Monday 25 January 2016

Ali Ali Keh ke: ZiaulAfazil Moulana Syed Ghafir Rizvi

Ali Ali Keh ke
ZiaulAfazil Moulana Syed Ghafir Rizvi

Qalam ko mene uthaya Ali Ali keh ke.
Bana hu'n zarrey se tara  Ali Ali keh ke.

Mila hai khawbo'n ko mere haqiqato'n ka libaas.
hui hai puri tamanna Ali Ali keh ke.

Batao kese bachogey aiy munkerin e Ali.
Jian'n ka dar bhi khulega Ali Ali keh ke.

Bina Ali ke wo dar dar bhatakti phirti thi.
Mila hai fikr ko chehra Ali Ali keh ke.

Hua haqeer ko dauzakh ka khouf jab lahaq.
Pul e siraat se guzra Ali Ali keh ke.

Kare na kese bhala rashk hum pe Hur jesa.
zamana hum ne guzara Ali Ali keh ke.

Lage na us ka safina kinare! na mumkin.
Zaba'n ko jis ne nawaza Ali Ali keh ke.

Ali ke naam ne be zar ko kar diya Buzar.
Kaneez ban gaei Fizza Ali Ali keh ke.

Salam e ishq ho Meesam ke ishq e paiham par.
Zaba'n kata ke bhi zinda Ali Ali keh ke.

Ali ke naam se aaei bahaar gulshan me.
Har eyk phool bhi mehka Ali Ali keh ke.

Zaban e bulbul e tafkeer mehv e mid'hat hai.
basa hai qalb me kaaba Ali Ali keh ke.

Bata raha hai ye GHAFIR palat ke sooraj bhi.
Duaae'n maa'ng Zulekha Ali Ali keh ke.

2 comments: