Monday 22 August 2016

Tarhi Misra: KARBALA KI TARZ PAR AAZAAD HOTA HAI WATAN.

Tarhi Misra: KARBALA KI TARZ PAR AAZAAD HOTA HAI WATAN.

Misra By:  Janab Altaf Maroofi sahab

Tarikh:  August 2016

1
Janab Sharif Rizvi Sahab:

hai khushi se phoolta imroz mera hai watan
dushmanane mulk se ab paak hota hai watan

ki thi aane ki tamanna hazrate shabbir ne
fakhr se kyu na kahu ki mera acha hai watan

kafiro ki hai hukumat par bahot acha h ye
kamse kam har ek munafiq se mubarra hai watan

fakhr hai iran ko bhi sahebe abqaat par
ay mere Hamid tere dam se bhi uncha hai watan

karbala se dars gaandhi ne liya hai tab kahi
karbala ki tarz par aazad hota hai watan

ham jaha chahe nidar hoke kare majlis bpa
isliye kehte h ki azaad mera hai watan

ek Taraf masjid h meri ek taraf mandir bana
muttahid hai ham sabhi paighaam deta hai watan

ek yahi h mulk jisme h sabhi mazhab ke log
apni godi me liye ham sabko jeeta hai watan

ladke aapas me diya karte h dushman ko khushi
dekh kar is tarha ke halaat Rota h watan

hai watan se ishq shaarif sahebe iman hu
jo bhi momin hai kahega mera pyara h watan

ہے خوشی سے پھولتا امروز میرا ہے وطن
دشمنانِ ملک سے اب پاک ہوتا ہے وطن

کی تھی آنے کی تمنّا حضرت شبّیر نے
فخر سے کیوں نہ کہوں کہ میرا اچّھا ہے وطن

کافروں کی ہے حکومت پر بہت اچّھا ہے یہ
کم سے کم ہر اِک منافق سے مبرّا ہے وطن

فخر ہے ایران کو بھی صاحبِ ابقات پر
اے مِرے حامد تِرے دم سے بھی اونچا ہے وطن

کربلا سے درس گاندھی نے لیا ہے تب کہیں
کربلا کی طرز پر آزاد ہوتا ہے وطن

ہم جہاں چاہیں نڈر ہوکے کریں مجلس بپا
اسلئے کہتے ہیں کہ آزاد میرا ہے وطن

اِک طرف مسجد ہے میری اک طرف مندر بنی
متّحد ہیں ہم سبھی پیغام دیتا ہے وطن

اِک یہی ہے ملک جسمیں ہیں سبھی مذہب کے لوگ
اپنی گودی میں لئے ہم سب کو جیتا ہے وطن

لڑ کے آپس میں دیا کرتے ہیں دشمن کو خوشی
دیکھ کر اسطرح کے حالات روتا ہے وطن

ہے وطن سے عشق شارف صاحبِ ایمان ہوں
جو بھی مومن ہے کہےگا میرا پیارا ہے وطن

     

