Tarhi Misra: Shabbir(as) ke maqsad ki Nigheba'n hai Sakina(sa)
Misra By: Janab Chaman Rehmathi Sahab
Misra Tarikh: October 2016
1.
Janab Chaman Rehmathi Sahab
*Kis ne kaha midhath teri aasa'n hai Sakina,,*
*Jab din e Nabi tera sanaqa'n hai Sakina..*
*Dunya may fazilath ka shabista'n hai Sakina,,*
*Aiwaan e aza tujh se charagha'n hai Sakina..*
*Tu bayis e taskin e Hussain ibne Ali hay,,*
*Abbas e dilawar ki tu hi jaa'n hai Sakina..*
*Ghazi hay kamer Sheh ki toh aankqhien Ali Akbar,,*
*Asgher hay kaleja toh rag e jaa'n hai Sakina..*
*Zainab ko ager khehtey hain Quran e Masayib,,*
*Iss dukh bhari tehrir ka unwa'n hai Sakina..*
*Bazar may darbar may zindan e jafa may,,*
*Abid ke har ek dard ka darma'n hai Sakina..*
*Aati hay sada aaj bhi yeh Karbobala se,,*
_*Shabir ke moqsad ki nigheba'n hai Sakina..*_
*Roti hi rahi sham e ghariba'n se musalsal,,*
*Baba ki judayi se paresha'n hai Sakina..*
*Dafna ke Sakina ko yahi keh utthey Abid,,*
*Darbar tera ab yehi zinda'n hai Sakina..*
*Ab Rozey pa tum apne bulalena Chaman ko,,*
*Har aan mere dil may yeh arma'n hai Sakina..
2.
Janab Zeeshan Azmi Sahab
1. Baba ke liye ran me pareshañ hai sakina
Jaañ rakh ke bhi sad haif ke be jaañ hai sakina
2. Ay shimr yatima ko laga ab na tamache
Pahle se ghame sheh me kharoshañ hai sakina
3. Ji bhar ke phuphi dekhiye bhayya ki amanat
Zindaan me kuch roz ki mahmaañ hai sakina
4. Sajjad ne dafna ke bahan ko yeh kaha hai
Yeh bhai tere sabr pe qurbaañ hai sakina
5. Zeeshan ne yeh likh ke qalam tod diya hai
Shabbir ke maqsad ki nighebaañ hai sakina
3.
Janab Kumail Nagri Sahab
(1) Shabbir ke maqsad ki nigehba'n hai sakina.
islaam hai sajjad to eimaa'n hai sakina.
(2) rauze pe tere aate hai'n sab huro malaaek.
Jannat hai ke shabbir ka quraa'n hai sakina.
⚫
(3) ab tirchi nazar tujhko nahi dekhega koyi.
Naukar teri dehleez ka rizwaa'n hai sakina.
⚫
(4) nigraani hai abbas ki zainab ki nazar hai.
issmat ke wo aangan ki gulistaa'n hai sakina.
⚫
(5) ruqssat huye shabbir bahen se yahi kahekar.
Ab tere hawale ye meri jaa'n hai sakina.
⚫
(6) roti hai phupi amma bhi ghurbat pe tumhari.
Nalaa'n sare naiza shehe zeesha'n hai sakina.
⚫
(7) matt maarna ay shimr yatima ko tamache.
Baba ki judayi se pareshaa'n hai sakina.
⚫
(8) royana karo bibi you'n din raat pidar ko.
Ye ghar nahi ye shaam ka zindaa'n hai sakina.
⚫
(9) do gazz bhi kafan haaye tujhe de nahi payi.
Sharminda bohat tujhse teri maa'n hai sakina.
⚫
(10) ye likh ke KUMAIL* apna qalam rokliya hai.
Dushman bhi teri sabr pe haira'n hai sakina.
4.
Aale Aba Groups
Sin karbobala me hai faqat chaar baras ka.
Is umr me bhi haafize qur'aa'n hai sakeena.
Islaam ko zinda kiya shabbeer ne ban me.
Shabbeer ke maqsad ki nigehba'n hai sakeena.
5.
Janab Anees Abr Sahab
Shabbir(as) ki furqat me pareshaN hai Sakina(sa)...HairaaN hai Sakina(sa)...
kuch roz ki is dehr me mehmaaN hai Sakina(sa)...
