Saturday 23 July 2016

Tarhi Misra: LAHOO RULAATI HAI HAMKO SHAHAADATE HAMZA(as)

Tarhi Misra: LAHOO RULAATI HAI HAMKO SHAHAADATE HAMZA(as)

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

Tarikh: July 2016

1
Jabab Hasnain Marufi Sahab

Baya,n ho kis tarah mujh se musibat e hamza

Jigar ko thaam ke rote the hazrat e hamza
😭
Zamee,n larzti thi mursal bhi jaan khote the

Loho rulaata hai hum ko shahaadat e hamza
😭
ghazab ki dhoop hai sahra hai aah ho giriya hai

Ohad me aaj bhi roti hai turbat e hamza
😭
khuda ke deen pa qurbaan kar diya khud ko

Zamaana dekh le aa kar sakhaawat e hamza
😭
Faqat rasool se dawa hai tum ko ulfat

Kaha,n se Laao ge bolo mohabbat e hamza
😭
Qalam ko rok le hasnain likh ke bas itna

Na likh sake ga koyi bhi aziyat e hamza
😭😭😭😭😭😭






2
Janab Anees Abr sahab.

Jigar hai chaak hamare, hai rukhsat e Hamza,
Lahu rulaati hai hamko shahadat e Hamza...

Ohad ne chhin liya fauj e deeN se ek jaaNbaaz,
Sata rahi hai Mohammad(saw) ko furqat e Hamza(as)...

Khusha-naseeb ke jum'aa ko qabr pe jaakar,
Nabi ki beti ne ki hai ziyarat e Hamza(sa)...

Sharaf ye kam hai ke tasbeeh ek bananeko,
Batool ne hai chuni Khaake turbate Hamza(as)...

Laqab Nabi ne diya inko sayyadus Shohada,
Isi se jaanlo tum kya hai azmat e Hamza(as)...

Shaheed krke kaleja chaba liya afsos,
Thi dil me Hinda(la) ke kitni kadoorat e Hamza(as)...

Dua e Fatema Zahra(sa) se ye huwa mumkin,
Naseeb tumko huwi Abr midhat e Hamza(as)...







3
Janab Zeeshan Azmi sahab.

🌹1. Hy bemisal zamane me azmate hamza
Khuda hi jaane ke kya hai shuja'ate hamza

🌹2. Kalame kufr baka shane mustufa me jab
Abu jahal pe huwa waare hazrate hamza

🌹3. Khuda ki raah me utba ko qatl kar dala
Yahi thi badr me umda ibadate hamza

🌹4. Khuda ka sher hai, sher-e-rasool hai hamza
Ye aasmaano pe likhkhi hai midhate hamza

🌹5. Nikala cheer ke seena kaleja hinda ne
Ohad me yu huwee pamaal mayyate hamza

🌹6. Majaal kis ki thi jo aata rubaru iske
Daghe ke sath huwee hai shahadat e hamza

🌹7. Na chedo zikre ohad dil udaas hota hai
Lohu rolaati hai ham ko shahaadat e Hamza

🌹8. Laho se seencha hai deen e khuda ka yu gulshan
Mahakti aaj bhi ZEESHAN nusrate hamza







4
Janab.Najaf Masoom Marufi Sahab.

1. Bayaan kaise karoN haye ghurbate Hamza
Lahoo rulati hai hamko shahadate Hamza

2. HaiN ashkbaar mohd ke chahane wale
Lahoo me dekh ke aankhoN se mayyate Hamza

3. Abhi bhi hota hai aale nabi pe zulmo sitam
Ohad ki good me weeraN hai turbate Hamza

4. DareNge ham na kabhi zulm Ke asasoN se
Hamare dil me hai pinhaN suja'ate Hamza

5. Khuda ke fazl se maine to kar liya hai tawaaf
Naseeb jaldi ho sabko zeyarate Hamza

6. Bahut qareeb the ahmad se isliye ai Najaf
Pahar jaise guzarti hai furqate Hamza







5
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab.

👉🏿Raqam jo karne lagaa mai shahaadat e hamzaa.

Nazar me ghoom gaee mere ghhurbat e Hamzaa..

👉🏿hamaari fikr thi majrooh lafz giriya kunaa,n..

Tasawwuraat me ubhri jo turbat e hamzaa..

👉🏿Na aisa zulm kisi bhi shaheed pr dekha.

Lahoo rulaati hai hm ko. Shahaadat e hamzaa..

👉🏿Chabaayaa cheer ke seena kaleja hindaa ne..

Urooj e baam pe thi yu,n Adaawat e hamzaa..

👉🏿agar bataae na taarikh to zaraa badh kr..

