Friday 27 October 2017

Tarhi misra: Khoon sajjad ki aankho'n se rava'n shaam me hai

*MISRA BARA E SALAAM*  

              👇👇👇👇

*Khoon sajjad ki aankho'n se rava'n shaam me hai*

Qafiya: 👉 *rava'n*
Radeef : 👉 *shaam me hai*

*خون  سجّاد  کی  آنکھوں  سے   رواں   شام  میں  ہے*

Misra by👉🏻  *Janab chaman alipuri sahab.*

Pesh karda MISRE par ek salaam ya kam se kam ek qat'aa tahreer farmaayen.

Waqt:👉🏼 Aaj se lekar Thirsday (shabe jum'a) tak.

http://www.bazmeshaura.blogspot.in

1. Janab Kaifi Kalkatvi sahab
*BISMILLAH*

*Khoon sajjad ki ankho'n se rawa'n shaam mei'n hai*
*Karbala mei'n na mili aur na amaa'n shaam mei'n hai*

*Sath ghazi ke chala tha jo madine se kabhi*
*Qafila shah e zaman ka woh kaha'n sham mei'n hai*

*Jhuk gayi jiski zaeefi se kamar haay e yaha'n*
*Sar jhukaye woh khada aesa jawa'n shaam mei'n hai*

*Karbala mei'n jo lagaayi thi sitamgaro'n ne*
*Aag to bujh gayi uttha" jo dhuwa'n shaam mei'n hai*

*Us taraf dekhta jata hai sar e shah e zaman*
*Sar burida ali Akbar ka jaha'n shaam mei'n hai*

*De jagha ghar mei'n yateemo'n ko aseero'n ko koyi*
*Haaye ghurbat na koyi aesa maka'n shaam mei'n hai*

*Jaane kis tarha sakina ko rasan bandhi gayi*
*Ab bhi baazo e sakina pe nisha'n sham mei'n hai*

*Kyun na kaifi teri ankho'n se bahe ashk e aza*
*Aaj bhi girya kuna'n shah e zama'n sham mei'n hai*

2. Aliabbas fasih sahab

Aaj bhi dekho bada karb aaya'n shaam me hai.

Ek yateema ki fiza'on me fugaa'n shaam me hai

Qalb e momin ka suko'n karbola aur shae ka.

Koi puche hai kaha'n kahdo waha'n shaam me hai.

3. Janab Abbas sahab

Hashr barpa hai qayamat ka sama'n shaam me hai
Be rida dukhtar e khatoon e jina'n shaam me hai

Jisko suraj ne bhi dekha na kabhi nange sar
Haye be parda wahi mehwe fuga'n shaam me hai

4. Janab Chaman Rehmati sahab

Khoon  Sajjad  ki  aankh'oun  se  rava'n   Shaam  may  hai..
Dard jo Dil may hai  Chehray se aayaa'n Shaam may hai..

Taziyaanay jo lagatay hain laayee'n Aabid per,,
Hoosh Beemaar ko uss waqt kahaa'n Shaam may hai..

Gir pada qaak pe Abbas ka sar naizay se,,
Rona Zainab ka  qhayamat ka samaa'n Shaam may hai..

Sar e Akber ki taraf dekh kay Laila ne kaha,,
Teri Qurbani se Islaam jawaa'n  Shaam may hai..

Shabb-e-Aashoor ke manzer ko na bholay Aabid,,
Yaad jaltay hove qhaimoun ka dhuvaa'n Shaam may hai..

5. Janab  Mukhtar Ali sahab

*Zulm sajjad pe ha'n kitne giraa'n sham me hai,*
*Ek bimaar pe ye kaisa samaa'n sham me hai..*

*Dekh ke baap ka sar nok pe neza ki yu'n,*
*khoon sajjad ki aankho'n se rava'n sham me hai....*

*Jab Bulaaya gaya balve me nabizaadi ko,*
*Ek qayamat si ghadi haye ayaa'n sham me hai..*

6. Janab Naushad Bijani sahab

Apni gardan ko jhukaye huve ghayyor imaam.
Thaam ke apna jigar nawha kuna'n shaam me hai.

Dar badar ehle haram ko hai firate aada.
Khoon sajjad ki aankho'n se rava'n shaam me hai.

Wassalaam

No comments:

Post a Comment