Monday 12 March 2018

Tarhi misra: Aaeeno ke darmiyaN ek aaeena hai Fatima(sa)

[06/03/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Aaeeno ke darmiyaN ek aaeena hai Fatima*

*Qafiya........Aaeena*
*Radeef.......hai Fatima*

Misra by👉🏻
*Janab Muntazir Abbas Sb*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai

1. Hasnain Maroofi Sb: 🌹🌹🌹786🌹🌹🌹

پوچھتے ہو تو بتاتا ہوں کہ کیا ہے فاطمہ

خلد میں جانے کا سیدھا راستہ ہے فاطمہ
۔🌹
جس میں چودہ ایک ہو کر صورتیں آئیں نظر

آئٰینوں کے درمیاں اک   آئینہ   ہے  فاطمہ
۔🌹
عظمتیں سارے زمانے کی سمٹ کر آگئیں

ایک چادر  میں  تری  کتنی  جگہ   ہے فاطمہ
۔🌹
ذات میں اس کی عیاں ہیں کتنے اوصاف و کمال

ساجدہ  ہے  شاکرہ ہے   عابدہ  ہے فاطمہ
۔🌹
آسیہ  مریم  و  سارہ  ہیں  جہاں میں طاہرہ

پھر بھی تیری منزلت  سب سے جدا ہے فاطمہ
۔🌹
روز اوّل سے لب احمد پہ جو جاری رہی

قلب پیغمبر کی وہ پہم  صدا  ہے فاطمہ
۔🌹
دھوپ میں ظلم و ستم کی جل نہیں سکتا کبھی

دین احمد کے لئے تیری ردا  ہے فاطمہ
۔🌹
  محرم ونگراں  محافظ مرتضیٰ کی ذات ہے

چادر  تطہیر  میں   راز  خدا  ہے فاطمہ
۔🌹
مختصر حسنین یہ ہے عظمت بنت نبی

صنف نسواں کی جہاں میں سیدہ ہے فاطمہ
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
حسنین معروفی
🌹🌹🌹786🌹🌹🌹
puchhte ho to bataata hu.n ki keya hai fatema

khuld me jaane ka seedha raasta hai fatema
🌹
jis me chaodah eik ho kar sorate.n aayi.n nazar

aaeeno.n ke darmiya.n ek aaeena hai fatema
🌹
azmate.n saare zamaane ki simat kar aa gayi.n

eik chaadar me teri ktni jagah hai fatema
🌹
zaat me is ki ayaa.n hain kitne aowsaaf o kamaal

saajada hai shaakira hai aabida hai fatema
🌹
aasiya mariyem o saara hain jaha.n me taahira

phir bhi teri manzelat sab se juda hai fatema
🌹
roz e awwal se lab e ahmad pa jo jaari rahi

qalbe paighambar ki wo paiham sada hai fatema
🌹
dhoop me zulm o sitam ki jal nahi sakta kabhi

deen e ahmad ke liye teri rida hai fatema
🌹
mehram o nigra.n muhaafiz murtaza ki zaat hai

chaadar e tat.heer me raaz e khuda hai fatema
🌹
mukhtasar Husnain ye hai azmat e bint e nabi

sinf e niswaa.n ki jaha.n me sayeda hai fatema
🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Hasnain maroofi





2. Faiz Kanodari Sb:
*Tar'hi misrey par Chand ashaar Shehzadie Kounain ki shaan me pesh kar raha hu..*
👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻👇🏻

Mustafa(ص) ka Juz, Ali(ع) ki Ahliya hai Fatema(س),
Aayeno ke Darmiya'n ek Aayena hai Fatema(س),

Isliye Mursal(ص) ko apni Laadli par Naaz hai,
Raaziyao Marziya, Khairunnisa hai Fatema(س),

Ilmo Hikamt ko Balandi jisne di Khairat mei'n,
Do Jaha'n mei'n ek aisi Aalema hai Fatema(س),

Shabbaro Shabbir (ع) jo ke Khuld ke Sardar hai,
Khuld un dono ki terey Zer e Paa hai Fatema(س),

Murtaza(ع) Mushkil-kusha hai saari duniya ke liye,
Murtaza(ع) ke waastey Mushkil-kusha hai Fatema(س),

Kal Sar e Darbar jis ne aapko Ruswa kiya,
Aaj tak wo har jagah Ruswa hua hai Fatema(س),

Mei'n bhala kaisey Raziallah kahu us fard ko,
Aap ke Mohsin(ع) pe jisne ki Jafa hai Fatema(س),

Laazmi hai Aapki Mad'ho Sana har Fard par,
Mad'ha-khwa'n jab aapka khud Kibriya hai Fatema(س),

Choom kar padhtey hai Mahdi(ع) isliye Khat Faiz ka,
Awwalan usney Areezey mei'n Likha hai Fatema(س)..

