilme aale aba qum me hai.
Khwahare ibne khayrul wara qum me hai

dine ehmad ki ik aalema qum me hai.
saaniye binte shere khuda qum me hai

Yeh marizo se kehta har ik tabeeb.
Aap ke har maraz ki dava qum me hai.

ishqe aale nabi hai hamaari mata.
ham ghareebo'n ka ik aasra qum me hai.

Unke rauze se milti hai sab ko shifa.
Binte beemaare karbobala qum me hai.

door rauze se hu unke Navshad mai.
rooh meri magar ba-khuda qum me hai

5. Janab Hasnain Maroofi sb

Mujh se keya puchhte ho ki keya qum me hai

Bahr e irfaan ka qaafiya qum me hai

Dar ba dar tum phiro baandh kar Gathriya,n

Hum ghareebo,n ka ek aasra qum me hai

6. Janab Altaf Maroofi sb

Har dil e gham zada ki dawa Qum me hai

Makhzane ilm e khairun nesa Qum me hai

Jehl ki AandhiyoN se kaho chup raheN

Ham ghareeboN ka ek Aasra Qum me hai

7. Janab Taqi Kazmi sb

1.Sare nabiyon ka bhi tazkara qum me hai.
Or imamat ki bhi ak ziya qum me hai.

2.Kya btau tumhe or Kya qum me hai.
Ak kwahar imam e rza qum me hai.

3.Khuld se Roz aate hai kitne malak.
Q ki jannat ka dar bhi khula qum me hai.

4.Sabko milti hai is dar pe aakar shifa.
Sare ranjo Alam ki dwa qum me hai.

5.Or Kya mangu rab se Mai apne taqi.
Leke mujhko muaaddar gya qum me hai.

Baad e karbo bala or najaf ke taqi.
Ham gharibo.n ka ak aasra qum me hai.

8. Janab Anees Abr sb

_Ilm aur hikmatoN ki faza qum me hai,_
_Deenpanaahi ka ek silsila qum me hai.._

_Karbala aur khurasaan ke sath sath,_
_Ham ghareeboN ka ek aasara qum me hai.._

9. Janab Rizwan Karbalayi Sb
🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴🏴
Aapko Kya batau KE Kya kum me Hai

Khuld jaisi hi aabo hawa kum me Hai

Bakhswayegi kum ki ziyarat hame

Khuld Jane ka ik Raasta kum me Hai

Tab SE Iran me inqlaab aagya

Jab SE hamsheere moula Raza kum me Hai

Is zami SE bahot door shaitaan Hai

Kis qadar aala rab ki ata kum me

Ay jaha walo be Ghar na samjo hame

Ham gareebo ka ik aasra Kum me Hai

Jo musibat zada Hai wo aaye yaha

Saare ranjo Alam ki dawa Kum me

Ban KE aalim jaha SE nikalte Hai sab

Ilm ka aisa Ghar ba Khuda me Hai

Baadshahat Bhi aati Hai SAR tekne

Binte qazim ka u Dabdaba Kum me Hai

Do KE dono hai"rizwan"aale nabi

Karbala me Hai Kum karbala kum me Hai.

10. Janab Zia Haidar sb

KyuN iram ki zaroorat humeN ho ki jab,
Ik baqeeAa me ik Fatima qum me hai.
Khauf khaayeN wo jinko hai bughze Ali,
Hum ghareeboN ka ik aasra qum me hai.

11. Janab Syed Ali Abbas Naqvi Fasih sb.

Fatima Fatima Fatima qum me hai.

yaani  jannat ki suniye zia Qum me hai

Kyun ghulam e raza ka baya'n ho na phir.

Hum ghareebo'n ek aasra qum me hai.

No comments:

Post a Comment