2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

Karbala ki tarz par aazaad hota hai  watan

1. Naaz hai Hindustaa'n par sab se aala hai watan
Ittehad e mazhab o millat sikhata hai watan

नाज़ है हिंदुस्तां पर सब से आला है वतन
ईत्तेहादे मज्हबो मिल्लत सीखाता है वतन

ناز ہے ہندوستاں پر سب سے اعلی ہے وطن
اتّحادِ مذھب و ملّت سکھاتا ہے وطن

2. Parcham e Hindusta'n chukar yeh dil kahne laga
Dil ki dhadkan hai watan shaan e tiranga hai watan

परचमे हिंदुस्तां छू कर यह दिल कहने लगा
दिल की धड्कन है वतन शाने तिरंगा है वतन

پرچمِ ہندوستاں چھو کر یہ دل کہنے لگا
دل کی دھڑکن ہے وطن شانِ ترنّگا ہے وطن

3. Sar zameen e hind par kitni zabanein hai magar
Aadmi ko pyar ki bhasha padhata hai watan

सर ज़मीने हिन्द पर कितनी ज़बाने है मगर
आदमी को प्यार की भाषा पढाता है वतन

سر زمینِ ہند پر کتنی زبانیں ہیں مگر
آدمی کو پیار کی بھاشا پڑھاتا ہے وطن

4. Gulshane hindustaa,n par aanch aa sakti nahi
God me jaa baazo'n ki aaraam pata hai watan

गूलशने हिंदुस्तां पर आंच आ सकती नहीं
गोद मे जांबाज़ो की आराम पाता है वतन

گلشنِ ہندوستاں پر آنچ آسکتی نہیں
گود میں جانبازوں کی آرام پاتا ہے وطن

5. Madraso me hum ko ye taleem di Ustaad ne
Bilyaqee'n har mulk se achcha hamara hai watan

मदरसों मे हम को यह तालीम दी उसताद ने
बिलयकिं हर मूलक से अच्छा हमारा है वतन

مدرسوں میں ہم کو یہ تعلیم دی استاد نے
بالیقیں ہر ملک سے اچھا ہمارا ہے وطن

6. Zulm ki basti me bhi insaan milte hain yaha'n
Is liye insaaniyat par fakhr karta hai watan

ज़ूल्म की बस्ती मे भी ईनसान मिलते है यहाँ
ईस लिये इन्सानियत पर फख्र करता है वतन

ظالم کی بستی میں بھی انسان ملتے ہے یہاں
اس لئے انسانیت پر فخر کرتا ہے وطن

7. Baadshaon ke sitam se paak hai iski zamee'n
Jis se bharat waasiyo'n ko jaa'n se pyara hai watan

बादशाहों के सितम से पाक है ईस की ज़मीं
जिस से भारत वासियों को जां से प्यारा है वतन

بادشاہوں کے ستم سے پاک ہے اس کی زمیں
جس سے بھارت واسیوں کو جاں سے پیارا ہے وطن

8. Baand kar sar par kafan Ghandhi ne batlaya hame
Karbala ki tarz par aazaad hota hai  watan

बांध कर सर पर कफन गांधी ने बतलाया हमे
करबला की तरज़ पर आज़ाद होता है वतन

باندھ کر سر پر کفن گاندھی نے بتلایا ہمھیں
کربلا کی طرز پر آزاد ہوتا ہے وطن

9. Dars ye islaam ne zeeshan hum sab ko diya
Noor hai imaan ka aankho'n ka tara hai watan

दर्स यह ईसलाम ने ज़ीशान हम सब को दिया
नुर है ईमान का आंखो का तारा है वतन

درس یہ اسلام نے ذیشان ہم سب کو دیا
نور ہے ایمان کا آنکھوں کا تارا ہے وطن





3
Janab Azam Maroofi Sahab.

Fikr ki duniya me ik pal b na khota hai watan ....
Ham jahan b hon hmaare dil me hota hai watan ..

dore hazir ko madde nazar rakhte huye2 sher
1
Jis taraf b dekho hai khu'n reziya'n zulmo fasad .....
Ya kahun kb chain se ek pal b sota hai watan .   ..
2
Han syasi hukmarano k jafa karne k bad.....
Apne zakhmo ko sada ashko se dhota hai watan .....
Qata band
3
Gulshane insaniat k phool jitne hain hasee'n .......
Ek ulfat k hi dhage me pirota hai watan ...
4
Dosti sabro haya rahmo karam seencha gya ....
Tab kahin duniya me Hindustan hota hai watan ...
5
Kitni jano k awaz hmko mili swatantrata ....
Un shaheedon k liye hi aaj rota hai watan..
6
Pairawi karte huye
Gandhi yahi kahte rahe .....
Karbla ki tarz par azaad hota hai watan.......
7
Ranjisho bughzo hasad azam ni hai kat'ta.......
Dil ki geti me faqat ulfat hi bota hai watan ...



4
Janab Hasnain Marufi Sahab.

Puchhte ho to bataata hu,n ki keya keya hai watan

Khaana e kaaba khuda ka mera kaaba hai watan
🇮🇳🌹
kiu,n na ho,n ahle watan shabbeer ke ghum me shareekh

Karbala ki tarz par aazaad hota hai watan
🇮🇳🌹
Yaad aa jaati hai zinda,n  me sakeena ki fugha,n

Jab kabhi pardesio,n ko yaad aata hai watan
🇮🇳🌹
yu,n to aazaadi ke sattar saal guzre hai,n magar

Aaj bhi qurbaanio,n ko yaad karta hai watan
🇮🇳🌹
Chaand ghum ka aasma,n par jab bhi hota hai aya,n

Marsiya shabbeer ki ghurbat ka padhta hai watan
🇮🇳🌹
maatam e shabbeer par paabandiya,n hoti nahi

Is liye mera zamaane me niraala hai watan
🇮🇳🌹
dekh kar ahle watan ko khoo,n me ghalta,n khaak par

Thaam kar dil siskiya,n le le ke rota hai watan
🇮🇳🌹
Kiu,n na naaza,n ho bhala hasnain azmat par teri

Baad khaaliq ke jabee,n ka pahla sajda hai watan




5
Janab Syed Ali Abbas fasi aahab.

Naam war saare jahan me ab jo apna hai watan.

Haq bayani janisari se ye chamka hai watan.

Mujh ko mehma'n kahne waale mai musalma'n hun magar.

Sun ye mera hai ye mera hai ye mera hai watan.

Gurdwara mandir o masjid bhi isme church bhi.