✍🏻 *_Faiz Kanodari_*




3. Aijaz Rizvi Sb:

*SURAYE KOUSAR ME YU'N JALWA NUMA HAI FATIMA*

*NUQTA E PARKARE LAFZE INNAMA HAI FATIMA*

*JISKE SADQE ME MILA HAI 2NO AALAM KO WUJOOD*

*WO HAQEEQAT FATIMA HAI FATIMA HAI FATIMA*



✍✍

*AJ*




4. Ghazi Abbas Sb: *Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Aayino ke darmiyaa'n ek aayina hai fatema*



Ab na poocho tum kabhi humsey ke Kya hai fatema
Mustafa Ney kehdiya jab Meri maa hai fatema

Do jahaa'n ke waastey mushkil kusha hai Murtaza
Aur Hyder ke liye mushkil kusha hai fatema

Hum Bhalaa kaisey karengey Teri midhat ka bayaa'n
Arsh se ooncha Jo Tera martaba hai fatema

Karkey sajda Terey darr par ye sitaara kehgaya
Maujzey ke waastey bhi Maujza hai fatema

Terey bacho'n par hamaari jaan kardengey fidaa
Khuld mey jaaney ka ye bhi raasta hai fatema

Jo nabi se aaqri Hujjat talak chaltaa rahey
Dehr mey bass eak hi Wo silsila  hai fatema

Bey ijaazat Ghar mey jaaney.. Maryam o saraa nahi
Aye malak rukjaa zaraa rehtii yahaa hai fatema

Ek ishaarey se malak ko farsh par bulwaaye jo
Saarey aalam mey fakhat Khairunnisa hai fatema

Deyr thi kehney ki kapdey Eid par aajaayengey
Khuld se Rizwan leykar aagaya hai fatema

Kis tarah rabb e jalii Ney inko jodaa dekhiye
Hai Ali qura'n to uski Tarjuma hai fatema

Aql ka andhaa Bhalaa padhkey bhi samjheyga kahaa
Soora e kausar mey Tera Tazkira hai fatema

Itni ausaafey kisii mey humney dekhaa hi nahi
Taahira hai raaziya hai marziya hai fatema

Chaand sooraj ye sitaarey aur namak paani hi kya
Mehr mey terey yaqeenan do jahaa'n hai fatema

Is tarah maqbool hoti hai rasoolo'n ki dua
Har nabi ki har dua mey waasta hai fatema

Jab gayii zeyr e kisaa Zehra to khaalik Ney kahaa
*Aayino ke darmiyaa'n ek aayina hai fatema*

Sheikh ji royengey Roz e hashr sarr ko peetkar
Jaanlengey jab Kaneez e kibriya hai fatema

Ghar jalaakar Tera Jo bhi jeegaya us daur mey
Aaj Tak Wo laanato mey Mar rahaa hai fatema

Isliye *"GAAZI"* pareyshaa'n ho nahi sakta kabhi
Uskey haqq mey to Tera shaamil dua hai fatema

-Az Qalam e *"GAAZI"*
07/03/18.


5. Taqi Kazmi Sb:

Misre pr kuch Sher hazir hai.

1. Jo nabi ne rab se mangi wo dua hai fatema.
Khaliq e Akbar ka zinda mojza hai fatema.
2.tere sadqe se dua jisne bhi mangi aaj tak.
Usko khaliq ne ata sab kuch Kiya hai fatema.
3.jab bhi mushkil aayi hai tumne Sahara de Diya.
aaj bhi hamko tumhara aasra hai fatema.
4.teri azmat Kya btayega zamane me koi.
lab pe qur aa.n ke bhi tera tazkara hai fatema.
5.jisme aati hai Nazar Surat har ak masoom ki.
aayno ke darmiya.n ak aayena hai fatema.
6.mit nahi sakte Shia duniya se duniya jaan le.
Jab talak duniya me apni rhnuma hai fatema.
7.ae taqi wo be wafa ho hi nhi sakta kabhi.
jiski duniya me tere dar se wafa hai fatema.

Taqi kazmi karbalayi.





6. Arshad Sirsivi Sb:

Ham se poochho ham bataye'n tumko kya hai fatima s.a
Mursal e aazam ko ina'am e khuda hai fatima s.a

Mariyamo hawa se sara se siwa hai fatima s.a
Mukhtar ye hai ki faqr e aasiya hai fatima s.a

Poochhne walo ne jab poochha ki kya hai fatima s.a
Aayae tatheer boli tahera hai fatima s.a

Ispe mabni hai ta'arruf panjetan ki zaat ka
Motbar kis darja nazdeeq e khuda hai fatima s.a.

Karbala ek dars ghah e ain hai islam ki
Tarbiyat ghah e shaoor e karbala hai fatima s.a.

Is se badke aur kya hogi fazilat ki daleel
Rooh e imaan e ali e murtaza hai fatima s.a

Tune hi bakhsha hai duniya ko shaoor e abdiyat
Tera hi  farzand to zainul ebaa hai fatima s.a

Sirf 18 baras ki umr me ye msrtabe
Kaba e ismat hai quraan e haya hai fatima s.a

Pad ke to dekhe zamana iski azmat ki kitab
Aalam e niswaniyat ki mustafa hai fatima s.a

Matla e ishq e khuda hain zaat e ahmad aur ali
Aur usi matle ka pehla qafiya hai fatima s.a

Kab kufo iska h koi juz ali e murtaza
Chashm e khaliq me batool e do sara hai fatima s.a

Imtiyaz e khaliq o makhlooq hai bas iski zaat
Abd se mabood tak ka fasla hai fatima s.a

Tazqira iska hua hai soora e rahaman me
Dekh duniya kitni aali martaba hai fatima s.a

Jisme roshan hai huroof e aks e zaat e panjetan
Noor ki tehreer ka wo hashiya hai fatima s.a

Haami e awwal hai haider ki wilayat ki yahi
Murtaza ke haqq ki pehli mohsina hai fatima s.a

Jiske khadim hain farishte aur hoore'N hain kaneez
Aisi ek makhdooma e arzo sama hai fatima s.a

Chashm e paigambar se iski azmaton ko dekhiye
Nuqta e tazeem par maa ki jaga hai fatima s.a

Bab e sheher e ilm ko hai naz jiske ilm par
Kibriya shahid hai aisi aalima hai fatima s.a

Roz iske dar pe aate hain ziyarat ko rasool
Wajah e itminaan e Kalb e mustafa hai fatima s.a

Hujjat e mabood hain makhlooq par barah imam
Aur imamo par bhi hujjat ba khuda hai fatima s.a

Tarjuma kousar ke soore ka hua hai jalwagar
Ye ali se aqd jo tera hua hai fatima s.a

Jis rida ke saye me pala gaya hai deen ko
Ek sira haider hain uska ek sira hai fatima s.a

Koi kar sakta nahi tashreeh tere azm ki
Kibriya ne khud tujhe kousar kaha hai fatima s.a

Zouja haider ki nabi ki bint maa hasnain ki
Rishta e nooraniyat ki inteha hai fatima s.a

Aa nahi sakti takhiyyul ki taharat me kami
Fikr ki kirtas pe likkha hua hai fatima s.a

Sayyed Arshad Abbas Rizvi Jalal sirsivi


7. Zeeshan Aazmi Sb:

दो    जहां की    औरतों   की   सैयदा है फातिमा
किस कदर आखिर फज़ीलत याफता है फातिमा

हम बयां करने से   क़ासिर हैं  फज़ीलत आप की
आपका किरदार    ही    एक मोजेज़ा है फातिमा

नेक बेटी,     नेक ज़ौजा,      मादरे हसनैन    भी
आपका    दुनिया     में आली  मर्तबा है फातिमा

किस लिए    उनकी    गवाही रद    हुई दरबार में
जब के ये  कुरान    में हैं     सादेक़ा    है फातिमा

