Wednesday 21 March 2018

Tarhi Misra: Hai salam e Ahmad e Mukhtar Baaqir k liye

[11/03/2018]
*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*ہے سلامِ احمدِؐ مختار باقر کیلئے*

*Hai salam e Ahmad e Mukhtar Baaqir k liye*

*Qafiya........*Mukhtaar*
*Radeef.......Baqir ke liye*

Misra by👉🏻
*Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam aur qata peshe khidmat hai


1. Janab Zeeshan Aazmi Sb:

दहर  में  कब   लोग थे अग़यार   बाक़र के   लिए
एक से थे तिलमीज़ो   पैरोकार    बाक़र   के लिए

यह विलादत    की घड़ी है  एक रजब को देखिए
है फिज़ा हर सिम्त     खुशबूदार बाक़र    के लिए

अपना जौहर    कर्बला में   वह दिखा    देते मगर
कमसिनी    की थी खड़ी    दीवार  बाक़र के लिए

वह शमा क्यों न जलाते इल्मो हिकमत की भला
जब के बेहतर वक्त था  हमवार   बाक़र के लिए

लिख  दिया था एक मुनासिब वक्त पर अल्लाह ने
इंकलाबी   दर्स   का   किरदार    बाक़र    के लिए

यह फज़िलत कम है क्या? क़ब्ले विलादत देखिए
है सलामे  अहमद  मुख्तार    बाक़र    के      लिए

हर मुसलमां के   लिए कि,  एक वसीयत आखिरी
पांच नुक़ते कुछ   न    थे दुशवार   बाक़र के लिए

हश्र के मैदान    में इस   का सिला    देना     खुदा
जो लिखे ज़ीशान    ने     अशआर बाक़र के लिए

✍ ज़ीशान आज़मी

دہر   میں   کب لوگ تھے    اغیار باقر کے لئے
اک   سے  تھے   تلمیذ و پیروکار   باقر کے لئے 

یہ ولادت  کی کھڑی ہے اک رجب کو دیکھئے
ہے    فضا    ہر سمت   خوشبودار باقر کے لئے

اپنا  جوہر   کربلا میں   وہ  دکھا دیتے   مگر
کمسنی کی  تھی    کھڑی  دیوار  باقر کے لئے

وہ شمع کیو نہ جلاتے علم و حکمت کی بھلا
جب  کے بہتر   وقت   تھا   ہموار باقر کے لئے

لکھ   دیا   تھا    اک  مناسب وقت پر اللہ نے
انقلابی    درس    کا    کردار      باقر  کے لئے

یہ فضیلت   کم ہے کیا؟   قبلِ ولادت دیکھئے
ہے   سلامِ   احمدِؐ    مختار      باقر     کے لئے

ہر مسلماں   کے   لئے کی   اک  وصیت آخری
پانچ نقطے کچھ   نہ تھے  دشوار باقر کے لئے

حشر کے  میدان   میں  اس کا صلہ دینا خدا
جو   لکھے  ذیشان   نے   اشعار  باقر  کے لئے

✍ ذیشان آعظمی



2. Taqi Kazmi Sb:

Aaye hai khud aabid e bimar baqair ke liye.
Or imamat bhi hai khud tayaar baqir ke liye.

2.karbala ke baad hoti khatm ye duniya magar.
Par khuda ne rakh liya sansar baqir ke liye.

3.baad sarwar Deen ko zinda bacha kr laye hai.
khud shariyat ho gyi bedar baqir ke liye.

4.haibat e baqir se tutega sitam ka hr gurur.
kuch nhi ye zulm ki deewar baqir ke liye.

5.hujjat e khaliq hai ye duniya se na mit pyega.
lakh krle koshishe kuffar baqir ke liye.

6.jab talak duniya me ho itna ahd kr lo taqi.
ham banage sahibe kirdar baqir ke liye.

Taqi kazmi karbalyi.



3. Janab Altaf Maroofi Sb:

🌹Mat bichha'o raaste me khaar Baqir k liye,

HaiN hazaroN meesam e tammar Baqir k liye.

