Monday 9 April 2018

Tarhi Misra: Sagheer aaya hai ab zalimoN ki khair nahi

[02/04/2018] 

*بزم شعراء*

🌹 *BAZM-E-SHOARA* 🌹
  
     SalamunAlaikum.

*MISRA BARA E KALAAM*  

              👇👇👇👇

*Sagheer aaya hai ab zalimoN ki khair nahi*

*Qafiya........zalimo'n*
*Radeef.......ki khair nahi*

Misra by👉🏻
*Janab Altaf Haidari Maroofi sahab*

Pesh karda MISRE par kalaam qata shoara hazraat ke peshe khidmat hai.


1. Janab Shaker Sayyadi Sb: KALAAM E SAYYADI.   
                                        04.04.2018

MISRA DIYA GAYA THA,

SAGEER AAYA HAI AB ZAALIMON KI KHAIR NAHI

🌹🌹🌹🌹🌹

FASAAD KARTE HAI JO BHI NABI KE MIMBER SE,,,,,,
BA ROZE HASHRE AB UN AALIMON KI KHAIR NAHI,,,,,,
JARI KE ROOH SE AKBER KI ROOH KAHTI HAI,,,,,,,
SAGEER AAYA HAI AB ZAALIMON KI KHAIR NAHI,,,,,,

🌹🌹🌹🌹🌹

SHAKER SAYYADI



2. Janab Kaifi Kalkatwi Sb: 🌹 *BISMILLAH* 🌹

Zameen e karbobala dushmano'n ki khair nahi
Jo hai'n yazid ke un hamiyo'n ki khair nahi
*زمینِ کرب و بلا دشمنوں کی خیر نہی*
*جو ہیں یزید کے ان حامیوں کی خیر نہی*

Diye the qatl ke fatwe jinho'n ne sarwar ke
Sitamgaro'n mei'n unhi jahilo'n ki khair nahi
*دیئے تھے قتل کے فتوے جنہونے سرور کے*
*ستمگروں میں انہی جاہلوں کی خیر نہی*

Woh pal mei'n jung ka naqsha palat ke rakh dega
Sagheer aaya hai ab zalimo'n ki khair nahi
*وہ پل میں جنگ کانقشہ پلٹ کے رکھ دے گا*
*صغیر آیا ہے اب ظالموں کی خیر نہی*

Woh 6 mahine ka bachcha hai dast e sarwar par
Jo keh raha hai ke ab baligho'n ki khair nahi
*وہ چھ مہینے کا بچّہ ہے دستِ سرور پر*
*جو کہہ رہا ہے کے اب بالغوں کی خیر نہی*

Hua hai waar tabassum ka hurmala tujh par
Jo darmiya'n mei'n hai'n un faslo'n ki khair nahi
*ہوا ہے وار تبسّم کا حرملا تجھ پر*
*جو درمیاں میں ہیں ان فاصلوں کی خیر نہی*

Chala hai shaan se neze pe misl baba ke
Sada e ghaib uthi raasto'n ki khair nahi
*چلا ہے شان سے نیزے پے مسل بابا کے*
*صدائے غیب اٹھی راستوں کی کی خیر نہی*

Ali hai naam ye mushkil kusha ka pota hai
Pukaro dil se to phir mushkilo'n ki khair nahi
*علی ہے نام یہ مشکل کشاء کا پوتا ہے*
*پکارو دل سے تو پھر مشکلوں کی خیر نہی*

Utha qalam tu aye kaifi le naam asghar ka
Radeef aesi hai ke qafiyo'n ki khair nahi
*اٹھا قلم تو ائے کیفی لے نام اصغر کا*
*ردیف ایسی ہے کے قافیوں کی خیر نہی*

