Friday 2 September 2016

Tarhi Misra: Mujhe kyu gham ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.

Tarhi Misra:  Mujhe kyu gham ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.

Misra By:  Janab Sadiq Ali Naushad sahab

Tarikh: September 2016



1
Janab Syed Ali Abbas Naqvi fasi sahab.

Yaqeenan aamad e shahe huda meri lahad me hai.

Lo phir to taay hua ye bhi zia meri lahad me hai.

Wo dar auron ko hoga bichoon ka saanp ka lekin.

Mujhe kyu ghum ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.





2
Janab Zeeshan Azmi sahab.

1. Hayat e daaemi ki ibteda meri lahad me hai
Qaza ke baad mera ghar naya meri lahad me hai

2. Wilayat hasr me kaam aayegi farmaane maula hai
Mere aamaal naame ki jaza meri lahad me hai

3. Musalma'n hi mara to theek hai mere liye warna
Azaab e qabr ki lakho'n balaa meri lahad me hai

4.  Tilavat ki badaulat jagmaga uththi meri turbat
Mere quran padhne ki jaza meri lahad me hain

5. Ibadat umr bhar maine kiya rab ki to darr kaisa
Namazi hoo Hussaini hoon khuda meri lahad me hai

6. Farishte qabr me aayenge main be kauf kah dunga
Muje kyu gham ho jab khaake shifa meri lahad me hai

7. Fishaar e qabr se bachna tumhara ghair mumkin hai
Saza teri lahad me hain Jaza meri lahad me hai

8. Tilawat ka sila qura'n ki hai zeeshan kis darja
Ujala noor ka beinteha meri lahad me hai






3
Hanab Jabir vakil sahab.

Naa koi sakhtiyaaN hai na jafaa meri lahad me hai,
Khuda ka Shukr ke mushkil kusha meri lahad me hai.

Sajaa ke parchame abbas me shabbir ko roya,
Sila ye milgaya ke  ba-wafa meri lahad me hai.

Mujhe ehsaas e jannat, Shah(as) ki turbat pe hota hai,
Mujhe kyu gam ho jab khake shifa meri lahad me hai.

Me lanat krta hu aur khun ka matam bhi karta hu
YaqeeN mujhko hai ke iski jaza meri lahad me hai.






4
Janab Hasnaib Maroofi Sahab.

Mai naaza,n hu,n sheh e dee,n ki aza meri lahed me hai

Mujhe keya ghum ho jab khaake shifa meri lahed me hai

Fada kiu,n kar na hoga husn e yusuf husn par mere

Pay e nusrat shabeeh e mustafa meri lahed me hai







5
Janab Kausar Rizvi Sitapuri sahab.

1🌷__Ghham e shabbir ishq e murtaza meri lahad me hai

Khhoda ka shukrhai sab kuchh diya meri lahad me hai

2🌷__Jo raoshan hubbe haidar ka dia meri lahad me hai

Charaaghhaa,n kyo,n malak ab kr raha meri lahad me hai.

3🌷__Dilaaega nijaat aa kr farishto,n ke sawaalo,n se

Mujhe kya fikr jab mushkil kusha meri lahad me hai

4🌷__Husain aae hasan aae butul aaee,n Ali aae

Na puchho noor ka ik silsila meri lahad me hai

5🌷__Hamesha majlis o matam me mai sarshaar rahta tha

Tabhi dekho bichha farsh e aza meri lahad me hai

6🌷__Nishaa,n matam ke seene pr, mali khhak e shefa munh pr

Azakhhana saja ba qaaeda meri lahad me hai

7🌷__labo,n pr naoha o shewan , the palko,n pr saje aansoo   

Malak dekha kiya jab tk raha meri lahad me hai

8🌷__Qadam bosi karu,n maola ki mai, gar tum chale jaao

Farishto ab tumhara kaam kya meri lahad me hai

9🌷__Khhoda ka shukr baad e marg mil jaaunga mai is me

Mujhe kyo,n  ghham ho jab khhak e shefa meri lahad me hai

                                         
10🌷__Hawaa e kufr bhi jis ko bujha paaee na duniya me

Ghham e shabbir ka raoshan dia meri lahad me hai

11🌷_Rahunga shakl me ashaar ki Kausar sada zinda

Sila midhat ka ,zahra ki doaa meri lahad me hai


6
Janab Eram Mehdi sahab.

Gham e sibt e payambar ka sila meri lahed me hai
Sawab e Midhat e sher e khuda meri lahed me hai

_____________________________________________

Fishare Qabr ka tarekiyon ka aur mashar ka
Mujhe kiya gham ho jab khak e shifa meri lahed me hai

_____________________________________________

Farisho aao farsh e majlis e sarwar bichate hain
ba fazle rab jagha beinteha meri lahed me hai

_____________________________________________

paye shirkat jina se agaye sare jina wale
suna jb jashn e shah e la fata meri lahed me

_____________________________________________

Pharira Parchm e Abbas ka dunay me chooma tha
mila ye ajr jannat ki hawa mere lahed me hai
_____________________________________________

Ali ke laal ka matam eram hargiz na chootega
khuda ka shukr hai badr ul aza meri lahed me hai





7
Sadiqali Bijani Navshad

1
Daricha baaghe jannat ka khula meri lahad me hai.
Hamesha khuld ki taaza hawa meri lahad me hai.

2
Khayaabane iram ka ik sama meri lahad me hai.
Har ik ja rahmate rab ki ghataa meri lahad me hai.

3
Maye hubbe ali ka mayqada meri lahad me hai.
Baraae maykashi jaame wila meri lahad me hai.

4
Malak rahmat ka ba fazle khuda meri lahad me hai.
Mai sheh ka maatmi hu, mustafa meri lahad me hai.

Qata band 5/6

Ali o faatema, hasnain o aabid, baaqero saadiq.
Harek shaahe hoda pe ghamzada meri lahad me hai.

Raza o kazim o hadi, taqi o askari hai'n or
Imaame waqt bhi mehve buka meri lahad me hai.

7
Ghame sheh me bahaae the jo maine ashk dunya me.
Liye roomaal me woh faatema meri lahad me hai.

8
Malaaik takhte yaqooto jamurrad  aae hain le kar.
Unhe maaloom hai'n aale aba meri lahad me hai.

9
Azaadaare shahe karbal ko baade maut marqad me.
Mila karta hai woh har ik sila meri lahad me hai.

10
Farishto'n! hoor o gilmaane iram ko leke aajana.
Ke in shab majlise shaahe hoda meri lahad me hai.

11
Malaaik meri mayyat ko hai'n laae karbala Navshad.
Mujhe kyu ghum ho jab khaak e shifa meri lahad me hai.








8
Janab Hasan Utrolvi sahab.

Ajab se noor ki phaili ziya meri lahad me hay...
Gham e sibt e payambar ka diya meri lahad me hay...

Farishtey ehataraman saf banaye aj bethey hain...
Yu'n lagta hay dua e sayyada(s.a) meri lahad me hay...






9
Janab Hasanraza Hafiz Sahab.

ali se ishq krne ki jaza meri lahed me h
falak k chand taro si zeya meri lahed me h

kafan b krbla ka khaak b krbo bla ki h
mai kah skta hu puri krbla meri lahed me h

علی سے عشق کرنے کی جزا میری لحد میں ہے
فلک کے چاند تاروں سی ضیا میری لحد میں ہے
کفن بهی کربلا کا خاک بهی کرب و بلا کی ہے
میں کہہ سکتا ہوں پوری کربلا میری لحد میں ہےm

No comments:

Post a Comment