🌹Dekh kr aagosh me Jafar ko dil kahne laga,

Aagaye hain Haidar e Karrar Baqir k liye.

🌹Baaz Aa sakte nahi ye deen ki tableegh se,

Chahe ek maqtal ho fir tayyar Baqir k lye.

🌹Wo to kahiye ho chuki takmeel e qurAan e majeed,

Warna AatiN aayateN har bar Baqir k liye.

🌹Unke ehsano'n ka haq ho hi nahi sakta ada,

Mar bhi jayen hum agar 100 sau bar Baqir ke liye.

🌹Maqsade shah ka safar jari rahega hashr tak,

Raah me lakhon uthen deewar Baqir ke liye.

🌹Ye zamana dekhta unka bhi andaze jehaad,

Shahe dee'n rakhte jo ek talwar Baqir ke liye.

🌹Haj karo roza rakho sar ko jhukao peshe rab,

Hain pasandeeda yahi kirdar Baqir ke liye.

🌹
Eek din Altaf. ghar tera bhi hoga khuld me

Bas yuNhi likhte raho AshAar baqir ke liye

*Altaf Haidari Maroofi*



4. Janab Navshad Bijani Sb: 🌹🌹🌹🌹🌹

Aankh ke hote huve bhi shaykh tu andha na ban.

Ab to kar bay'at ka tu iqraar baqir ke liye.

Chashme dil se dekh kar kehta hai  naabeena bhi yeh.

Hai salaame ehmade mukhtaar baaqir ke liye

✍ *Navshad Bijani*

🌹🌹🌹🌹🌹




5. Janab Kaifi Kalkatwi Sb:

BISMILLAH

Ahmed e mursal ka hai kirdaar baqir ke liye
Aur ishq e haider e karrar baqir ke liye

Panjatan ki kyu'n mile khushboo na inke husn se
Ishq e haider ho gaya gulzaar baqir ke liye

Keh raha hai deen e ahmed bar sar e mimber yehi
Hai salaam e ahmed e mukhtar baqir ke liye

Jab ke khud naazil huwa quraa'n inhi ki shaan mei'n
Aayato'n ki kyu'n na ho bauchhaar baqir ke liye

Un ki qismat ne unhe thukra diya har moorh par
Dehr mei'n jo bhi rahe aghyaar baqir ke liye

Dhoop ki shiddat mei'n khud zainab rahie'n jalti magar
Par bani saaya suno har baar baqir ke liye

Keh de tu be saakhta kaifi zamaane se yehi
Hai fida ye jaan aur ghar baar baqir ke liye

Kaifi kalkatwi....✍🏻

6. Janab Shaker Sayyadi Sb:

BISMILLAH

KAH RAHA HUN AAJ MAI ASHAAR BAQAR KE LIYE,,,,,,,
IZNE DE RABBE JAHAN SARKAAR BAQAR KE LIYE,,,,,,

DEKH KAR MAIDAAN ME AUN O MOHAMMED KI WEGA,,,,,
MAANG THI RAH TI THI MAA TALWAAR BAQAR KE LIYE,,,,,,

DO JAHAANON KA SALAAM AAYA HAI AHMAD PE MAGAR,,,,,,
HAI SALAAM E AHMED E MUQATAR BAQAR KE LIYE,,,,,,

RAAH E HAQ ME AAP NE GHAR BAAR APNA DEDIYA,,,,,
MAI BHI DEDUNGA BHARA GHAR BAAR BAQAR KE LIYE,,,,,

SHAYARON KI BAZME ME SHAMIL HUN MAI MERE KHUDA,,,,,
KAR ATAA MISRE MUJHE DO CHAAR BAQAR KE LIYE,,,,,

JUB KE TU HAI FATEMA BINTE MOHAMMED KI DUA,,,,,,
SAYYADI  TERA  BANAA  KIRDAAR  BAQAR   KE LIYE,,,,,

○SHAKER SAYYADI

No comments:

Post a Comment