Friday 5 August 2016

Tarhi Misra: Tum Abu Sufiyaan ke or ham Abu Talib(as) ke sath

Tarhi Misra: Tum Abu Sufiyaan ke or ham Abu Talib(as) ke sath

Misra By: Maulana Mohammed Raza Maroofi sahab

Tarikh: August 2016

1
Janab Altaf Haidari maroofi Sahab.

Ya Ali kah kr uthao apne hatho'n me qalam

Ap ko kaisa hai aakhir gham abutalib ke sath


2
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.

Har ghadi har saaniya har dam Abutalib ke sath.
ya Ali kehte raho peyham Abutalib ke sath.
🌹
Gar khuda chahey to ik din esa aayega ke hum.
Khuld jayenge b'chashm e nam Abutalib ke sath.
🌹
Apna apna hai muqaddar kis ko kya hasil hua.
Hum karenge khuld me matam Abutalib ke sath.
🌹
Bu lahab ki rooh ko mehshar me bhi jhatka laga.
Aaye jab Paighambar e akaram Abutalib ke sath.
🌹
Khouf mehshar ki tapish ka hoga kyo'n lahaq hame.
Khushnuma ho jayega mousam Abutalib ke sath.
🌹
Jab se hum paida huey tab se lahad ki goud tak.
hai hamari har khushi, har gham Abutalib ke sath.
🌹
Is liey hum munsalik damaan e Butalib se hai'n.
Rehmato'n ki hai sada shabnam Abutalib ke sath.
🌹
Kis ki qurbani thi bhari khud pata chal jaega.
gar khade ho'n hazrat e Aadam Abutalib ke sath.
🌹
Khuld to jageer hai apni magar ik shart hai.
Kousari mil jaye jaam e jam Abutalib ke sath.
🌹
Tum to pa sakte nahi'n *GHAFIR* ki gard e paa talak.
Tum Abusufyaan ke or hum Abutalib ke sath.

ہر گھڑی، ہر ثانیہ، ہر دم ابوطالب کے ساتھ
یاعلی کہتے رہو پیہم ابوطالب کے ساتھ
🌹
گر خدا چاہے تو اک دن ایسا آئے گا کہ ہم
خلد جائیں گے بچشمِ نم ابوطالب کے ساتھ
🌹
اپنا اپنا ہے مقدر کس کو کیا حاصل ہوا
ہم کرینگے خلد میں ماتم ابوطالب کے ساتھ
🌹
بولہب کی روح کو محشر میں بھی جھٹکا لگا
آئے جب پیغمبرِ اکرم ابوطالب کے ساتھ
🌹
خوف محشر کی تپش کا ہوگا کیوں لاحق ہمیں
خوشنما ہو جائے گا موسم ابوطالب کے ساتھ
🌹
جب سے ہم پیدا ہوئے تب سے لحد کی گود تک
ہے ہماری ہر خوشی ہر غم ابوطالب کے ساتھ
🌹
اس لئے ہم منسلک دامانِ بوطالب سے ہیں
رحمتوں کی ہے سدا شبنم ابوطالب کے ساتھ
🌹
کس کی قربانی تھی بھاری خود پتہ چل جائے گا
گر کھڑے ہوں حضرتِ آدم ابوطالب کے ساتھ
🌹
خلد تو جاگیر ہے اپنی مگر اک شرط ہے
کوثری مل جائے جامِ جم ابوطالب کے ساتھ
🌹
تم تو پاسکتے نہیں *غافر* کی گردِپا تلک
تم ابوسفیان کے اور ہم ابوطالب کے ساتھ



3
Janab Zeeshan Azmi sahab.

Tum abusufyaan ke or ham abutalib ke saath*

1. Hum karenge dahr me matam abutalib ke saath
Hai dawa aur zakhm ka marham abutalib ke saath

2. Kufr ka fatwa lagaya kafiro'n ne, aaj dekh
Hai Muhammad aur Ali taaham abutalib ke saath

3. Kiyu'n tumhe inkar hai ay kafiro! Eima'n se jab
Hai ameerul momenee'n har dam abutalib ke saath

4. Khatm ho jae'n gi dehshat gardiya'n dunya se khud
Ay musalma aa utha parcham abutalib ke saath

5. Dono ke aamaal se ay dost yeh zaheer hai aaj
Tum abusufyaan ke or ham abutalib ke saath

6.  Kyo'n na ay Zishan charcha us ke eima'n ka karu'n
Jab ke the paigambere akram abutalib ke sath


4
Janab Jabir Vakil sahab.

Kyu ki khuda bhi rehta hai har dam Abu Talib ke saath,
Ham manate hai khushi aur gam Abu Talib ke saath.

Kaun kafir kaun momin maloom hoga hashr me,
Tum Abu Sufiyaan ke aur ham Abu Talib ke saath.

Abu jahal ho ya lahab kuffar se koi darr nahi,
Kya bhala hoga nabi ko gam Abu Talib ke saath.

