Thursday 30 June 2016

Tarhi Misra: BINE MULJIM NE HAIDAR PAR KIYA HAI WAAR SAJDE ME.

Tarhi Misra: BINE MULJIM NE HAIDAR PAR KIYA HAI WAAR SAJDE ME.

Misra By: Janab Sadiq Ali Naushad Sahab

Taarikh: June 2016

1
Jabab Anees Abr sahab.

Sar e aqdas pe jab aakar lagi talwaar sajde me,
Tadap kar reh gaye tab Hydar e karraar sajde me...

Madine me munadi ye sada deta raha rokar,
Ae logoN qatl hote hai Shah e Abraar sajde me...

Ye sunkar Turbat e Zahra(sa) larazti reh gayi ta dair,
Bine Muljim(la) ne Hyder(as) par kiya hai waar sajde me...

Namaaze ro rahi hai dekhkar ye haal masjid me,
Hai zakhmi janashin e Ahmed e Mukhtaar sajde me...

Sada FUZTO BE RABBI ki jo goonji to huwa mehsoos,
Simat aya ho jaise poora ye sansaar sajde me...

Thi kisme taab ke shere e khuda se jung me ladta,
Huwa hai qatl Ahmed(as) ka alambardaar sajde me...

Chalakar teg zaalim ne Ali(as) ke farq e athar par,
Sutoon e adl ko bhi kar diya mismaar sajde me...

Sitam ki teg se do neem sir hai haaye abru tak,
Ali pe waqt aya hai bada dushwaar sajde me...

Ruku me banda e ma'bood ko dekar zakaat apni,
Ali(as) ne kar liye ma'bood ke deedaar sajde me...

Ali(as) ka chahnewala bhi kaise benamaazi ho,
Huwa hai qatl jabke shioN ka sardar sajde me...

Ali(as) zakhmi huwe hai Abr jab sajde ki halat me,
Mera dil keh raha hai me likhu ashaar sajde me...

2
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

bine muljim ne ye kaisa kiya h waar sajde me
lahu se ho gaye tar haidr e karrar sajde me

ye sunkar shbbaro shbbeer masjid ki tarf daude
huye zakhmi hamare walid e gmkhaar sjde me

ye manzar dekh ke dil fat gaya arzo sama ka bi
zaher aalod haidr ko lagi talwar sjde me

tadp kar zainbo kulsoom roti aor kahti h
mere baba pe kisne kr diya h war sjde me

bine muljim bata tera ali ne kya bigada tha
ali to kar rahe the ta ate gaffar sjde me

lagai zarb aisi farq aqdas pr sitamgar ne
tadap ke rah gaya ek be kaso lachar sjde me

nbi girya kuna aor fatma gash me h ye sunkar
bine muljim ne haidr pr kiya h waar sjde me

tadp kar bhar rhe h khaak haidr apne zakhmo me
bada mushkil kusha pe waqt h dushwar sjde me

musalla masjid o mehrabo mimbar h sabi girya'n
gaya mara wasiye ahmde mukhatr sjde me

ali ne  fuz to rabbe kaba kah ke hmko batlaya
milega kamyabi ka faqat meyar

sada waqte sahr jibreel dete the ye ro ro kar
raza rukn e hedayt ho gaya mismar sjde me.

بن ملجم نے یہ کیسا کیا ہے وار سجدے میں
لہو سے ہو گئے تر حیدر کرار سجدے میں

یہ سنکر شبر و شبیر مسجد کی طرف دوڑے
ہوئے زخمی ہمارے والد غمخوار سجدے میں

یہ منظر دیکه کے دل پهٹ گیا ارض و سما کا بهی
زہر آلود حیدر کو لگی تلوار سجدے میں

تڑپ کر زینب و کلثوم روتی اور کہتی ہیں
مرے بابا پہ کس نے کر دیا ہے وار سجدے میں

بن ملجم بتا تیرا علی نے کیا بگاڑا تها
علی تو کر رہے تهے طاعت غفار سجدے میں

لگائ ضرب ایسی فرق اقدس پر ستمگر نے
تڑپ کے رہ گیا اک بیکس و لاچار سجدے میں

نبی گریہ کناں اور فاطمہ ہیں غش میں یہ سنکر
بن ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