Kaifi kalkatwi....✍🏻

*کیفی کلکتوی*




3. Janab Muntazir Abbas Sb:

RABBISHI SADRI VA YASSIRLI AMRI
BISMILLAHIRRAHMANIRRAAHEEM

1)SIPAAH E SHAAM KE MURDA DILO.N KI KHAIR NAHI
HASEGA FOOL TO PHIR AANDHIYO.N KI KHAIR NAHI

2)LABO.N SE APNE TABASSUM KA VAAR KAR NE KO
SAGEER AAYA HE AB ZAALIMO.N KI KHAIR NAHI

3)ALI KE POTE KA HAMLA BHI HOGA MISL E ALI
YAZEEDI FAUJ KE ZINDA BUTO.N KI KHAIR NAHI

4)ABHI TO MUTTHIYA.N KHOLI NAHI HE ASGAR NE
KHULEGA HAATH TO BU JAHILO.N KI KHAIR NAHI

5)MAZAAK TEER KA HAS KAR UDAAEGA ASGAR
AY HURMULA TERI FANKAARIYO.N KI KHAIR NAHI

6)MANA NE AAYA HE YE JASHN FATH E SARWAR KA
YAZEED AB TERI MAKKARIYO.N  KI KHAIR NAHI

7) ALI KA NAARA LAGA JASHN E SHEER KHWAR ME HE
WILA E MURTAZA KE MUNKIRO.N KI KHAIR NAHI

8)HISAAR E NAAD E ALI KA HI MO'JEZA HE YE
ME KHAYRIYAT SE HU AUR MUSHKILO.N KI KHAIR NAHI

9)BAS EK JUNG HE WO JUNG E KARBALA  JIS ME
YE GARDANO.N NE KAHA KHANJARO.N KI KHAIR NAHI

10)LO KARNE AA GAYEE TAQREER SHAAM ME ZAYNAB
HUSSAIN AB TO TERE QAATILO.N KI KHAIR NAHI

11)ALAM JARI KA LAGAAYA HE CHAUK ME HUM NE
YAQEEN JAANIYE AB MUFTIYO.N KI KHAIR NAHI

12)DABA KE BAYTHE HE.N AY *MUNTAZIR* JO HAQQ E BUTOOL
IMAAM AAYENGE PHIR GHAASEEBO.N KI KHAIR NAHI

SHUQRE MAULA


4. Janab Ghazi Abbas Sb: *Bismillah hirrehmaan nirraheem*

*Sagheer aaya hai ab zaalimo'n ki khair nahi*

Badey bado'n se bhi badhkar bado'n ki khair nahi
Ali ke saamney aakar naro'n ki khair nahi

Jidaar e kaaba ye kaabey se haskey kehtii hai
Lo aarahey hai Ali ab buto'n ki khair nahi

Hameysha shukr khuda ka adaa karo warna
Jo tumney paaya hai un neymato'n ki khair nahi

Zabaa'n pey naam e Ali lekey aagaye yousuf
Lo shehr e misr mey ab maaliko'n ki khari nahi

Parr apna jhooley se mas Karkey bol uthaa fitrus
Ye kisney kehdiya merey paro'n ki khair nahi

Ye kehtey nehr se lashkar tamaam bhaag utha
Ali ke Sher ke aagey saro'n ki khair nahi

Ye rauza Gaazi alamdaar e baawafa ka hai
Yahaa Jo garjeygi un baadalo'n ki khair nahi

Ali ke Sher ki jaageer, karbala hai ye
Adab se aao yahaa buzdilo'n ki khair nahi

Pidar ke haatho'n ko mimbar banaakey maidaa'n mey
*Sagheer aaya hai ab zaalimo'n ki khair nahi*

Rihaayi paaye Jo Mukhtar khaid se to kahaa
Husain,abse terey khaatilo'n ki khair nahi

Jahaa'n mey waaris e khaibar shikan ko aaney do
Phir uskey baad ye fitnaagaro'n ki khair nahi

Labo'n pey *"GAAZI"* ke har damm hai wird e naad e Ali
Ab ussey milkey fakhat mushkilo'n ki khair nahi

-Az Qalam e *"GAAZI"*
05/04/18.




5. Janab  Muqeem Haider Sb:
ali ke laal ka jaaho jalaal jehta tha
yazeediyat ke sabhi hamiyo'n ki khair nh

mere huzur ke parde ko uth to jaane
jahaane zulm tere muftiyo'n ki khair nhi



6. Janab  Arshad Sirsivi Sb:
Hai khatm waqfa e mohlat buto'n ki khair nahi
Ali hain kabe me ab pattharo'n ki khair nahi

Zahoor hote hi mehdi ka hoga ye ailan
Phir aa gaye hain ali marhabo'n ki khair nahi

Sipahe shaah ke sookhe galo ne gher liya
Mayan e karbobala khanjaro'n ki khair nahi

