Monday 25 January 2016

Nimr Zindabaad: ZiaulAfazil Moulana Syed Ghafir Rizvi.

Nimr Zindabaad

By: ZiaulAfazil Moulana Syed Ghafir Rizvi.


Faseel e ishq ke dildaar Nimr zindabaad.
Zaban e Meesam e Tammar Nimr zindabaad.

Khateeb e nehj e balagha ki peravi kar ke.
Diya khateebo'n ko meyaar Nimr zindabaad.

Zaba'n kate to kate tan pe sar rahe na rahe.
Zaban e ishq ki guftaar Nimr zindabaad.

Baqa e deen ki khatir diya hai sar tum ne.
Muti e Sayyad e abraar Nimr zindabaad.

Sitam ki hath'kadi bedi ko ese toda hai.
Sada hai bar lab e Mukhtaar Nimr zindabaad.

Yahi alamat e eiman o sar bulandi hai.
Ke aaj kehte hai'n aghyaar Nimr zindabaad.

Awamiya me jalaye diye shahadat ke.
banaya dasth ko gulzaar Nimr zindabaad.

Faseel e zulm se aiylaan e haq khuda ki qasam.
sadaqato'n ka hai iz'haar Nimr zindabaad.

Chiragh e raah e shahadat ko roshni de di.
gawah is pe har akhbaar Nimr zindabaad.

Sada ye aati hai kirdaar e Nimr se GHAFIR.
Ghulam e Haidar e Karrar Nimr zindabaad.

                                 *****

No comments:

Post a Comment