Meraaj hogi ye aza ki matami halke me jab,
“Jabir” Karega khun ka matam Abu Talib ke saath



5
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

zindgi bhar q rahen na ham abu talib k sath
jb rahe paigmbr e akrm abu talib k sath

do qadam jnnt badi khud mere isteqbaal me
mai chala suye jena'n jis dam abu talib k sath

hashr me ye soch kr ye h kfeel e mustafa
fakhr krte honge khud adam abu talib k sath

hai yaqee'n imran ki pur faiz zate pak se
khushiyo me tabdeel hoga gam abu talib k sath

sajdye mabod me tab lutf ayega hme
jab jabee'n hogi hamari kham abu talib k sath

dushmnane  aale ahmd kanp uththe us ghadi
jab chala aalha ka zaigam abu talib k sath

bole ye shbbeer mai kaise karu baiyat yazeed
tum abu sufyan k aor ham abu talib k sath

hai raza dil me tamnna aamd e mahdi k bad
ham karen shbbeer ka matam abu talib k sath




6
Janab Kausar Rizvi Sitapur.

1__Har khushi apni hai apna ghham abutaalib ke sàath....

Apni bakhhshish hai yaqee,n moh kam abutaalib ke saath..

2__Aa nahi,n sakti kabhi laghhzish sabaat-e azm me...

Gar husaini hai to hai ta dam abutaalib ke saath..

3__Zul ashira me dikhaae haashmi tewar faqat...

Baat kr paae tha kis me dam abutaalib ke saath

4__Roz e mahshar un sahaaba se kahunga fakhr se...

Tum abu sufiyaan ke aor hm abutaalib ke saath..

5__Ham azaadaaro,n ko bakhhshish ki bhalaa kyo,n fikr ho...

Honge khhud paighhambar e aazam abutaalib ke saath.

6__Garmiye mahshar se hoga haal tum sab ka bura.

Ham ko kyo,n kr fikr hai zam zam abutaalib ke saath

7__Ai husain ibne ali hoga moharram hashr tak..

Ham manaaenge tumhaara ghham abutaalib ke saath.

8__Roz e mahshar tashnagi ka khaof tum ko ho magar..

Ksusar o tasnim hai,n zam zam abutaalib ke saath..

9__jiska beta kulle eemaa,n usko kaafir tu kahe..

Kar na itna zulm kam az kam abutaalib ke saath..

10_Hai tamanna roz e mahshar le ke kausar mai chalu,n..

Haath me Abbas ka parcham abutaalib ke saath..



7
Maulana Mohammad raza Sahab.

ہر نفس ہر گام اور ہر دم ابوطالب کے ساتھ

دینِ حق چلتا رہا پیہم ابوطالب کے ساتھ

تم کہاں جاؤگے مفتی حشر کے میدان میں

جب رہے گا دین کا پرچم ابوطالب کے ساتھ

مکتب عشق علی نے یہ ہمیں سکھلا دیا

ہے ہماری ہر خوشی ہر غم ابوطالب کے ساتھ

کیوں نہ ہوں ہمراہ ان کے انبیاء و مرسلیں

خود ہیں جب پیغمبر اکرم ابوطالب کے ساتھ

ساتھ ان کے بھیڑ ہوگی حشر کے میدان میں

اس جہاں میں ہیں اگرچہ کم ابو طالب کے ساتھ

یہ تمنا ہے رضا کی حضرت شبیر کا

خلد میں جاکر کرے ماتم ابو طالب کے ساتھ

Har nafas har gaam aur har dam Abutalib ke sath
Deen e haq chalta raha paiham abutalib k sath

Tum kahan jaoge mufti hashr k maidaan me
Jab rahega deen ka parcham abutalib ke sath

Maktab e ishqe Ali ne ye hame samjha diya
Hai hamari har khushi har gham abutalib k sath

Kyon na hon hamraah uske ambiya o murasalee'n
Khud hain jab paighambar e akram abutalib ke sath

Sath unke bheed hogi hashr k maidan me
Is jahan me hain agar che kam abutalib k sath

Ye tamanna hai *Reza* ki hazrat e shabbeer ka
Khuld me jakar kare matam abutalib ke sath



8
Sadiqali Bijani (Navshad)

Maanta hai jo abutalib ko momin woh hareik.
Hashr me honga tahe parcham abutalib ke saath.

Apna apna hai muqaddar apna apna hai naseeb.
Tum abusufyaan ke or ham abutalib ke saath.



9
Janab Khateeb Haidar Allahabadi Sahab.

Roz e mehshar kaon kafir hai pata chal jaega
Aaenge jab mursal e aazam abutalib ke sath

Tum jahannam me jaloge hum hasenge  khuld me
Tum abusufiyaan ke aur hum abutalib ke sath




10
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Silsila dar silsila har ghum abu taalib ke saath
Is liye hai,n sahebe maatam abu taalib ke saath

Tum ko makka aur hum ko karbala haasil hoyi
Tum abu sufiyaan ke aur hum abu taalib ke saath.

11
Maulana Mazhar marufi sahab.

Hain abutalib hamare ham abutalib ke sath
  Yun aqedat hogai mohkam abutalib ke sath

Na hui hai aur nahogi kam abutalib ke sath
Marziye mabood hai paiham abutalib ke sath

Dekhte hain kiski hoti hai shifa at hashr me
Tum abu sufyan ke aur ham abutalib ke sath

Kisme himmat hai jo nazre bad uthakar dekh le
Chal rahe hain mursale aazam abutalib ke sath

Roze mahshar ki tapish kakhauf mazhar kiun kare
Hauze kausar aur hai zamzam abu talib ke sath

No comments:

Post a Comment