Friday 29 July 2016

Tarhi Misra: SAADIQ(as) KE GHAM ME GUMBADE KHIZRA UDAAS HAI.

Tarhi Misra: SAADIQ(as) KE GHAM ME GUMBADE KHIZRA UDAAS HAI.
Misra By: Janab Masoom Haidari Maroofi Sahab
Tarikh: July 2016
1
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

Ghamgee'n baqi'e hai to Madina udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

Kazim ke sar pe khak e yatimi padi hui.
gouya hai'n kaayenaat ki saa'nse'n ruki hui.
apni lahad me Fatima Zahra udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

Larzi zamee'n uthi jo sada shour o sheyn ki.
Faryaad phir sunaayi padi ya Husain ki.
ranj o alam se arsh e moalla udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

Shawwal ke mahine me esa sitam hua.
dehleez e noor e ilm pe taala nazar pada.
dunya e ilm o fan ka khazana udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

Yasrib ki har gali me bapa shour o sheyn hai.
Jafar ka huzn, huzn e sh'h e mashraqain hai.
Gouya ke Karbala ka jazira udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

Baqir ki rooh e paak ko kyo'nkar suku'n miley.
Jab dil ke taar taar ki halat zubu'n miley.
Bete ke gham me baap ki dunya udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

*GHAFIR!* bhala me kese masayeb karu'n raqam.
qirtaas e gham ki goud me rone laga qalam.
Nab'baaz e kayenaat ka chehra udaas hai.
Jafar ke gham me gumbad e khazra udaas hai.

⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫⚫
*اُداسی*
شہادتِ امام صادق علیہ السلام
*✍ سید غافر رضوی*
25/07/2016

غمگیں بقیع ہے تو مدینہ اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے

کاظم کے سر پہ خاکِ یتیمی پڑی ہوئی
گویا ہیں کائنات کی سانسیں رکی ہوئی
اپنی لحد میں فاطمہ زہرا اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے

لرزی زمیں اٹھی جو صدا شور و شین کی
فریاد پھر سنائی پڑی یاحسین کی
رنج و الم سے عرشِ معلّیٰ اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے

شوّال کے مہینے میں ایسا ستم ہوا
دہلیزِ نورِ علم پہ تالا نظر پڑا
دنیائے علم و فن کا خزانہ اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے

یثرب کی ہر گلی میں بپا شور و شین ہے
جعفر کا حُزن، حُزنِ شہِ مشرقین ہے
گویا کہ کربلا کا جزیرہ اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے

باقر کی روحِ پاک کو کیونکر سکوں ملے
جب دل کے تار تار کی حالت زبوں ملے
بیٹے کے غم میں باپ کی دنیا اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے

*غافر!* بھلا میں کیسے مصائب کروں رقم
قرطاسِ غم کی گود میں رونے لگا قلم
نبّاضِ کائنات کا چہرہ اداس ہے
جعفر کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے



2
Janab Zeeshan Azmi sahab.
1. Gham me chate imam ki chahra udaas hai
Hum hi nahi akele hain dunya udaas hai
2. Zahre dagha se ibne Mohammad huwe shahid
Is gham se kul qabilaye hamza udaas hai
3. Bachche yateem ho gaye baqir ke laal ke
Rahlat huwi jo baap ki kumba udaas hai
4. Aisa asar huwa hai ke jafar ke baad me
Har taalib-e-uloom ka tabqa udaas hai 
5. Ahle aza nahi hain faqat muztarib yaha
Sadiq ke gham me gumbade khazra udaas hai
6. Zeeshan kya bataye zamaane ke zulm se
Ab tak baqe'e aur madina udaas hai
غم میں چھٹے امام کے چہرہ اداس ہے
ہم ہی نہیں اکیلے ہیں دنیا اداس ہے
زہرِ دغا سے ابنِ محمد ہوئے شہید
اس غم سے کُل قبیلۂ حمزہ اداس ہے
بچّے یتیم ہو گئے باقر کے لال کے
رحلت ہوئی جو باپ کی کنبہ اداس ہے
ایسا اثر ہوا ہے کہ جعفر کے بعد میں
ہر طالبِ علوم کا طبقہ اداس ہے
اہلِ عزا نہیں ہیں فقط مضطرب یہاں
صادق کے غم میں گنبدِ خضرا اداس ہے
ذیشان کیا بتائے زمانہ کے ظلم سے
اب تک بقیع اور مدینہ اداس ہے





3
Janab Najaf Masoom Marufi Sahab.
1. Karbobala udaas hai koofa udaas hai
Gham me imame waqt ke makka udaas hai
2. Kaaba hai ashkbaar feraqe imam me
Sadique ke gham me fatima zahra udaas hai
3. Apne qareeb qabr me sadique ko dekhkar
Marqad me apni umme abeeha udaas hai
4. Gham se nidhal hone lage kazime hazeeN
Furqat me baba jaan ke beta udaas hai
5. Masjid hai gham me doobi to mehraab muztarib
Jafar tere feraaq me sajda udaas hai
6. Tum bhool hi gaye ho mohd ki aal ko
Jafar ke gham me aaj bhi shia udaas hai
7. Kaise sakoon payeNge marqad me mustafa
Sadique ke gham me gumbade khazra udaas hai
8. Larza hai gham se rauzaye khairul bashar Najaf
Farte ghamo alam se khadeeja udaas hai





4
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab.
Har eik aaj haq ka shinasa udas hai...
Ya yu,n kahu,n ke chaahne wala udas hai...
Marqad me aaj  shahr e madeena udas hai..
Saadiq ke ghham me dekhiye kaba udas hai..
Ab kya bataau,n itna samajh lijiye janaab..
Sadiq ke ghham me gumbad e khizraa udas hai..



5
Sadiqali Bijani (Navshad)
Ja'afar shaheed ho gae kazim huve yateem.
Maula ke gham me arshe moalla udaas hai.
Turbat pe zulm dekh ke ghamgeen hai nabi.
Sadiq ke gham me gunbde khizra udaas hai.


6
Janab Anees Abr sahab.
Jannat udaas Shajra e Tooba udaas hai,
Matam ka din hai Khana e qaba udaas hai...
Zehr e daga se hogaya maula mera shaheed,
Ruksat imam ki hai Madeena udaas hai..
Tooti lahad ko dekhke magmoom hai Nabi(saw)
Sadiq(as) ke gam me gumbad e khizra udaas hai...
WeeraaN baqeyya dekhke aankhe hai ashqbaar,
Gaibat me aaj Yusuf e Zahra(sa) udaas hai...
Farsh e aza bicha hai har ek matami ke ghar,
Sheh(as) ka har ek chahnewala udaas hai...
Toota pahaad gamka Mohammad(saw) ki aal par,
Zahra(sa) udaas hai shah e batha(saw) udaas hai...
Afsos ilm o deen ka jata hai Nakhuda,
Ae Abr aaj ilm ka darya udaas hai...

No comments:

Post a Comment