Monday 12 March 2018

Tarhi Misra: Zirah ban kar chali sajjade muztar ke liye zainab(sa)

[24/02/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Zirah ban kar chali sajjade muztar ke liye zainb.*

*Qafiya........Muztar*
*Radeef.......ke liye zainab*

Misra by👉🏻
*Navshad Bijani*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam peshe khidmat hai


1. Ghazi Abbas Sb:

Madeeney mey kabhi royi hai maadar ke liye Zainab
Kabhi royi Hasan jaisey baraadar ke liye Zainab

Kabhi shaam e gareeba ki andheyri raat mey dar kar
Phirii hai dhoondti imdaad e Hyder ke liye Zainab

Sar e naiza ridaa jaisey hai Zainab ke liye sarwar
Kafan ban Kar rahi thi Rann mey sarwar ke liye zainab

Wo jaltey qaimey se shaam e gareeba bey ridaa hokar
Har ek Soo jaa rahi hai jaan e maadar ke liye zainab

Udhar sholo'n se abid ko bachaaney mey huwi zaqmi
Idhar khaati hai durra bintey sarwar ke liye Zainab

Sarr e Abbas ghodey ke Galey mey jab bandhaa dekhi
Tadapkar rehgayi Gaazi dilaawar ke liye Zainab

Hameysha kunba e shabbir par hi roti rehti thi
Kabhi royi nahi hai apney dilbar ke liye zainab

Imaamat ko bachaakar zulm ke har eak toofaa'n se
*Ziraah bankar chali Sajjad e muztar ke liye Zainab*

Saro'n ko mudkey bhi apney jigar paaro'n ke naa Dekha
Faqat thehri rahi Bhayya Terey sarr ke liye Zainab

Kabhi jab byaah ka manzar madeeney mey nazar aata
Bahaatii hai lahoo aankho'n se Akbar ke liye Zainab

Sar e darbaar *"GAAZI"* dekey khutba'h lehja e haqq mey
Qayaamat bangayi har ek sitamgar ke liye Zainab

-Az Qalam e *"GAAZI"*
25/02/18.



2. Zia Dandupuri Sb:

🌹🌹🌹🌹🌹

1.
Thi jaisi Fatima aakhir payambar ke liye Zainab,
Hai tu bhi hu ba hu maula e Qamber ke liye Zainab.

2.
Isi ke waste kahte haiN tumko Saaniye Zahra,
Hai Qur'aaN uth ke aata tere chakkar ke liye Zainab.

3.
Ali Akbar ko Qasim ko Muhammad ko jawaN kar di,
Sitamgar par bapa karne ko mahshar ke liye Zainab.

4.
Qayamat se hi pahle hai qayamat ik guzar jati,
Salam agar na bhijwati Ghazanfar ke liye Zainab.

5.
Kabhi Zahra bani Zainab kabhi Haider ke lahje me,
Bani shamsheer Haider ki sitamgar ke liye Zainab.

6.
Sitam ko qasr me uske rulaa dala mitaa dala,
Qayamat hi qayamat thi bani shar ke liye Zainab.

7.
KahiN Sajjad tanha ho na jaaye waaste iske,
Juda hargiz na hoti thi nazar bhar ke liye Zainab.

8.
Chadhe parvaan deene Ahmad e mukhtaar dunya me,
Zirah ban kar chali Sajjad e muztar ke liye Zainab.

9.
Sakeena ko sulaane ke liye zindaan me aksar,
Bani Shabbeer bhi thi binte Sarwar ke liye Zainab.

10.
ZIA tum jaiso ki hogi shafa'at hashr me fauran,
Waseela ban ke aayeNgi sukhanwar ke liye Zainab.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
01.03.2018



3. Kumail Nagri Sb:
🌹 *Manqabat*🌹

Uthi jab dhaal bankar teero khanjar keliye zainab. 
qayamat  Ban gayi har ek sitamgar keliye zainab.

🌹

Ali aaye the bankar mimbaro maehraab ki zeenat.
Jahaa'n me banke  zeenat aayi haidar keliye zainab.

🌹

nibhaayi is tarha kirdaare zahra binte haidar ne.
Nazar aati thi maa'n shabbiro shabbar keliye zainab.

🌹

Na choda eak lamhe keliye bhi saath bhaayi ka.
Thi hardam saath saaya ban ke sarwar keliye zainab.

🌹

Husain ibne ali ke baad bankar rehnumaa e haq.
Muqaddar bangayi deene payambar keliye zainab.

🌹

Bachaane keliye zulmo tashaddut se imaamat ko.
*Ziraa'h bankar chali sajjade muztar keliye zainab*

🌹

*Kumail* is se bada tohfa nahi hai madha goyi ka!
Duaaye'n karti hai'n she'h ke sukhanwar keliye zainab.

🌹

*kumail* nagri.....✍🏻
02/03/2018
🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑🛑


4. Kaifi Kalkatwi Sb: *BISMILLAH*

*Sukoon e qalb aur aaraam haider ke liye zainab*
*Wafa aur sabr ka paikar ghazanfar ke liye zainab*

*Huyi jab se wiladat aap ki tab se rahi'n ab tak*
*Sahara bhai ka aur chain madar ke liye zainab*

*Zamana manzilat samjha nahi sakta hai bibi ki*
*Thi kya baad e ali shabbir o shabbar ke liye zainab*

*Ke jis ka saamna kar na sakega ta-abad zaalim*
*Bani woh dhaal hai deen e payambar ke liye zainab*

*Bade nazo'n se paala tha use atthara salo'n tak*
*Phupi hai'n par na maa'n se kam hai'n akbar ke liye zainab*

*Watan se karbala phir shaam o kufa se madine tak*
*Zirah ban kar chali sajjade muztar ke liye zainb*

*Nichawar kar diye do laal apne deen e ahmed par*
*Tadapti par rahi'n har aan sarwar ke liye zainab*

*Kaha sajjad se zainab ne beta kaisi ghurbat hai*
*Sawaali ban gayi bas ek chadar ke liye zainab*

*Sipahi aaj bhi inke date hai'n ran mei'n aada se*
*Ho kaifi kyu'n qayamat na sitamgar ke liye zainab*

Kaifi kalkatwi.....✍🏻

No comments:

Post a Comment