लोग    देते हैं    मिसालें     उनके ही किरदार की
सबेरा है,    शाकेरा है,      आबिदा     है फातिमा

जब भी      देखा है     हिसारे इसमते   मासूम में
आईनो के     दरमियां     एक आईना है फातिमा

बस यही ज़ीशान    का भी    है अक़ीदा  दहर में
बिलयक़ीं    हक़्क़ानियत    का रास्ता है फातिमा

✍ ज़ीशान आज़मी

دو  جہاں   کی   عورتوں  کی سیدہ ہے فاطمہ
کس    قدر    آخر   فضیلت  یافتہ   ہے  فاطمہ

ہم بیاں کرنے   سے قاصر ہیں فضیلت  آپ کی
آپ   کا   کردار   ہی    اک   معجزہ  ہے   فاطمہ

نیک بیٹی،   نیک زوجہ     مادرِ حسنین   بھی
آپ کا    دنیا میں    عالی   مرتبہ    ہے   فاطمہ

کس لئے    ان کی    گواہی  رد ہوئی دربار میں
جب کہ    یہ قرآن  میں    ہے صادقہ ہے فاطمہ

لوگ دیتے    ہیں مثالیں   ان  کے ہی  کردار کی
صابرہ ہے،      شاکرہ ہے،      عابدہ    ہے فاطمہ

جب بھی دیکھا ہے حصارِ عصمتِ معصوم میں
آئینوں   کے   درمیاں    اک   آئینہ   ہے   فاطمہ

بس یہی    ذیشان   کا بھی  ہے عقیدہ دہر میں
بالیقیں     حقانیت    کا    راستہ   ہے    فاطمہ

✍ ذیشان آعظمی





8. Shahid Mirza Group2:

🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀

Kul kafa hai innama hai Hal ataa hai Fatema🌱
Kya samajh payegi ye duniya ke kya hai Fatema
🍀🌹

Kya hasee'n tohfa mila Allah se sarkaar ko🌱
Manzil e meraj par Rab ki ataa hai fatima

🍀🌹🍀

Fatema ki shaan me farmate hai ye Mustafa🌱
Aurato'n me bakhuda sab se siwa hai Fatema
🍀🌹🍀

Hai Mohammed Mustafa mehboob e Rab e kayenaat🌱
Aur sukoon e qalb e Ahmed ki dawa hai Fatema
🍀🌹🍀

Khana e Kaba ki zeenath hai mere Moula Ali🌱
Aur Ali ke ghar ki zeenath bakhuda hai Fatema
🍀🌹🍀

Lanati kehlayega tu naar me hi jayega🌱
Ghasib e bagh e fidaq tujhse khafa hai Fatema
🍀🌹🍀

Majlis o matam ki awaazein rahegi hashr tak🌱
Bilqyee'n shahid kaho iski sada hai Fatema
🍀🌹🍀

🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀🌹🍀
✒Azz... Ahmed Ali Shahid (Riyadh)





9. Mohsin Banarasi Sb: 🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻

*•••• BISHMILLAH HIR RAHMAAN NIRR RAHEEM ••••*

🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻

*Martabe Me Aasiya Se Bhi Juda Hai Fatima (s.a).!!*

*Raziya Hai Marziya Hai Sayyada Hai Fatima (s.a).!!*

🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻

*Kya Samajh Payegi Ye Duniya Ki Kya Hai Fatima (s.a).!!*

*Noor Ka Paikar Qaram Ki Inteha Hai Fatima (s.a).!!*

🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻

*Martaba Hai Kitna Aala Isse Hi Pahchan Lo...*

*Mustafa (s.w.w) Ne Khud Kaha Khairunnisha Hai Fatima (s.a).!!*

🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻

*Naam Se Inke Tali Meri Musibat Ba Raha...*

*Kyuñ Na Maiñ Inko Kahuñ Mushkil Kusha Hai Fatima (s.a).!!*

🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻

*Chand Suraj Aake Jinse Mangte Haiñ Raushni...*

*Mustafa (s.w.w) Ke Gher Me Ek Aisi Ziya Hai Fatima (s.a).!!*

🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻🌼🌻

🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻

_*✍🏻:-Az_Qalam_Mohsin_Banarasi.!*_

🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻🌹🌻




10. Zia Dandupuri Sb:

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Fatima hai Fatima hai Fatima hai Fatima,
Jis taraf dekho udhar jalwa numa hai Fatima.