Ulajh to baithe hain shahzada e tabassum se
Magar ye tey hai ki ab nawaqo'n ki khair nahi

Zameen e karbobala hai charagh gaah e husain
Yaha'N ghuroor zada aandhiyon ki khair nahi

Ulajh ke seena e akbar me toot jayengi
Akad ke chalti hui barchhiyon ki khair nahi

Aza e sibte payambar se hai gurez jinhe
Kasam husain ki aise gharo ki khair nahi

Barasne wali hai Inkaar e shaah e dee'n se ajal
Yazeed ab tere baiyat kado'n ki khair nahi

Badi jo pao'n ki raftaar aablo ne kaha
Dayar e shaam talak bediyon ki khair nahi

Sina'n ki nok pe bole shahadato'n ke charagh
Hamare hute huye zulmato'n ki khair nahi

Chala hai janib e dariya ameer e tashnalabi
Ghuroor e aab tere maqsado'n ki khair nahi

Hilal e mahe moharram niklne wala hai
Hamare sheher ke fatwa garo'n ki khair nahi

Bata rahi hai ye khum me halaqat e haris
Kisi bhi haal me In munkiro'n ki khair nahi

Wo jin ke shero me arshad ghulu jhalakta hai
Yaqeen janiye un shayero'n ki khair nahi




7. Janab Zeeshan Aazmi Sb:
कलम के नूर से   अब ज़ुल्मतो   की  खैर नहीं
लिखूं मैं    शेर तो फिर  जाहिलों  की खैर नहीं

हुआ जो काबे में पैदा वह बुत शिकन  है अली
खुदा के   घर में रखें   अब बुतों   की खैर नहीं

बहुत      करीब    ज़ुहूरे इमामे     महदी     है
खुदा    के दीन के   सब दुश्मनों  की खैर नहीं

अली के   होठों    पे हथियार    है तबस्सुम का
यज़ीदी   फोज के सब बुज़दिलों की खैर  नहीं

यज़ीदी    फौज   में हंगामे    हश्र   है    बरपा
सगी़र आया     है अब ज़ालिमों   की खैर नहीं

लिखेंगे शेर    जो तोहीद    के खिलाफ  अगर
तो समझो हश्र के    दिन शायरों की खैर  नहीं

तेरा तो काम है    ज़ीशान    बस दुआ   करना
खुदा ने चाहा तो फिर   मुश्किलों की खैर नहीं

✍ ज़ीशान आज़मी

قلم کے    نور سے    اب ظلمتوں کی خیر نہیں
لکھوں میں  شعر تو پھر جاہلوں کی خیر نہیں

ہوا جو   کعبہ میں    پیدا وہ بت شکن ہے علی
خدا کے گھر میں رکھے اب بتوں کی خیر نہیں

بہت        قریب     ظہورِ   امامِ    مہدی     ہے
خدا کے   دین   کے سب دشمنوں کی خیر نہیں

علی کے    ہونٹوں   پہ     ہتھیار ہے    تبسم کا
یزیدی  فوج کے    سب بزدلوں   کی خیر نہیں

یزیدی   فوج   میں    ہنگامِ   حشر    ہے    برپا
صغیر    آیا    ہے اب    ظالموں    کی خیر نہیں

لکھیں   گے   شعر   جو   توحید  کے خلاف اگر
تو سمجھو حشر کے دن شاعروں کی خیر نہیں

ترا    تو     کام     ہے     ذیشان    بس دعا کرنا
خدا  نے   چاہا  تو پھر   مشکلوں کی خیر نہیں

✍ ذیشان آعظمی





8. Janab Zia Haidar sb:

Misra: SagHeer aaya hai ab zaalimoN ki khair nahi.

Bismillah hirrahma nirraheem

🌹🌹🌹🌹🌹
1.
Munafiqeen ki or jaahiloN ki khair nahi,
Mukhauta pahne huve buzdiloN ki khair nahi.

