Friday 15 July 2016

Tarhi Misra: HO RAHA HAI AAJ BHI ZAHRA(sa) KI TURBAT PAR SITAM

Tarhi Misra: HO RAHA HAI AAJ BHI ZAHRA(sa) KI TURBAT PAR SITAM

Misra By: Janab Sadiq Ali 'Navshaad' Bijani Sahab

Tarikh: July 2016

.

1
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Shahr e yesrab fatema zahra ki turbat par sitam

Is se badh kar aur keya hoga nabo,at par sitam
😭
Masjido,n me be gunaaho,n ka baha kar ke loho

Ahle shar dhaate hai,n ahmad ki shariyat par sitam
😭
hal ataa bhi ghum zadah hai innama ke saath saath

Ho raha hai qalb e paighambar ki ismat par sitam
😭
Munhadim kar ke baqee e ahle shar masror hai,n

Aaj bhi jaari hai yu,n juzwe risaalat par sitam
😭
kal bhi tha jaari azi,at ka ye saara silsila

Ho raha hai aaj bhi zahra ki turbat par sitam
😭
zindagi me marjiyet ko chhod kar aiy dosto

dhaa rahe ho tum nabo,at par imamat par sitam
😭
ghibato,n ke shahr me masroof hai,n waqte azaa,n

Is qadar karte hai,n hum apni ibaadat par sitam
😭
chhod kar ke aiye musalma,n daamane aale ebaa

Kar raha hai apne nafso,n ki tahaarat par sitam
😭
be baher ashaar padh kar bazm me is tarh se

Kar na aiye hasnain tu apni balaaghat par sitam





2
Jabab Jabir vakil sahab.

Chhodkar lanat na kar Ajr E Risalat par sitam,
Dushmano se ittehad hai wilayat par sitam

Tod kar zahara ki pasli bas na ummat ne kiya
Ho raha hai aaj bhi zahra ki turbat par sitam




3
Jabab Zeeshan Azmi sahab.

🌹1. Zindagi me bhi raha juzwe risalat par sitam
Baade rahlat bhi huwa hai gaahe mayyat par sitam

🌹2. Aaj firqa-wariyat ki den hy jis ke sabab
Ho raha hy mustufa ki ek ummat par sitam

🌹3. Unsiyat jis mitti se thi wo rulati hy mujhe
Gardish e halaat ne dhaya muhabbat par sitam

🌹4. Talb zahra se kiya hy jab khalifa ne gawahi
Kaise dekha hoga logo ne wo ismat par sitam

🌹5. Qabro ko mismaar karna ye bhala kaisa jihad
Na samajh ye to hai paigamber ki sunnat par sitam

🌹6. Ye shahadat deti hy atraaf ki mitti hame
Ho raha hai aaj bhi zehra ki turbat par sitam

🌹7. Munhadim zalim hukumat ne kiya hy jo baqe'e
Dar haqeeqat hy musalmano ki jannat par sitam

🌹8. Baade paygamber huwa hy ye saqifa ka asar
Aaj bhi zeeshan hota hai wilayat par sitam







4
Janab Mohammad Govani sahab.

Baat yeh kab hai nayee hota hai itrat par sitam,
Har zamane meN huva, aal.e nubuvvat par sitam,

Naam par islaam ke phaili huyeeN haiN dehshateN,
Ho raha hai deen.e paigambar ki izzat par sitam,

Khud nabi jis dar pe jaa kar jhuk ke karte the salaam,
Be hayaaii ne kiya us baab.e ismat par sitam,

Baade mursal mustahaqq se chheen kar baaGh.e fadaq,
KaaziboN ne Dhaaya zahraa** ki sadaaqat par sitam,

Ghasb ki buniyad par jis ki Khilaafat ka wujood,
Kya ta'ajjub..! gar kiya usne shariyyat par sitam,

Saiyaada** mazloomah thi yeh phir se saabit ho gaya,
Ho raha hai aaj bhi zahraa** ki turbat par sitam,

Aye "Mohammad" kar doa adl.e Khuda ka ho zuhoor,
Zulm Aakhir Dhaayega kab tak adaalat par sitam.