Wehshat ye andhere ki ye tanhaii ka aalam...Be chain hai har dam,
Mar jayegi na-waqif e zindaaN hai Sakina(sa)...
Bachchi ne kaha dekh ke sar tasht me rakhkha...Haaye mere baba,
Darbar me aayi sar e uryaaN hai Sakina(sa)...
Zainab(sa) ne kaha dada tumhe bakshenge kausar...godi me bithakar,
Shiqwa na karo sabr ka maidaaN hai Sakina(sa)...
Ummeed thi dukhya ke Baba ki qaza par, Pursa ho mayassar...
Par zulm ki izaa se pareshaaN hai Sakina(sa)...
Ye pyaas ye zindaan ye sakhti ye judaii...aur aabalaapaaii,
Afsos teri maut ka saamaaN hai Sakina(sa)...
Paani na piya kehke ye bachchi ne kahi bhi...Har dam rahi pyaasi,
Tashna abhi tak Asgar e NaadaaN hai Sakina(sa)...
AankhoN me waran zakhmi badan, tashna-dahaani...aur haathoN me rassi,
Mushkil hai bahot mout ki khwahaaN hai Sakina(sa)...
Ye sochke aadaa ne sataya hai use Abr...karte hi rahe jabr,
Shabbir(as) ke maqsad ki nigehbaaN hai Sakina(sa)...
6.
Janab Zia Haider Sahab
Abbas ke jazbaat ka aywa'n hai Sakina,
Pyaasi hai magar deen pe ehsa'n hai Sakina.
Abbaso Ali, Auno Mohammad ki hai pyaari.
Qasim bine shabbar ki dilo jaa'n hai Sakina.
Sabbreer yeh kehte the sada binte ali se.
Shabbir ke maqsad ki nighebaa'n hai Sakina.
Asghar ko kiya qatl sitamgar ne hai lekin.
Gharqaabe sitamgaar ka saama'n hai Sakeena.
Naize pe thaherta nahi jab ke sare ghaazi.
Abbas ke jeene ka bas armaa'n hai Sakina.
Mashqeeza ke chhidte hi zia bole yeh Ghazi
Abbas bahot tumse pashemaa'n hai Sakina.
7.
Janab Sadiq Ali Naushad Sahab
Kurte ka tera jal gaya daama'n hai sakeena.
Aa paas mere shaame ghareeba'n hai sakeena.
Seene pe sulaaoo'n mai tuje aaja mere paas.
Maqtal me tere dard ka darma'n hai sakeena.
Maqtal se bulaata hai tuje baaba yeh keh kar.
Kyun khaa ke tamaache tu paresha'n hai sakeena.
Aaja ke tuje seene pe mai apne sulaa du.
Tu mera jigar aur meri jaa'n hai sakeena.
Kal se to tujhe shaam talak karna safar hai.
Jangal me tu ek raat ki mehma'n hai sakeena.
Tu aaegi maqtal me yeh ummid hai mujko.
Yeh tuj pe tere baaba ko iz-aa'n hai sakeena.
Darna nahi tu fatema zehra ki hai poti.
Che jaae ke yeh khauf ka mayda'n hai sakeena.
Himmat se mere seene pe sar rakh ke tu soja.
Laasha mera is dasht me urya'n hai sakeena.
Tu dee'n ko bachaane ke liye sabr karegi.
Tu hi to mera aakhri arma'n hai sakeena.
Kar sakti ho tum sabr ka tay maarka har ik.
Keh sakta hai yeh kon ke naada'n hai sakeena.
Nana bhi yeh daadi se kaha karte the har dam.
Shabber ke maqsad ki nigehna'n hai sakeena.
Muh maanga mila karta hai darse tere usko.
Navshad* pe sadyo'n se maherba'n hai sakeena.
8.