تڑپ کر بهر رہے ہیں خاک حیدر اپنے زخموں میں
بڑا مشکل کشا پہ وقت ہے دشوار سجدے میں

مصلی مسجدو محراب و منبر ہیں سبهی گریاں
گیا مارا وصی احمد مختار سجدے میں

علی نے فزت رب کعبہ کہ کے ہمکو بتلایا
ملےگا کامیابی کا فقط معیار سجدے میں

صدا وقت سحر جبریل دیتے تهے یہ رو رو کر
رضا رکن ہدایت ہو گیا مسمار سجدے میں

3
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

Anokha rakh diya khaliq ne ye meyaar sajdey me.
bulandi par mila wo jo jhuka har baar sajdey me.

Shaqi ibn e shaqi ki tegh us aalam me uth'thi thi.
Ali, maabud se karte the jab guftaar sajdey me.

Flak larza zamee'n ka'npi sada Jibreel ki goo'nji.
hue hai'n aaj arkaan e huda mismaar sajdey me.

Lahu me tar amama dekh kar Hasnain kehte they.
Hai paigham e yatimi maz'har e asraar sajdey me.

Ibadat ka haqiqi husn hasil ho gaya mujh ko.
Qasam kha kar ye bole Haidar e kar'raar sajdey me.

Yahi "fuzto w'rabbe kaba" ki tashreeh hoti hai.
Zah e qismat lagi hai farq par talwaar sajdey me.

Yatimi ki sada Zainab ke kaano'n se jo takraayi.
Laga esa: qayamat aa gayi sou baar sajdey me.

Lahu mehraab se ubla Musal'la khoo'n se tar *GHAFIR*.
Bin e Muljim ne Haider par kiya hai waar sajde me.

انوکھا رکھ دیا خالق نے یہ معیار سجدے میں
بلندی پر ملا وہ جو جھکا ہر بار سجدے میں

شقی ابنِ شقی کی تیغ اس عالم میں اٹّھی تھی
علی، معبود سے کرتے تھے جب گفتار سجدے میں

فلک لرزا، زمیں کانپی، صدا جبریل کی گونجی
ہوئے ہیں آج ارکانِ ہدیٰ مسمار سجدے میں

لہو میں تر عمامہ دیکھ کر حسنین کہتے تھے
ہے پیغامِ یتیمی، مظہرِ اسرار سجدے میں

عبادت کا حقیقی حُسن حاصل ہوگیا مجھ کو
قسم کھاکر یہ بولے حیدرِ کرار سجدے میں

یہی "فُزتُ وَ رَبِّ کَعبَہ" کی تشریح ہوتی ہے
زہے قسمت، لگی ہے فرق پر تلوار سجدے میں

یتیمی کی صدا زینب کے کانوں سے جو ٹکرائی
لگا ایسا: قیامت آگئی سو بار سجدے میں

لہو محراب سے ابلا، مصلّیٰ خوں سے تر *غافر*
بنِ ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

4
Janab Zeeshan Azmi sahab.

🌹1. Mere maula ko zalim ki lagi talwaar sajde me
Laho bahta raha logo sare rukhsaar sajde me

🌹2. Karenge majliso matam ali ke chahne wale
Huwe hain qatl maula bekaso lachaar sajde me

🌹3. Bilak kar kiyo nahi royenge aale mustufa logo
Abu talib ke bete par huwi yalgaar sajde me

🌹4. Namaz e fajr ka manzar ye dekha hy musalmaN ne
Bine muljim ne Haidar par kiya hai waar sajde me

🌹5. Yateema ho gayee hy zainab o kulthoom ramazaN me
Ali ka khoon se ranggeen hy dastaar sajde me

🌹6. Saro ko peet te hain shabbar o shabbir yeh kah kar
Huwe zakhmi dagha se hydar e qarrar sajde me

🌹7. Zamane ko bata kar raaz apni kaamyabi ka
Ali karte rahe Allah ka deedar sajde me

🌹8. Khuda ki marefat hogi tumhe zeeshan pal bhar me
Agar dil se karo zikre khuda ek baar sajde me.

