Tuesday 14 November 2017

Tarhi Misra: Maut ki Lori Sakina ne suni zindaan me

بزم شعراء
25.10.2017

🔳 *BAZM-E-SHOARA* 🔳
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E SALAAM*  

              👇👇👇👇

*Maut ki Lori Sakina ne suni zindaan me*

Qafiya: 👉 *Suni*
Radeef : 👉 *Zindaan me*

Misra by👉🏻  *Janab Muntazir sahab.*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam  peshe khidmat hai.

1. Janab Syed Ali Abbas Naqvi sb.

Maut ki lori sakina ne suni zindaan me.
Allah allah kya qayamat hogai zindaan me.

Paani batla kar bahate the sakina ko adu.
Haay re masoom ki tashnalabi zindaan me.

Khoob ro rokar sakina thaak ke soi thi ke bas.
Baap ka sar dekh kar chilla uthi zindaan me

Itrat e athaar me tha ek mahshar sa bapa.
Aakhri hichki sakina ne jo li zindan me

Dar pa e azaar hain sadiyau'n se dushman par suno.
Pursa daari ho rahi hai aaj bhi zindan me.

Chaar saala zindagi me aay fasi ab kya kahun.
Ek baras guzra sakina ka issi zindan me.

2. Janab Mohsin Banarsi ab

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*"Maot ki lori sakeena ne suni zindaan me...!!*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Baba baba kahte kahte mar gayi zindaan me*
*Maut ki lori sakeena ne suni zindaan me*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Kab watan jayenge hum bolo fufi amma zara*
*Ya guzar jayegi apni zindegi zindaan me*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Dum ghuta jata hai baba is andhere me mera*
*Na hawa aati hai na hi roshni zindaan me*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Ek din zalim ne bheja jab sare shabbeer to*
*Mun'h pe mun'h rakhkar sakeena so gayi zindaan me*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Ro ke bano ne kaha haay sakeena mar gayi*
*Ek qayamat si ghata thi cha gayi zindaan me*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

*Jo bhi aaya shaam se kahta hai mohsin bus yahi*
*Ro raha hai aaj bhi jaise koi zindaan me*

😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭😭

3. Janab Mansoor Raza Jafri sb

دیکھکے اہلِحرم کی بیکسی زندان میں
بیکسی بھی بیکسوں پر روپڑی زندان میں

رونے والی شاہ کو جب چل بسی زندان میں
قبلِ محشر ہی قیامت آگئ زندان میں

مسکرا کے موت سے رنمیں گلے اصغر۴ملے
موت  کی لوری سکینہ۴ نے سنی زندان میں

آؤ اشکوں کے دئیے روشن کریں اہلِ عزا

ہر طرف ہے تیرگی ہی تیرگی زندان میں

ہائے رے مظلومیت ہے قید بعدِ مرگ بھی
گلشنِ زہرا۴کی اک ننھی کلی زندان میں

آہ غم کی شاہزادی نے بصد آہُ فغاں
آنسوؤں سے داستانِ غم لکھی زندان میں

نا ہواؤں کا گزر ہے نا اجالوں کی پہُنچ
دن بھی ہے تاریک مثلِ رات ہی زندان میں

اے خدا رکھتے نہیں ہم اور کوئ آرزو
درج ہو جائے ہماری حاضری زندان میں

آج اے منصور وہ دکھیا بھی رخصت ہوگئ
روتی رہتی تھی جو ہر پل ہر گھڑی زندان میں

4. Janab Zeeshan Aazmi sb

याद बाबा की सताई जिस घड़ी जिंदान में
ग़म मे कहती थी सकीना या अली ज़िंदान मे

फुरक़ते अब्बास मे रोने लगी ज़िंदान मे
याद था एक नाम अब्बासे जरी ज़िंदान मे

सांस रूकती है सकीना की घुटा जाता है दम
ना हवा मौजूद है ना रोशनी जिंदान में

अब भला सोए तो कैसे रात भर बेचैन है
मौत की लोरी सकीना ने सुनी जिंदान में

क्यों न रोयें आबिदे बीमार आंखों से लहू
भूखी और प्यासी सकीना मर गई जिंदान में

था बड़ा अरमान दिल में जिसके जाने का वतन
उस सकीना बीबी की तुरबत बनी जिंदान में

यह सकीना ही बता सकती है मजलिस में हमें
किस तरह ज़ीशान गुज़री ज़िंदगी ज़िंदान में

✍ ज़ीशान आज़मी

یاد بابا کی ستائی جس گھڑی زندان میں
غم میں کہتی تھی سکینہ یا علی زندان میں

فرقتِ عباس میں رونے لگی زندان میں
یاد تھا اک نام عباس جری زندان میں

سانس رکتی ہے سکینہ کی گُھنٹا جاتا ہے دم
نا ہوا موجود ہے نا روشنی زندان میں

اب بھلا سوئے تو کیسے رات بھر بے چین ہے
موت کی لوری سکینہ نے سنی زندان میں

کیوں نہ روئیں عابدِ بیمار آنکھوں سے لہو
بھوکی اور پیاسی سکینہ مر گئی زندان میں

تھا بڑا ارمان دل میں جس کے جانے کا وطن
اس سکینہ بی بی کی تربت بنی زندان میں

یہ سکینہ ہی بتا سکتی ہے مجلس میں ہمیں
کس طرح ذیشان گزری زندگی زندان میں

5. Janab Naushad Bijani sb

Rote rote binte sheh daakhil huvi zindaan me.
Raat din girya kuna'n rehne lagi zindaan me.

Hichiya le le ke roti thi fufi ki god me.
Baap ki mehsoos karti thi kami zindaan me

Pyas ki shiddat se tha sookha gala lab khushk the.
Thi fakat ashko'n se aankho me nami zindaan me.

Yaad kar ke baap ka seena tadap jaati magar.
Khaak par so jaati naazo'n ki pali zindaan me.

Soi thi ek din fufi ki god me dukhya magar.
Haaaye baaba khwaab se keh ker uthi zindaan me.

Rote rote neend se bedaar bacchi ho gai.
Baaba baaba baaraha kehti rahi zindaan me.

Chand saa'at qabl baaba the yaha par ay fufi.
Ho na ho baaba ki hai maujoodgi zindaan me.

Bayn woh karne lagi hijre padar me cheekh kar.
Roi sab saydaniya'n saath unke bhi zindaan me.

Bayn bacchi ke sune to kaanp uthe deevaro dar.
Barpa naalo'n se qayaamat ho gai zindaan me.

Neend haakim ki khuli jab bibiyo'n ke bayn se.
Keh utha woh maut kisko aagai zindaan me.

Paasba'n zindaan ka hakim se tab kehne laga.
Cheekh kar roti hai sheh ki laadli zindaan me.

ik yateema khwaab me baaba ko apne dekh kar.
Bas baya'n karti hai apni bekasi zindaan me.

Tab yazeede bad guma'n bola laga kar qehqaha.
Mai use tadpaaunga dekho abhi zindaan me.

Tasht me rakh kar sare ibne ali ay paasba'n
Aaj tu pohchade yeh sar is ghadi zindaan me.

Paasba'n ne jab sare shabbeer aabid ko diya.
Haye baaba keh ke bas roye ali zindaan me.

Le liya us dam sakeena ne sar apne baap ka.
Jab sare sheh par nazar uski padi zindaan me.

God me baaba ka sar le ke woh baythi khaak par.
Or judaai ki bujhaai tashnagi zindaan me.

Choom kar baaba ke lab ro ro ke fir kehne lagi.
Khwaab me dekha tha tum ko aaj hi zindaan me.

Laut kar baaba mere aaye na tum ghar is liye.
Mai tamaache thate khaate aa gai zindaan me.

Ab kahi jaane nahi dungi mai tanha aap ko.
Saath ab rah kar jienge zindgi zindaan me.

Qayd me ghanghor hai baaba andhera gham nahi.
Aap hi mere liye hai raushni zindaan me.

Karbala ta shaam ek qatra na paani ka mila.
Roke shikva baap se karti rahi zindaan me.

Thi ajab ehle haram par yeh musibat ki ghadi.
Bayn sunkar bibiya'n rone lagi zindaan me.

Bayn karte karye bacchi ho gai khaamosh jab.
Sab lage kehne ke bacchi so gai zindaan me.

Shaana zainab ne sakeena ka hilaaya jis ghai.
Or musibat ki chali aandhi nai zindaan me.

Baap ke sar se lipat kar ro rohi thi us ghadi.
Maut ki lori sakeena ne suni zindaan me.

Sar liye baaba ka apni god me navshad woh.
Chal basi dunya se sheh ki laadli zindaan me.