2.
Ragad ke aidiyaN AsgHar bhi apne jhoole me,
Machal raheN haiN bahot shaamiyoN ki khair nahi.

3.
Idhar to jhoole ko AsgHar ne bas hilaaya tha,
Udhar hai shor utha baagiyoN ki khair nahi.

4.
Gira ke jhoole se AsgHar ne li hai aNgdaayi,
Kasam khuda ki hai ab marhaboN ki khair nahi.

5.
HaNsi ki tegH se takhta palat ke rakh dega,
Ye sheer khwaar hai par diggajoN ki khair nahi.

6.
Chala hai sher abhi sheh ke aashiyaane se,
Yazeede bad tere ab saathiyoN ki khair nahi.

7.
Pidar ki goad me AsgHar ka jung me aana,
Bata raha hai ki ab hausloN ki khair nahi.

8.
HaNsi haNsi me ujad jaaega tera khaima,
SagHeer aaya hai ab zaalimoN ki khair nahi.

9.
Bala ke dast me beaheer haNs ke kahta hai,
Tumhare tegH o tabar khanjaroN ki khair nahi.

10.
Ali haiN kahte ise ye Ali ke jaisa hai,
Ay hurmula tere ab shokhiyoN ki khair nahi.

11.
Karega zulm ko ruswa abad talak besheer,
Yazeede shaam ki nautaNkkiyoN ki khair nahi.

12.
Ataye AsgHar e besheer hai ye misroN ko,
Kahe radeef ZIA qaafiyoN ki khair nahi.

🌹🌹🌹🌹🌹
✍🏻Zia Haidar
06.04.2018




9. Janab Eram Mehdi Sb: *Qaseeda*

❤ ❤ ❤ ❤ ❤ ❤ ❤

hawa ki khair nahi, Aandhion ki khair nahi

Charaagh e khum ke sabab zulmaton ki khair nahi

qareeb aate to un ke naseeb khul jaate

Hame pata hai wo mahfil kiyun nahi aate

ye bazm e dil hai yahan dil jalon ki kahir nahi

Dayaar e zulm me toofan aane wala hai

Ameer shaam ka takhta ulatne wala hai 

Chitakh rahe hain kenwal qumqomon ki kahir nahi

ghoor-e taalib e biat kuchal ke rakh dega 

bala ke dasht ka naqsha badal ke rakh dega 

Sagheer aaya hai ab zalimon ki khair nahi

udahar najaf ki haden hain idhar Madeena hai

Shahe huda ne bari hikmaton se Ghera hai

Yazeed aaj tere Lashkaron ki khair nahi

ae jibraeel sare kooh e toor hi rehna

jari ki tegh ke saaye se door hi rehna

lagi jo zarb to ab ke paron ki kahir nahi

Atash ka chark sar-e Alqama pe toot para

ye kehke sher Saf e ashqiya pe toot para

Traayi chor do warna saron ki kahir nahi

Eram Mehdi

💓💓💓💓💓💓💓💓



10. Janab Azam Maroofi Sb:
Sawaab ki gharaz se ek matla 2sher ap hazrat ki khidmat me bator islaah hazir h👇👇👇👇👇

Ghroor me jo uthe hain saro'n ki khair nahi....

Kisi b haal me ab bad zano'n ki khair nahi.....

adoo b royenge or hurmula bhi larzega......

Sagheer aaya hai ab zalimo'n ki khair nahi...

Tabassume ali asghar tabaah kar dega.....

Yazeediyat teri fankariyo'n ki khair nahi.......

Az qalam Azam Maroofi

11. Janab Altaf Maroofi Sb:

امامِ عصر کو آنے دو ذوالفقار کے ساتھ

قسم خدا کی اِن اخباریوں کی خیر نہیں

ہمک کے آیا ہے سرور کی  گود میں اصغر

اے حرملہ تری انگڑائیوں کی خیر نہیں

بدل رہے ہیں تشہّد جو اپنی مرضی سے

یقین جانئیے ان پاگلوں کی خیر نہیں ۔

یہ بات سچ ہے مقصر ہے لعنتی لیکن

یقین یہ بھی رکھو غالیوں کی خیر نہیں

Orooj pr h bahot fitna baz aur kaazib

Mujhe lage hai k saccha'iyoN ki khair nahi

1 comment:

  1. BetMGM NJ Casino Promo Code & Review - JTHub
    Claim a no-deposit bonus worth up 하남 출장안마 to $1000 and get $250 공주 출장샵 free! — BetMGM NJ Casino Promo Code & 당진 출장안마 Review. Find out 남양주 출장안마 more about their BetMGM NJ Casino promo 진주 출장마사지 code & how to

    ReplyDelete