5
Maulana Raza Maroofi Sahab.

1. Khuda se ye kiya karta hu'n main izhar sajde me

Ki maot Aaye mujhe aiy khaliq e ghaffar sajde me

2. Hai sajde ko jaha'n me inferadi haisiyat hasil

Khuda ne hai'n rakhe makhsoos kuch Aasar sajde me

3. Kisi ke waste bhi juz khuda jayez nahi'n sajda

Khuda jane neha'n hai'n kaon se asrar sajde me

4. Khataye'n bakhah de ga khaliq e arz o sama sari

Gunaho'n ka agar kar le koi eqrar sajde me

5. Khila kar mehmano'n se ye ibeahim kahte the

Jabi'n ko rakh do tum apni faqat ek bar sajde me

6. Khuda ne nemat e ishqe ali mujh ko ata ki hai

Usi ka shukr karta hu'n ada har bar sajde me

7. Wasi e mustafa ka zikr hai is waste dekho

Gire jate hai'n kaghaz par mere ash'ar sajde me

8. Ali ne sar pe zarbat khake batlaya zamane ko

Hai muzmar kamyabi ka meri me'yar sajde me

9. Haqiqat hai imam e waqt jab sajde me jata hai

To us ke sath Aajata hai kul sansar sajde me

10. Elahi khair ho unniswi'n ki subhe sadiq hai

Jabi'n rakhkhe hue hai'n haidar e karrar sajde me

11. Laraz uththi nabi ki qabr zahra bhi tadap uththi'n

Lagi haidar ke sar par jis ghadi talwar sajde me

12. Khuda ka deen bhi keu'n siskiya'n le le ke rota hai

Bhala zakhmi hua ye kaon sa dindar sajde me ?