6. Mohtarma Aayat Irani Sahiba

Bismillah

Keisi ye gurbat yateemo par padi zindaan mai'n
Ro padi ye dekh kar khud teeragi zindaan mai'n

Thaam kar apna kaleja binte haidar bol uthi
Maut ki lori sakeena ne suni zindaan mai'n

Bain karti hai rababe khastatan rote huye
Karbala me phool murjaya kali zindaan mai'n

Kaid khana or andhera or lashe ghamzada
Hasrate sab khaak me maa ki mili zindaan mai'n

Hath me Hai hath kadi to pao me Hai bediya
Gurbate aabid pe roi bekasi zindaan mai'n

Thartharate hath se lasha pakad kar ye kaha
Yaa ali keise sulao ladali zindaan mai'n

Qalbe aayat se nikalti jaa rahi hai ye dua
Ak din aakar kare wo roshni zindaan mai'n

7. Janab Mukhtar Ali Malpara sb

Haay sakinaa....

Yaad ghar ko kar rahi thi harghadi zindaan me;
Maut ki lori sakina ne suni zindaan me...

Baap ka sar deed ko aaya nazar ke saamne;
Muñh se muñh ko yuñ lagaakar ro padi zindaan me...

Baap se bhichhdi huyi ko jab mila baba ka sar;
Haye baba ki sada dene lagi zindaan me...

Nind aati hi nahi jis bachchi ko bin baap ke;
Dukhtar-e-sarwar akeli so gayi zindaan me...

Keh rahi thi roke zaynab du kafan kaise tujhe;
Ay sakina hai kahañ chaadar meri zindaan me...

Maañ bhi ghash me aa gayi sar pit'ti ye keh rahi;
Ek bachchaa karbala me ye rahi zindaan me...

Abide muztar pe guzri wo karu kaise bayaañ;
Baap pe rote hi bahena mar gayi zindaan me...

Qabr pe "Mukhtar" us bekas yatima ke wahañ;
Koi rota hai lipatkar aajbhi zindaan me...

8. Janab Kaifi Kalkatwi sb

*BISMILLAH*

*Ranj o gham se jab sakina mar gayi zindaan mei'n*
*Tab tadap kar reh gayi khud zindagi zindaan mei'n*

*Le ke apni good mei'n lash e sakina zaar zaar*
*Ro rahi hai fatehma ki laadli zindaan mei'n*

*Muflisi dam ghont'ti hai aabid e beemar ka*
*Inteha zulm o sitam ki ho gayi zindaan mei'n*

*Ab andhera na rahega qaid khane mei'n kabhi*
*Kar gayi bali sakina raushni zindaan mei'n*

*Dasht e ghurbat mei'n suni thi asghar e besheer ne*
*Maut ki lori sakina ne suni zindaan mei'n*

*Kis tarha abid bhula payenge dam woh ta-abad*
*Jo sakina ne bhara tha akheri zindaan mei'n*

*Dekh kar kaifi woh manzar qaid khane ka suno*
*Muflisi bhi hichkiyaa'n lene lagi zindaan mei'n*

9. Janab Hasan Utraulvi Sb

Kar di Baba as par nichawar zindagi zindaa'n me.....

Maut li lori Sakina sa ne suni zindaa'n me....

Ye tassavur hy bohoot rone rulane ke lie....
Hay Ali as ke laadle ki laadli zindaa'n me...

10. Janab Kumail Nagri sb

*NAUHA*

Keh rahi hai baap se ek laadli zindaan me.
Dekho baba shaah zaadi aagayi zindaan me.

😭

Aap gar baba na aayenge to ghutt ghutt kar meri.
Khatm hojayegi you'n hi zindagi zindaan me.

😭

Dekhne ko soorate maadar taras jati hu'n mai.
Kiyu'n nahi aati hai baba raushni zindaan me.

😭

Chaagaya hai piyaas ki shiddat se aankho'n me dhuwaa'n.
Raakh kar deti hai dil ko tashnagi zindaan me.

😭

Boli zainab se sakina dam nikalta hai mera.
Kiyu'n phupi amma hai itni teergi zindaan me.

😭

Baad mere baba jaa'n ayye to kehna aap ki.
Rote rote margayi hai laadli zindaan me.

😭

Shaam ke bacho'n ko dar par shaahe dee'n ki nauha gar.
Daastaane gham sunaati hai khadi zindaan me.

😭

Haath malti hai jawani hoke zanjeero'n me qaid.
Saamne dam todti hai kamsini zindaan me.

😭

Qaid khane me ye kaisi chaagayi hai bekasi.
Rone wali baap ko kiya margayi zindaan me.

😭

Haay bhayi ki amaanat hoti hai paywande khaak.
Chal rahi hai qalbe zainab par churi zindaan me.

😭

Hai ye shehzadiye  kufe par qiyaamat ki ghadi.
Saath ramla ko liye hind aagayi zindaan me.

😭

Peet te hai'n seena o sar bibiyaa'n saare *kumail*
Girya o nalaa kunaa'n hai bekasi zindaan me.

😭

No comments:

Post a Comment