2.
Maryam o Saara o Havva Aasiya bhi haiN magar,
Saare aalam ke liye khairun nisa hai Fatima.

3.
Mursal e Aazam kaheN Umme Abeeha aapko,
Ye fazeelat aapki sabse juda hai Fatima.

4.
Is balandi par hai tuu ki khuld se rizwan bhi,
Dar pa tere leke kapda aa gaya hai Fatima.

5.
Bey ka nuqta haiN Ali isme hai koyi shaq nahi,
Or usi nuqte ka hi to tarjuma hai Fatima.

6.
Jeet par Haidar ki padhti haiN jo HooreN manqabat,
HooroN ki us anjuman ki shaera hai Fatima.

7.
Poochhte ho tum kahaN Qur'aaN me likkha Fatima,
Fatiha se chaar qul tak bas likha hai Fatima.

8.
Hoga jab mahshar bapa to kya karoge sheikh ji,
Is qadar tum sab kameeno se khafa hai Fatima.

9.
Panjatan ko dekh kar ye kah utheN nassara bhi,
AaeenoN ke darmiyaN ik aaeena hai Fatima.

10.
Aql chhoti hai meri mujhse bhala kya ho sana,
Hai ZIA ne jo likha teri ata hai Fatima.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
10.03.2018



11. Kaifi Kalkatwi Sb: 🌹 *BISMILLAH*🌹

*Madar e hasnain hai" lakht e payamber fatehma*
*Zoja e moula ali sher e khuda hai fatehma*

*Zer e chadar panjatan ko dekh khalique ne kaha*
*Aaeeno'n ke dsrmiyaa'n ek aaeena hai fatehma*

Kaifi kalkatwi.....🙏🏻



12. Aaftab Husain Sb: 786 /202

   wajh e taskeen e dil e khairul wara hain Fatma..
Soora e kausar ki sharhe khus numa hain Fatma...

Raziya hain marziya hain Sayyeda hain Fatma..
Aainadaar e jamaal e Kibriya hain Fatma...

Mamba o sar chashma e Jood o shakha hain Fatma..
Moojib e Tanzeel e bab e Hal ataa hain Fatma...

Karbla ke zarre zarre se ye aati hai  sada..
Zamin e Takmeel e Eisaar e mina hain Fatma....

Panjtan ko dekh kr zer e kisa dil ne kaha..
Aaino ke darmiya,n ik Aaina hain Fatma....

Jo Ali mushkil kusa hai dono aalam ke liye...
Os Ali ke wastey Mushkil kusha hain Fatma...

Aik farmaish na ki shauher se apne umr bhr..
Marhaba quraan e eisaar o wafa hain Fatma..

Aaya e Tatheer shadid panjtan ke darmiya,n..
Chasm e rab me markaz e madh o sana hain Fatma...

Lakho,n hadi aaye mardo,n ki hidayat ke liye..
Sinf e nazuk ki akeli rahnuma hain Fatma....

Os se ho jaye khuda raazi ye mumkin hi nahi,n....
Jis se ay mansoor Narazo khafa hain Fatma...

Mansoor Raza jafri
    Malegaon



13. Navshad Bijani Sb:

Fakhre maryam dukhtare khayrul-vara hai fatema (s.a.)
Zawja-e-haydar hai fakhre haajra hai fatema (s.a.)

Shaahe kausar ki tarah ba-martaba hai fatema (s.a.)
Deen ki hai rooh jannat ki baka hai fatema (s.a.)

Fakhr se sar uncha uska hashr me ho jaaega.
Jiska sar dehleez par teri juka hai fatema (s.a.)

Haisi'at jibreel ki kya woh to ek noukar huva.
Aap ke dar par juka arshe ola hai fatema (s.a.)

Juk na paaega kabhi us shakh's ka sar dehr me.
Jiske sar par aap ka daste ata hai fatema (s.a.)

Shawq se jibreel chakki pees kar kehne laga
Aap ke khaadim ko kya rutba mila hai fatema (s.a.)

Ham khataakaro'n ki kar dena shafa'at hashr me.
Aap se *Navshad* ki yeh ilteja hai fatema (s.a.)

✍ *Navshad Bijani*

No comments:

Post a Comment