13. Asar talwar ke is war ka dunya ne dekha tha

Tadapta tha wasi e ahmad e mukhtar sajde me

Tazmeen

14. Kaha'n himmat thi hamlawar jo hota Aam halat me

Bin e muljim ne haidar par kiya hai war sajde me

15. Yatim o benawa'n , bekas yahi kah kar tadapte hai'n

Hua zakhmi hamara munis o ghamkhwar sajde me

16. Tadap kar hath me lekar alam abbas kahte hai'n

Hai kho'n me tar batar di'n ka alambardar sajde me

17. Raza mehrab e haq me khoon Aalooda tadapta hai

Elahi qafele ka qafela salar sajde me

خدا سے یہ کیا کرتا ہوں میں اظہار سجدے میں

کہ موت آئے مجھے اے خالقِ غفار سجدے میں

ہے سجدے کو جہاں میں انفرادی حیثیت حاصل

خدا نے ہیں رکھے مخصوص کچھ آثار سجدے میں

کسی کے واسطے بھی جز خدا جائز نہیں سجدہ

خدا جانے نہاں ہیں کون سے ےاسرار سجدے میں

خطائیں بخش دے گا خالق ارض و سما ساری

گناہوں کا اگر کرلے کوئی اقرار سجدے میں

کھلا کر مہمانوں سے یہ ابراہیم کہتے تھے

جبیں کو رکھ دو تم اپنی فقط اک بار سجدے میں

خدا نے نعمت عشق علی مجھ کو عطا کی ہے

اسی کا شکر کرتا ہوں ادا ہر بار سجدے میں

وصی مصطفیٰ کا ذکر ہے اس واسطے دیکھو

گرے جاتے ہیں کاغذ پر مرے اشعار سجدے میں

علی نے سر پہ ضربت کھاکے بتلایا زمانے کو

ہے مضمر کامیابی کا مری معیار سجدے میں

حقیقت ہے امام وقت جب سجدے میں جاتا ہے

تو اس کے ساتھ آجاتا ہے کل سنسار سجدے میں

الٰہی خیر ہو انیسویں کی صبح صادق ہے

جبیں رکھے ہوئے ہیں حیدر کرار سجدے میں

لرز اٹھی نبی کی قبر زہرا بھی تڑپ اٹھیں

لگی حیدر کے سر پہ جس گھڑی تلوار سجدے میں

خدا کا دین بھی کیوں سسکیاں لے لے کے روتا ہے

بھلا زخمی ہوا یہ کون سا دیندار سجدے میں

اثر تلوار کے اس وار کا دیکھا تھا دنیا نے

تڑپتا تھا وصی احمد مختار سجدے میں

کہاں ہمت تھی حلمہ ور جو ہوتا عام حالت میں

بنِ ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

یتیم و بے نوا بیکس یہی کہہ کر تڑپتے ہیں

ہوا زخمی ہمارا مونس و غمخوار سجدے میں

تڑپ کر ہاتھ میں لے کر علم عباس کہتے ہیں

ہے خوں میں تر بتر دیں کا علمبردار سجدے میں

رضا محراب حق میں خون آلودہ تڑپتا ہے

الٰہی قافلے کا قافلہ سالار سجدے میں

6
Janab Hasnain Marufi Sahab

Jabee,n rakhni thi hum ko is liye darkaar sajde me

Khuda se qurb ka ho raasta humwaar sajde me

😭
kiya hai jas tarah se haidare karraar ne apna

Ada kar hi nahi sakta koyi kirdaar sajde me

😭
tadap kar kah rahi hai,n maadare abbas zainab se

Bin e muljim ne haidar par kiya hai waar sajde me

😭
Amaama khoon me dooba hoa hai sher e daawar ka

Musalla masjid e kofa ka hai khoo,nbaar sajde me

😭
Malak sar peet te hai,n khaana e kaaba bhi rota hai

Lagi hai haidar e karraar ko talwaar sajde me

😭
Tadap kar fatema zahra lahed me bain karti hai,n

Musibat ka ali par hai gira kuhsaar sajde me

😭
tasauwwar kijye maula ki keya haalat hoyi hogi

Badhi jab khoon ke jaryaan ki raftaar sajde me

😭
zameen o aasma,n rote hai,n jab hasnain rote hai,n

Loho me tar ba tar hai,n haidar e karraar sajde me

7
Janab Eram Mehdi sahab.

Hue majrooh jaane Ahmad e Mukhtaar sajde me!!!!!!!
Utar ayi jabeen e paak tak talwaar sajde me !!!!!!!!!!!!!!
kaleje phat rahe hain Mominon ke dekh kar manzar!!
Bin e muljim ne Haider pr kiya hai waar sajde me!!!!!!

8
Janab Ahmed Abbas sahab.

Tadpta h qaseemul jannat e wannar sajde m
Lahoo m aaj doobe haidre krrar sajde m

ye sunte he dahade mar kar rone lagi zainab
Bine muljim ne haider pr kiya hai waar sajde m

Ye kysi zarb zalim n lgai  ek nmazi pr
Lahoo se tar ali ki ho gyi dastaar

jo shab me rotiya taqseem krta tha greebo ko
zahr alood usko lag gyi talwaar sajde m

Fira ankho m fir unniswi ramzaan ka manzar
Tahe khanjar dikhe mujhko shahe abrar  sajde m
            

9
Janab Hasan Utrolvi sahab.

Namaz e fazr mai'n hay haider e karrar sajde mein...
Kia mushkilkusha ne maut ka deedar sajdey me...

Nahii'n auqaat thi jo murtaza ke ro baroo aata...
Bin e mulzim ne haider pe kiya hay waar sajde me...

Khuda se guftugu krne mussale par jo aata hu...
Ali ko yaad krta hu hazaro'n baar sajdey me...

10
Janab Mohammad Govani sahab.

Ali sajde meN hote the kuchh aisi shaan se mashgool,

Ke jaise karte hoN ma'abood ka deedaar sajde meN,

Ganeemat jaani qaatil ne bhi is tarze ibaadat ko,

Bin.e Muljim ne Haider* par kiya hai waar sajde meN...!