5
Janab Sadiqali Bijani Navshad Sahab.

1
Dha diye aghyaar ne ghaahe ziyaarat par sitam.
Ho raha hai aaj bhi zehra ki turbat par sitam

2
Munhadim kar ke mazaare fatema binte rasool
Ahle dozakh ne kiya khaatoone jannat par sitam.

3
Le na paae jo rasulullah se badla laee'n.
Kar rahe the mil ke woh aale risaalat par sitam

4
Milke aada ne shiqam me kar ke mohsin ko shaheed.
Dha diye misle jabal zehra ki hasrat par sitam.

5
Faatema ka ghar jalaane vaalo yeh socho zara.
Dhaya tum ne aaj aywaane nabuwwat par sitam

6
Faatehe khaybar ka kitna sakht tha woh imteha'n.
Jab kiya ummat ne haydar ki shuja'at par sitam.

7
Gumbade khizra me tadpe rahmtullil aalmee'n.
jab kiye aghyaar ne ehmat ki rahmat par sitam.

8
Dekh kar navshad daadi ki lahad ko munhadim.
Toote honge kis qadar ghaybat me hujjat par sitam.








6
Janab Azam Maroofi Sahab.

1
Chaudah sadiyon se musalsal hai ye itrat pr sitam......

Ho raha hai aj bhi zahra ki turbat par sitam....
2
Dar jala tha fatemah ka tab to ab ye masjide'n.......

Wo sharee'at pr sitam tha ye sharafat pr sitam......
3
Kata sajde me gala kahte hain rona shirk hai.......

Wo ibadat pr sitam tha ye aqeedat pr sitam.....
4
Na mila kaghaz qalam Ahmad ko Haidar ko na haq.....

Wo naboowat pr sitam tha ye imamat pr sitam....
5
Ek to chheena tha fidak or doosre jhutla diya......

Ek hokumat pr sitam tha ek adalat pr sitam...
6
Lashe sheh pamal ki to qabre Zahra munhadim......

Wo b maiyat pr sitam tha ye bhi maiyat pr sitam...
7
Aj bhi hai dhoop me Azam mzaare Fatemah.....

U hokumat ne kiya hai inki ghurbat pr sitam.....





7
Janab Kausar Rizvi Sitapur sahab.

1-👉🏿Dekhiye aa kr nabi khud apni itrat pr sitam....aaj hr quraane naatiq ki hai aayet pr sitam..

2--👉🏿Hai,n badhhe hd se siwaa ahle mawaddat pr sitam....kr rahee hai hr yazidi nasl sheeyat pr sitam..

3--👉🏿Qabr e At-har ki ziyaarat pr lagee,n paabandiyaa,n...ho raha hai aaj bhi zahra ki tur bat pr sitam..

4--👉🏿Khu,n ke aansoo ro rahe hai,n hl ataa aor innmaa...dhaa rahe hai,n ahle kee,n khhaatun e jannat pr sitam..

5👉🏿Bhool jaana chaahete hai,n biz atum minni ko sab...aaj tk jaari hai,n zaalim ke risaalat pr sitam..

6--👉🏿Kl bhi paabandi thi rone pr hai qaaim aaj bhi...is tarah hote rahe ahle mavaddat pr sitam..

7--👉🏿Zindagi bhr shaaq mohsin ki shahaadat ka rahaa...din b din badhte gaye juzv e risaalat prPar sitamm..

8👉🏿Bughhz e haidar di me hai paas e risaalat kuchh nahi,n...ye imaamt pr sitam hai aor nubuwat pr sitam...




8
Janab Yaseer Husain Ashiq sahab.

Ho raha hai aaj har adl-o-Adaalat par sitam,
Jane kab hoga munafiq-ahle taaqat par sitam.

Hurmulah se shimr se milti hai jiski khubiyaa
Kyu na dhaye ahle dozakh, ahle jannat par sitam.

Naara-e-Takbeer keh kar kaat'te hain jo Gale
Jane wo kab tak karenge Shah ki ummat par sitam.

Chheen kar Zehra ka haq wapas unhe jo kar diya
Kya yahi Insaaf tha, dhaya Sharafat par sitam.

Phaad kar tehreer ko jhulta diya, jaali kaha,
Kis tarha dhaya layee ne hai Resalat par sitam.