Ghour kar kitna haseen in sab se lagta hai watan.

Ye mahtma gandhi bhi duniya ko batla te chale.

Karbala ki tarz par azaad hota hai watan.

Aaye FASI is mulk ki geti me hai sacha lahoo.

Issliye dil se ye kehta hun mai sacha hai watan.





6
Maulana Ghafir Rizvi Sahab.
🇮🇳
Ulfate'n rishto'n ke dhaage me pirota hai watan.
Behte daryao'n ko kuzey me samota hai watan.
🇮🇳
Jashn e aazadi mubarak ho tumhe aiy bhaiyo'n!.
Sun ke ye jumla bohut masroor hota hai watan.
🇮🇳
Ikhtelafaat e mazahib se nahi'n is ko gharaz.
Ulfato'n ke beej har ik dil me bota hai watan.
🇮🇳
Ujle kapdo'n me tiranga shaan se lehra diya.
kaley kartuto'n ko kuch ese bhi dhota hai watan.
🇮🇳
har ghadi ahl e watan ke waastey Goudi khuli.
Kya pata kis din, kaha'n, kis waqt, sota hai watan.
🇮🇳
Fart e gham me sar patakta hai dar o deewar se.
jab kabhi bhi soorma shero'n ko khota hai watan.
🇮🇳
Sar'hado'n se jab utha kar laaye jate hai'n shaheed.
khoon ke aa'nsu jawa'n laasho'n pe rota hai watan.
🇮🇳
Dars ye *GHAFIR* Khumeni awr Ga'ndhi ne diya.
Karbala ke tarz par aazad hota hai watan.
🇮🇳
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

🇮🇳
الفتیں رشتوں کے دھاگے میں پروتا ہے وطن
بہتے دریاؤں کو کوزہ میں سموتا ہے وطن
🇮🇳
جشنِ آزادی مبارک ہو تمہیں اے بھائیو!
سن کے یہ جملہ بہت مسرور ہوتا ہے وطن
🇮🇳
اختلافاتِ مذاہب سے نہیں اس کو غرض
الفتوں کے بیج ہر اک دل میں بوتا ہے وطن
🇮🇳
اُجلے کپڑوں میں ترنگا شان سے لہرا دیا
کالے کرتوتوں کو کچھ ایسے بھی دھوتا ہے وطن
🇮🇳
ہر گھڑی اہلِ وطن کے واسطے گودی کھلی
کیا پتہ، کس دن، کہاں، کس وقت سوتا ہے وطن
🇮🇳
فرطِ غم میں سر پٹکتا ہے در و دیوار سے
جب کبھی بھی سورما شیروں کو کھوتا ہے وطن
🇮🇳
سرحدوں سے جب اٹھاکر لائے جاتے ہیں شہید
خون کے آنسو جواں لاشوں پہ روتا ہے وطن
🇮🇳
درس یہ *غافر* خمینی اور گاندھی نے دیا
کربلا کے طرز پر آزاد ہوتا ہے وطن
🇮🇳
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳



7
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab

1_Dil nahi,n karta magar kahta hu,n achchha hai Watan..

Pr zamir ab puchhta hai, aisa hota hai watan?..

2__Har ghadi har lamha har saa-at jahaane zulm me..

Ashke khhu,n se apne daamn ko bhigota hai watan.

3__Firqa warana tasaadum aor kahi,n asmat gari..

Zulmato,n ki laash bas kaandho,n pe dhota hai watan..

4__Jab kahi,n pr khhune nahaq ki hai girti boond bhi.

Dosto bas khhun ke aansoo hi rota hai watan..

5__Ham nahi,n ye baat Baapu ne kahi hai dosto..

Karbalaa ki tarz pr azad hota hai watan..

6__Ahle zaalim ki faqat napaak saazish ke tale..

Kya bataau,n aap ko kis taraha pista hai watan..

7__Naam ke muslim momaalik,hai,n magar paabandiyaa,n..

Baaz aae ham wahaa,n se apna achchha hai watan..

8__Mulk ke dushman ki gardan todne ke waste..

Fakhhr un ran Baankuro,n pr ab bhi karta hai watan..

9__Qadr ham ko kuchh nahi,n hai ham to rahte hai,n yahi,n...

Poochhiye bas un ke dil se jin ka chhoota hai watan..

10__Sainkro,n jiski mazaahib pal rahe hai,n god me..

Saari duniya me faqat kausar ye apna hai watan..




8
Sadiqali Bijani Navshad. 🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳
🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳🇮🇳

Kaisa hota hai ghame hijre watan ay dosto.

Poochhie us se ki jis se door hota hai watan.

Baade halmin tha labe shabbeer pe bhaarat ka nam.

Dekhlo Navshad kitna mera aala hai watan.

No comments:

Post a Comment