11
Janab Hamza Behlool sahab.

Nabi ke dee'n ki dhaa di zulm ne deewaar sajde me
Bine mulzim ne haidar par kiya hai waar sajde me

Jidaare masjide kufa hai karti khoon ka matam
Hai zakhmi jaanashine ahemade mukhtar sajde me

Qadam mehraab me bhi murtaza ke ladkhadate hai.
Khuda ka aaj karna hai use deedaar sajde me

Larazte hai zamino aasma.n arshe mo'alla bhi
Ghareebo.n ke huve zakhmi alambardaar sajde me

Kiya shaminda zalim ne sabhi avlaade aadam ko
Khuda ke gar hua hai qatl paheli baar sajde me

Voh gham angez manzar yaad aata hai to rota hu.
Ali ka uth raha tha Sar giri talwaar sajde me

Sada yeh aasmaa'n me is tarah jibreel dete the.
Huve hai qatl logo haidare karrar sajde me.

Ali ne fusto be rabbi kaha hai is liye bahelol
Khuda ka hota hai bando ko yu deedaar sajde me

12
Janab Alisubhan Zaidi sahab.

شہادت پاگئے ہیں حیدر کرارسجدےمیں                                                                                                    دکھا یا ہے زمانے کو عجب ایثار سجدے میں

خدا کے جلووں میں گم ہیں جنابِ فاتحِ خیبر
"بنِ ملجم نے حیدر پر کیا ہے وارسجدےمیں"                                                                                                            

زمیں تڑپی فلک کانپا قیامت خیز منظر تھا                                                              
چلایا جب لعیں نے خنجرِ خونخوار سجدے میں                                                                                                                      

عبادت بھی شہادت بھی کہ اپنے رب کی قربت بھی                                          
وصیء مصطفی ٰ اس کا بنے اظہار  سجدے میں                                                         
علیِ مرتضی، مشکل کشا، شیرِ خدا ہے جو                                         اذیت سے مصیبت سے ہوا دوچار سجدے میں                                                       

انہیں معلوم تھا اللہ کی مرضی اسی میں ہے                                                      
خدا کےواسطے مولا ہوئے تیار ّ سجدے میں                                                                 

علی نے مرضیء مالک پہ اپنی جاں فدا کردی                                                                عبادت کے لیے سر تھا "شہادت وار سجدے" میں                                                           

کوئی الہام ہوجائے قلم *سبحان*اٹھائے جب                                                        خدایا شکر میں ہو سر مرا ہر بار سجدے میں                                                        

13
Janab Sadiqali Bijani (Navshad) sahab

Ali jab rab se karte ishq ka izhaar sajde me.
Na haael darmya'n hoti koi deevaar sajde me.

Khuda se jod te yu'n apne dil ke taar sajde me.
Nazar aate hamesha laaghro beemaar sajde me.

Raha hai umr bhar haidar ka yeh meyaar sajde me.
Na hoga dard chaahe to nikalo khaar sajde me.

Simat aate hisaare aalme anwaar sajde me.
Woh kar lete hai'n pal me arsh ki had paar sajde me.

Musalle ko woh maydaane wigha me bhi bichha dete.
Nahi tha khauf teero'n ki ho gar bochhaar sajde me.

Nahi tha dard ka ehsaas kheecha jism se jab teer.
Na dunya ka kabhi rakhte the dil par baar sajde me.

Aza'n sunte hi bas haidar ka chehra zard ho jaata.
Zaeefi ka khuda se karte woh iqraar sajde me.

Ali ki is adaae bandgi ka dhoondh kar mauka
Bine muljim ne haidar pe kiya hai waar sajde me.

              🌴🌴🌴

Yaha zalim ki haydar pe chali talwaar sajde me.
Binae arsh wa'n hokar giri mismaar sajde me.

Ali ko tegh aisi zehr aalooda lagi sa per.
Ali ka baaki rah paana huva dushwaar sajde me.

Zameeno aasmaa me yeh sada jibreel ki goonji.
Huva zakhmi ay logo deen ka sardaar sajde me.