Gasib-e-Baag-e-Fedak badnam kar dunga tujhe,
Jitna dha sakta hai dha tu meri himmat par sitam

Jab talak zinda thi dhaya khoob ummat ne sitam,
Aaj wo karte hain bibi ki Zeyarat par sitam.

Ban gaye jo khud khalifa bhul kar Ghadeer ko,
Kar diya unlogo ne Haider ki Baiyat par sitam.

Jo hai jata haj ko or uska pardosi bhukha hai
Ye hai daulat par sitam or unki gurbat par sitam.

Jo wafaat par Nabi ki, hai jaha me ekhtelaaf,
Ek nazar se dekhe to ye hai aqeedat par sitam.

Jis tarha dhaya Hasan or Shah ki mayyat par sitam,
Ho raha hai aaj bhi Zehra ki turbat par sitam.

Ho raha hai aaj jo Zehra ki turbat par sitam,
Dar haqeekat hota hai Ahmad ki jannat par sitam.

Parda-e-Gaibat se aane do zara YASIR unhe,
Dekh lenge kon kar payega Shiyat par Sitam.



9
Janab Najaf Masoom Marufi Sahab.

1. Dahr me karte haiN jo ahmad ki ummat par sitam
Asl me karte haiN wo Ahmad ki sunnat par sitam

2. Masjide koofa meN dhaya hai imamat par sitam
Aur baqee'aa meÑ kiya khatoone jannat par sitam

3. Chhin kar baghe fedak kahte haiN ye sachche ameeN
Dhaa rahe haiN mil ke jo khatoone iffat par sitam

4. Biz'ato minni ki haiN misdaaq zahra isliye
Zulm karna fatema pe hai nabuwat par sitam

5. Khoon ke aaNso bahate haiN lahad me mustafa
Ho raha hai aaj bhi zahra ki turbat par sitam

6. Chhin kar baghe fedak unko sokuN na mil saka
Kar rahe haiN khanaye binte resalat par sitam

7. Misle hur aajawo dozakh se jenaN ke bagh me
Mat karo muftiye bid'at apni qismat par sitam

8. Baade Ahmad jo kahe haidar ko chautha janasheN
Kar raha hai khum ke maidaaN ki khelafat par sitam

9. Chhin ke zahra ka haq darbaare khaso aam me
Dushmane deeN ne kiya qur'aaN ki surat par sitam

10.kufr ka fatwa lagata hai jahaN imraan par
Muhsine islaam ki hai saari mehnat par sitam

11. Kis tarah  jawoge mahshar meN nabi ke samane
Mat musalmanoN karo qur'aaN ki aayat par sitam

12. Chhod ke daman mohd ke gharane ka bashar

Kar rahe hai wah mohd ki wasee'at par sitam

13. Munhadim karke mazaare fatema zahra Najaf
NajdiyuN ne kar liya apni hi turbat par sitam.






10
Janab Altaf Haidari Sahab.

is qadar koyi nahi karta hai mayyat pr sitam

Ho raha hai jis tarah qalbe Resalat pr sitam
🇮🇷
chaar masoomo'n ke pahre me hain soyi sayyeda

Kar nahi sakta koyi bhi is haqeeqat pr sitam
🇮🇷
Rijs ja sakta nahi hargiz tahaarat ke qareeb

Fir yahoodi kis tarah dhaayenge ismat pr sitam
🇮🇷
Rok rakkhi hai rasaayi Rijs ki Mabood ne

isliye jal bhun ke ab karte hain turbat pr sitam
🇮🇷
Dil tadapta rah gaya Altaf ka ye dekh kr

Ho raha hai aaj bhi zehra ki turbat par sitam.





11
Janab Sharif Rizvi Sahab.

Kam nhi Ab Tak huwa Ahmad ki itrat par sitam
Ho raha h aaj bhi Zahra ki turbat par sitam

Fatima jab juz nabi ki hai'n to Shaarif phir kaho
Sayyeda pe zulm matlab hai risalat par sitam

کم نہیں اب تک ہوا احمد کی عترت پر ستم

ہو رہا ہے آج بھی زہرا کی تربت پر ستم

فاطمہ جب جز نبی کی ہیں تو شارف پھر کہو

سیدہ پے ظلم مطلب ہے رسالت پر ستم

Wassalaam,
Iltemase Dua,
Anees Abr.i

2 comments: