Wednesday 20 September 2017

Tarhi Misra: Mubahela nahi ho sakta Fatema(sa) ke bagair.

بزم شعراء

🌺 *BAZM-E-SHOARA* 🌺
     

*MISRA BARA E QATA*

*Mubahela nahi ho sakta Fatema(sa) ke bagair.*

Qafiya: 👉 *Fatema*

Radeef : 👉 *Ke baghayr**

Misra by👉🏻  *Janab Anees abr kanodari sahab.*



1. Janab Naushad Bijani sahab

*Na koi fat'h kabhi hota jang ka mayda'n.*

*Nabi o shabbar o shabbeer o murtaza ke bhaghayr.*

*Hai baddua ki zaroorat isi liye navshad.*

*Mubahela nahi ho sakta fatema ke baghayr.*

2. Janab Anees Abr

Isi ke dam se hai islaam ki ragoN me hayaat,
Baqa e deen nahi binte Mustufa(saw) ke bagair,

_'Nisa ana'_ ki jagah koi le nahi sakta,
*Mubahela nahi ho sakta Fatema(sa) ke bagair*

3. Janab Taqi kazmi Karblyi sahab

1.Wujud pati na duniya kabhi khuda ke bager.
Na Dee,n ko milta shara bhi mustafa ke bager.

2.Ali ko is liye maula bna diya khum me.
Na deen hota mukammal bhi Murtaza ke bager.

3.ali nabi ki bhi khilqat he ishq e zahra me.
Ye kayenaat nahi kuch bhi sayadda ke bager.

4.ali ke lal ne apni hayaat di isko.
ye deen sans bhi leta na karbala ke bager.

5.namaz e shab me dua mang kr ali ne kha.
jari mila nhi karta kabhi dua ke bager.

6.zamane bhar ke ye mufti mujhe btayen zra.
qur aan kaise mukammal ho hal ata ke bager.

7.teri rida ka hai saya bhi khanye rab pr.
Haram khuda ka hai tanha Teri rida ke bagair.

8.bta gyi hai zamane ko binte paigambar.
Ke kuch nhi hai ye ourat taqi hya ke bagair.

Nabi ne sath me lekar ye sayadda ko kha.
Mubahela nhi ho sakta fatema ke bger.

4. Mohtarma Ayat Irani saheba

*Hasan Husain kabhi shahe la fata KE bagair*

*MUBAHELA nahi ho sakta fatema KE bagair*

*Mubahele KE liye panjetan chale ghar se*

*Thi aisi Jang Jo Fatha ki bad Dua KE bagair*

5. Janab Kaifi kalkatvi sahab

*Riza e khaliq e akbar ke mustafa ke baghair*
*Hasan Hussain ke moula e murtaza ke baghair*

*Muqable pa chala aaye koyi bhi Kaifi*
*Mubahela nahi ho sakta fatehma ke baghair*

6. Janab AliAbbas FASIH sahab

Adhura jaise hai imaan murtaza ke baghair.

Hai waisi chadar e tatheer raazia ke baghair.

Habeeb e lamyazali ne bata diya sabko.

Mubahela nahi ho sakta fatema ke baghair.

7. Janab Aadil abid sahab

GHADEER E KHUM ME YE BATLA DIYA HAI AHMED NE

KHUDA KA DEEÑ BHI ADHURA HAI MURTUZA KE BAGHAIR

YE BAAT AZMAT E BINTE NABI KO KAAFI HAI

MUBAHELA NAHI HO SAKTA FATEMA KE BAGHAIR

8. Janab Jalal Rizvi sahab

Abas hai sajda e haq ishqe murtaza ke baghair
Namaz kuch bhi nahi aale mustafa ke baghair

Tawaf e kaba ghame shahe karbala ke baghair
Khuda ko dhoondhne nikla hai murtaza ke baghair

Nigah e fatima me qabil e qubool nahi
Aza e shahe huda sajda e khuda ke baghair

Hai uska ka dawa kaneez e batool hone ka
Jo ghoomti hai moharram me bhi rida ke baghair

Ghame husain me rokar bhi kuch nahi paya
Bashar ne marfate shahe la_fata ke baghair

Lehad me noor ki hasrat iram ka dil me khayal
Ye sab khayal hain tehzeeb e karbala ke baghair

Ghilaf e khana e kaba ka zikr kaise karun
Shareeq e kaar e shahe dee'n teri rida ke baghair

Daleel azmate Zahara me ye hi kaafi hai
Mubahila nahi hi sakta fatima ke baghair

Qalam me taab kaha'n hai jo ek harf likhe
Ali ke huqm baghair izne fatima ke baghair


9. Janab Muntazir Merchant sahab

Na fatha milti nasaara pe phir Vega ke bagayr
Nabi mubahela karte jo faatema ke bagayr

Butul se hai agar BUGZ haafizo.n tum Ko
To rat te  kyo.n nahi quraaan hal ata ke bagayr

Wo Farsh se to utthe par na arsh tak pohche
Ada Jo Sajde huve khaaq e Karbala ke bagayr

Wo Zinda logo.n me harghiz shumaar ho na sake
Huve Jo payda butul aap ki doa ke bagayr

Shafaa'ate.n to Nabi hi karenge mehshar me
Magar ye faysle.n honge Na Sayyeda ke bagayr

Nishhane par hi tha jo parda shaami Lashkar ke
Bacha ke laayee.n he zaynab use reda ke bagayr

Gar apna beta kaha he butool ne us Ko
Bataaya ji ke jari ne bhi fir khata ke bagayr

Khuda ko khud bhi muhabbat he is qadar us se
Banaayee us ne Na Jannat BHI Karbala ke bagayr

Faraaz e daar pe harghiz mara nahi misam
Wo mar hi jaata Magar madh e Murtaza ke bagayr

Gham e imaam se waaqif tha is qadar Mukhtar
Na chain aaya use qatl e hurmula ke bagayr

Unhi ke dar ka bhikhaari hu *"muntazir"* me bhi
Ata Jo karte he sayeel Ki ilteja ke bagayr

📫  BAZME SHOARA

15/09/2017

No comments:

Post a Comment