Bahaaro'n me anadil ne kiye ro ro ke yeh nawhe.
Khizaao'n ne hai loota deen ka gulzaar sajde me.

Malak ke saath saare mbiya kehte the yeh ro kar.
Ke khaaro'n ne hai ronda aaj ek gulbaar sajde me.

Labe jinnat se sunte the koofe vaale ye nawha.
Ali ko kisne puhchaae hai'n yeh aazaar sajde me.

Gale ko dekh kar sookha bahae ashk khanjar ne.
Huvi jab shaahedee'n pe shimr ki yalghaar sajde me.

Kai din ka tha pyaasa push bhi kodo'n se thi zakhmi
Magar shukre khuda karta raha beemaar sajde me.

Kiya karti thi saaya uspe hardam zainabo kulsoom.
Ke jukta dhoop me jab qaafle saalar sajde me.

Ali ka vaasta deta hu ya rab bakh'sh de usko
Kare *Navshad* roke jab bhi istighfaar sajde me.

14
Janab Najaf Masoom Marufi Sahab.

1.chali jis dam bine muljim teri talwaar sajde me
Lahu me tar howe haiN haidare karrar sajde me

2. Mosalli masjide kofa ke haiN girya kunaN saare
Waqaare khanye kaaba howa mismaar sajde me

3. Lipat ke ro rahi hai pawoN se shabbir ki dukhtar
Ishaara kar raha hai kar ke sar rahwaar sajde me

4. Falak rone laga kuhraam hai kofe ki galiyoN me
Bine muljim ne haidar pe kiya hai waar sajde me

5. Howa hai rabbe akbar ka saheeh deedar sajde me
Khuda wahdat ka karte haiN teri iqraar sajde me

6. Nishane bughzo ghaddari chhipane keliye logoN
HaiN hamraahe mohd deen ke ghaddar sajde me

7. YaqeeN na ho to aake dekh lo mehraabe masjid me
Mohd ko nawase se hai kitna pyaar sajde me

8. Mobarak hai mahina is mahine me Najaf uththo
Khuda ke ghar me jake karlo istaghfaar sajde me

15
Syeda mehak raza kazmi saheba.

جبیں رکھتا ہے جب بھی حیدر کرار سجدے میں
خدا کے نفس کا دکھتا ہے پھر کردار سجدے میں

محافظ دینِ احمد کا جو تھا زخمی ہوا ایسے
لہو میں غرق ہے فرقِ شہ ابرار سجدے میں

لگائ ایسی ضربت کہ تڑپ کر رہ گئے مولا
بن ملجم نے حیدر پر کیا ہے وار سجدے میں

جگر تھامے ہوے حسنین ع  ہیں بابا کی حالت پر
تڑپتا ہے وصی احمد مختار سجدے میں ہے

فلک روتا ہے سن کر زینب و کلثوم کے نالے
جہاں سے آج اٹھا دین کا سردار سجدے میں

بن ملجم کی ضربت نے کیا ہے کچھ اثر ایسا
مصلی پر گرا ہے حیدرِ کرار سجدے میں

لہو روتے ہوئے عباس بھی آے ہیں مسجد میں
سنا جیسے ہی حیدر پر ہوا ہے وار سجدے میں

لحد میں فاطمہ زھرا جگر تھامے تڑپتی ہیں
مہک زخمی ہوا ہے سید و سردار سجدے میں

16.
Janab Altaf Haidari Maroofi Sahab

Payambar ka gaya jis dam qaraabat daar sajde me.

Kiya sajdo'n ne shukre haq ada sau bar sajde me
🌕
Khudaayi naaz karti h farishte wajd karte hain

Chale jate hain jis dam Haidar e Karrar sajde me
🌑
Magar Unneeswi'n Ramza'n
Namaz e sub'h ke maabain

Bine muljim ne Haidar pe kiya hai waar sajde me
🌑
Husain o Murtaza pr khoon kyo'n Altaf na Roye

inhi do zaat pr dekhi gayi talwaar sajde me

Wassalaam
Ilatemas e Dua
-Anees Abr'

No comments:

Post a Comment