Thursday 23 November 2017

Tarhi Misra: Kaha Zehra(sa) ne ro ro kar mere dilbar ka hai chehlum

09/11/2017

🔳 *BAZM-E-SHOARA* 🔳
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E NAUHA*  

              👇👇👇👇

*Kaha zehra ne ro ro kar mere dilbar ka hai chehlum*

Qafiya: 👉 *Dilbar*
Radeef : 👉 *ka hai chehlum*

Misra by👉🏻  *Navshad Bijani.*

Pesh karda MISRE par shoara hazraat ke kalaam  peshe khidmat hai...

1. Janab Zeeshan Aazmi sb

ज़मीनो आसमां रोते हैं कि सरवर का चहलुम है
मेरे मौला मेरे आक़ा मेरे रहबर का चहलुम है

सकीना ज़ैनबो कुलसुम के हमराह मजलिस में
कहा ज़हरा ने रो-रो कर मेरे दिलबर चहलुम है

जिगर छलनी हुआ जिसके सबब से उम्मे फरवा का
अज़ादारों यह वह शहज़ाद ए शब्बर का चहलुम है

बहाओ अश्क मजलिस में वो एक नन्हे मुजाहिद पर
रूबाब आती है पुरसे को अली असग़र का चहलुम है

अज़ादारों करो मातम वह हमशक्ले पयंबर का
यहां लैला भी आयी हैं अली अकबर का चहलुम है

ग़मे सरवर मे ज़ैनब को जो बच्चे याद ना आए
उन्हीं औनो मोहम्मद के कटे दो सर का चहलुम है

कटाए बाज़ु जिस ने अलक़मा पर दीन की खातिर
सकीना के चचा वह मोनिसो यावर का चहलुम है

अज़ादारों मेरे हिंदुस्तां ने यह शरफ पाया
यहां ज़ीशान घर घर पर बहत्तर घर का चहलुम है

✍ ज़ीशान आज़मी

زمین و آسماں روتے ہیں کہ سرور کا چہلم ہے
مرے   مولا   مرے   آقا   مرے رہبر کا چہلم ہے

سکینہ   زینب  و  کلثوم کے ہمراہ مجلس  میں
کہا   زہرا  نے  رو رو کر میرے دلبر کا چہلم  ہے

جگر چھلنی ہوا جس کے سبب سے امّ فروا  کا
عزاداروں   یہ   وہ  شہزادئے  شبّر کا چہلم  ہے

بہاو  اشک مجلس میں وہ اک ننھے مجاہد  پر
رباب آتی  ہے  پرسہ کو علی اصغر کا چہلم  ہے

عزاداروں کرو   ماتم   وہ  ہم   شکل  پیمبر  کا
یہاں  لیلی  بھی آئی  ہیں علی اکبر کا چہلم  ہے

غم  سرور میں زینب   کو  جو بچے یاد نہ  آئے
انھیں عون و محمد کے کٹے دو سر کا چہلم ہے

کٹائے   بازو جس نے علقمہ   پر دین  کی خاطر
سکینہ کے  چچا   وہ  مونس و یاور کا چہلم ہے

عزاداروں  مرے   ہندوستاں  نے  یہ شرف  پایا
یہاں   ذیشان گھر گھر  پہ بہتر گھر کا چہلم ہے

2. Janab Kumail Nagri sb

Udhaao khaak sar par momino sarwar ka chehlum hai.
Bahaao ashak ibne saqiye kausar ka chehlum hai.

Rasoolallah ke rauze pe aake apni marqad se.
Kahaa zahra ne ro ro kar mere dilbar ka chehlum hai.

Kaha banu ne rokar laayi hu'n ashko'n ka nazraana.
Mera chey(6) maa'h ka nacha ali asghar ka chehlum hai.

Tadap kar boli maa'n gham se kalaija moo'h ko aata hai.
Mera kadiyal jawaa'n beta ali akbar ka chehlum hai.

Lipat kar qabre sarwar se pukaari zainabe bekass.
Mera mazloom bhaayi bekaso muztar ka chehlum hai.

Hai dooba aalame islaam gham me shaahe waala ke.
*kumail* har simt dekho deen ke rahbar ka chehlum hai.

⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛⬛
3. Janab Rizwan Sb

Qali murjai si lagti Hai to use ho hairat Kya

Use maloom Hai ke aaj Ali Asgar ka chehlum Hai

Tano SAR peet ke kehne laga khud husn usuf ka

Karo maatam Karo maatam Ali Akbar ka chehlum Hai

4. Janab Zia Haidar sb

😭😭😭😭😭😭
1. Kaha Zahra ne ro ro kar mere dilbar ka chehlum hai,
Padi thi laash jo besar usi besar ka chehlum hai.

2. Bulaati hai khadi hokar ke ek maadar ye karbal meiN,
Chale aao azadaaro mere Sarwar ka chehlum hai.

3. Bharo qoozoN me sharbat ko dilaao nazr Asghar ki,
Rahe koi bhi na pyasa mere Asghar ka chehlum hai.

4. Sakeena dafn mar ke ho gayi zindaan meiN tanha,
Nahi kar paayi baba ka Shahe Muztar ka chehlum hai.

5. Na ro paayi thi Zainab aaj tak Auno Muhammad ko,
Wahi do laal Abdullah ke dilbar  ka chehlum hai.

6. Kiya pamaal jiski laash ko ghodoN ke taapoN se,
Karo maatam bapa Qasim bine Shabbar ka chehlum hai.

7. Qalam jiske taraayi par huve baazoo azadaaro,
Shukune Fatima jaane dile Haidar ka chehlum hai.

8. Laeeno ne jise maara tha barchhi aur bhaaloN se,
Usi Laila ke dilbar ka Ali Akbar ka chehlum hai.

9. Gala chheda tha jiska teere shy shoba se maqtal meiN,
Usi armaane maadar ka Ali Asghar ka chehlum hai.

10. Padi thiN laasheN jo uryaaN shaheedoN ki bina sar ke,
Husaine bekaso mazloom ke lashkar ka chehlum hai.

11. Bapa maatam Shahe Mazloom ka har ghar me ho raha,
Habib o Jaun Hurr o Nafe o jaafar ka chehlum hai.

12. Zia ke ghar me bhi aayeNgi Zahra waaste iske,
Bichhaya ghar me hai farshe aza Sarwar ka chehlum hai.
😭😭😭😭😭😭

5. Janab Raheman Ali sb

Jari kiya quran neje per jisne us sar ka he chehlum
Kaha zehra ne ro ro kar ke mere dilbar ka he chehlum

Jis shahido pe rone na diya bibiyon ko laeeno ne
Kaha zainab ne vo allah ke lashkar ka he chehlum

Jamin roti rahi kanpta raha arsh jab suna usne
Kaha zehra ne ro ro kar ke mere dilbar ka he chehlum

Sar ko pit ti thi aur kehti thi sabse ye umme rabab
Mere cheh maah ke phul ali asgar ka he chehlum

Thokare khakar  roti rahi jise ek shab ki dulhan
Umme Farva ke chand binte shabbar ka he chehlum

Baju katae huve so raha tha jo nehr e furaat per
Lashkar ke alamdar abbas ibne Haider ka he chehlum

Chato se barsae gae the patthar sham ke bazar me
Khaya jisne pehla patthar us sar ka he chehlum

Ham sabihe rasool ka huva tha sina neje se jakhmi
Madar ne kaha mere kadiyal javan akbar ka he chehlum

Huvi thi aabad jiss se karbala jaha jate he sab log
Raheman aaj vo karbala ke bahattar ka he chehlum

No comments:

Post a Comment