Saturday 10 September 2016

Tarhi Misra: ZAKHMO SE CHOOR CHOOR KALEJA TAQI KA HAI.

Tarhi Misra: ZAKHMO SE CHOOR CHOOR KALEJA TAQI KA HAI.

Misra By: Janab Altaf Haidari Maroofi sahab

Tarikh: September 2016

1
Sadiqali Bijani (Navshad)

1
Samjaau'n kayse aap ko kya kya taqi ka hai.
Makka taqi ka hai to madeena taqi ka hai.

2
Dono jaha'n taqi ke hai'n kaba taqi ka hai.
Jannat taqi ki arshe moalla taqi ka hai.

3
Shamsho qamar ko milti rahe jis se roshni.
Labrez aysa noor se chehra taqi ka hai.

4
Majdhaar ka na khauf na toofa'n ka dar hame.
Dube kabhi na aisa safeena taqi ka hai.

5
Hasil muje huva hai sab inke tufaol me.
Arzo sama ka saara khazana taqi ka ha

6
Navshad usme aaj bhi rehta hai ghotazan.
Behta huva voh ilm ka darya taqi ka hai.

        🌴🌴🌴🌴🌴

7
Zehre dagha se qalb shikasta taqi ka hai.
Zakhmo se choor choor kaleja taqi ka hai.

8
Ja'n leva zehr se ab kamzor jism hai.
Darde badan se haal bhi khasta taqi ka hai.

9
Rote hai haadi sar se amaama utaar kar.
Ab sar se unke uth gaya saaya taqi ka hai.

10
Rone ka shor uthta hai bayte rasool se.
Ghar se janaza aaj nikalta taqi ka hai.

11
Navshad ahlebayte nabi gham se hai nidhaal.
Maatam me mubtela huva kumba taqi ka hai.

2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Kitna buland martaba maula taqi ka hai
Waqif faqat wahi hai jo shia taqi ka hai

2. Kamsin imam jaan ke chedo na tabsera
Ilm o hunar hai jitne wo sadqah taqi ka hai

3. Sharbat pilaya zahr e dagha ka la'een ne
Zakhmo se choor choor kaleja taqi ka hai.

4. Shahid hai asaman khuda bhi zamin bhi
Be misl is jahaan me sajdaa taqi ka hai

5. Chaudah khuda ke bande Muhammad hain sab ke sab
Jaisa Ali ka waisa hi shewa taqi ka hai

6. Ek dosre se inke nahi raabte juda
Pahla ho ya ho aakhari rishta taqi ka hai

7. Deene Nabi bachaaunga shabbeer ki tarah
Parwardigaar tujhse yeh w'ada taqi ka hai

8. Zeeshan deene haq ne  ye sikhla diya hame
Manzil khuda k pas hai rasta taqi ka hai

No comments:

Post a Comment