Abu jahel se hi puchho shujaa-at e  hamzaa..

👉🏿Nazar milaa ke kare baat sonchna tha mohaal..

Ayaa,n hr eik pe thi yu,n jalaalat e hamzaa..

👉🏿Ye aake laash pe rona bataa raha hai hame,n..

Nabi ko shaaq thi kis darja furqat e hamzaa..

👉🏿Nabi ki beti gaee qabr ki ziyaarat ko..

Nigaah e haq me thi kis darja azmamat e hamzaa..

👉🏿Madd ko aa gaye  Kausar ki saaqi e kausar..

Raqam jo karne ko baithaa shahaadat e hamzaa..




6
Sadiqali Bijani (Navshad)

1
Ohad me dekhi hai sab ne shuja'ate hamza.
Adue deen pe chhaai thi haybate hamza.

2
Hamesha khauf raha inka qalbe baatil me
Banaai aysi thi maalik ne soorate hamza.

3/4 qataband
Nabi yeh badr me kehte the apne lashkar se.

Ke maymana pe rahegi qayadate hamza.

Ohad me qable vigha yeh nabi ka tha aila'n.

Mujaahedee'n pe hai vajib ita'ate hamza.

5
Rahe hai dar ke sada inse zulm ke baani.
To bekaso'n ko thi haasil himaayate hamza

6
Lahoo tha inki rago'n me janabe haashim ka.
Aya'n arab me thi behad sakhaavate hamza.

7
Woh nek naam the baaki the deene fitrat par.
Bayaa'n yeh karti he taareekh aadate hamza.

8
Hamesha milte woh logo'n se khush mizaj ke saath.
Pasand karta tha har ek rifaqate hamza.

9
Rahe voh bekaso laachaar ke sada haami.
Yateemo'n pe hai rada daste shafqate hamza.

10
Chala hai leke alam jaanine furat jari.
Dikhai deti hai rukh par jalaalate hamza.

11
Khudaya jald zahoore imaame mehdi ho.
Ke apni aankho'n se dekhu mai raj'ate hamza.

12
Ohad me ho gai jis dam shahaadate hamza
Baya'n woh kaise karu mai museebate hamza.

13
Nabi ne aansu baha kar kaha yeh haidar se.
Mai kis tarah se sahu daaghe rehlate hamza.

14
Kiya tha pusht pe zalim ne waar hamza par.
Bahut hi khasta thi us waqt haalte hamza.

15
Jigar chabaaya tha hinda ne chaak kar ke shikam.
Ohad ke dasht me tadpi thi mayyate hamza.

16
Nabi bhi roe hai hamza pe is liye nvshad.
Lahoo rulaati hai hamko shahaadate hamza.






7
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab.

1🔲
Jinho ne jang me kar li neyabat e hamza

Simat ke aagayi unme shuja'ate hamza
2🔲
Khuda k dee'n ka banayenge qaafela salaar

Rasool jan rahe hain leyaaqat e Hamza
3🔲
Ujaad daale ga har but-parast ki duniya

Jo Eek baar bhi kar le samaAte Hamza
4🔲
Ab uski nasl ka fard soorma hoga

Suni hai badr me jisne khetaabat e Hamza
5🔲
wahi Ohad ki pahaadi pe ja k chhupte hain

Jinhe qobool nahi hai hedaayat e Hamza
6🔲
Fasaahato'n ke samundar ne kr liye sajde

Ajab hai sheeri'n zobaan e balaaghat e Hamza
7🔲
Qasam khuda ki payambar ka etemad hain ye

Koyi dekha nahi sakta naqaahat e hamza
8🔲
Hasab Nasab bhi zara dekh bhaal kr aana

Bashar bashar me yahan hai shuja'at e hamza
9🔲
Mujhe Yaqeen hai baad e zohoor ay Altaf

Nazar se dekhunga apni* jalaalat e hamza




8
Janab Hamza Behlool sahab.

Nahi chupi hai zamane se azmate hamza
Pata hai sabko ke kya hai haqiqate hamza

Nabi ke ghar me bapa haaye shor e girya hai,
JahaN se aaj hui hai jo rukhsate hamza

Agar pata nahi tumko bahaduri inki,
Abu jahel se hi pucho shuja'ate hamza

Nabi ne jab kiya girya to ham bhi kyu na kare
Lahu rulati hai hamko shahadate hamza

Chaba ke kar liya sabit kaleja Hinda ne
Ke Dil me kitni bhari thi adawate hamaza

Nabi se le ke izazat kalam uthata hu
Bayan karta hai hamza bhi midhate hamza.

Wassalaam,
Iltemase dua
Anees Abr

No comments:

Post a Comment