Janab Hasan Raza Sahab
باطل کے مقابل میں جو طوفاں ہے سکینہ
کیونکر نہ ہو بنت شہ مرداں ہے سکینہ
زہرا کی طرح سہہ کے ہر اک درد ہر اک غم
ہر گام ولایت کی نگہباں ہے سکینہ
عباس پہ قربان ہے یہ ساری خدائ
تم پر مگر عباس بهی قرباں ہے سکینہ
کهلتے ہیں جہاں صبر اور ایثار کے غنچے
شبیر کے گهر میں وہ گلستاں ہے سکینہ
روضہ پہ ترے دست ادب جوڑ کے بی بی
اسلام بهی شرمنده احساں ہے سکینہ
اسلام پہ گر سایہ کئیے ہے تری چادر
سر پر ترے سایہ کئیے قرآں ہے سکینہ
ایثار و وفا صبر اور ہمت کے فلک پر
خورشید کے مانند درخشاں ہے سکینہ
اسلام یہ کہتا ہے مری جان ہے شبیر
شبیر یہ کہتے ہیں مری جاں ہے سکینہ
اس چهوٹے سے سن میں ہے ترا حوصلہ ایسا
خود حوصلہ بهی دیکه کے حیراں ہے سکینہ
تم دروں کی بارش میں بهی کرتی رہی سجدے
کتنا تمہیں الله کا عرفاں ہے سکینہ
ملتی ہے جہاں سے رضا بچوں کو بهی ہمت
وہ جرأت و ہمت کا دبستاں ہے سکینہ
batil ke muqabil me jo tufa'n h skina
q kar na ho bint e shahe marda'n hai skina
zhra ki tarah sah ke har ek drd hr ek gam
har gam welayt ki nigahba'n h skina
abbas pe qurban h ye sari khudai
tum pr magar abbas b qurba'n h skina
khilte hain jaha sbr aor isaar ke gunche
shbbeer ke ghr ka wo gulitsa'n h skina
rauze pe tere dast adab jod k bibi
islam b sharmindaye ehsa'n h skina
islam.pe gar saya kiye h teri chadar
sar pr tere saya kiye quraa'n h skina
isaro wafa sbr aor himmt ke falak pr
khursheed ke manind drakhsha'n h skina
islam ye kahta h meri jan hain shbbeer
shbbeer ye kahte h meri ja'n h skina
is chote se sin me h tera hausla aisa
khud hausla b dekh ke haira'n h skina
tum durru ki barish me b karti rahi sjde
kitna tumhe allah ka irfa'n h skina
milti h jaha se raza bchcho ko b himmt
wo himmto jur at ka dabista' n h skina
9.
Janab Hassnain Maroofi Sahab
shaakir bhi hai aabid bhi hai ezda,n hai sakeena
Shabbeer ke maqsad ki nigahba,n hai sakeena
Aiyoob sada dete hai,n meraaj se ghum ki
Zakhmo,n ke qabeele ki sulaima,n hai sakeena
10.
Janab Hamza Behlol Sahab
*islam pe har tar'h se* qurbaa.n hai sakina
Shabbir ke maqsad ki nigehban hai sakina
*jo*Shimr *se rokhsaar pe* khaye hain tamache, dukh dard chUpaye
Kis tarah se zinda pa e zindaaN hai sakina
......
Zaalim yuN firatE HAIN ke haantho me HAI rassi, bandha hai gala bhi
Har gaam musibat hai pareshan.n hai sakina
.....
Zainab ye kaha karti thi hai shah ki dukhtar , mat maar sitamgar
Sunle dile Shabbir ka armaa.n hai sakina
........
Kehta tha la'eeN dedo kanizi me sakina, dunga me khazeena,
SUN KAR SAR E DARBAAR ye....bejaa.n hai sakina
........
Dekha hai Jo bahelol ne gum ka hai WO Dariya , masoom sakina
Gum ke liye kafi hai ke uriyaa.n hai sakina
11.
Janab Altaf Maroofi Sahab
Har fikre bashar soch k haira'n hai sakeena
Kamsin hai magar Hafiz e Quraa'n hai sakeena
🕯
Islam ko milta hai sokoo'n god me sheh ki
Taskeen e dile sarwar e zeesha'n hai sakeena
🕯
*TAZMEEN*
Zainab ki tarah dil me liye Azm o iraade
Shabeer k maqsad ki nigehba'n hai sakeena
🕯
Chahe to chala aayega aagosh me kausar
Mutthi me liye qadr e solaima'n hai sakeena
🕯
Hai koyi ?? ShareeAt ko tamacho'n se bachaye ?
be saakhta sarwar ne kaha Ha'n hai sakeena
🕯
Ab sar wo kabhi ho nahi sakte hain barehna
Jinki bhi redaao'n ki nigehba'n hai sakeena
🕯
Bas zere kesa panjatan e pak nahi hain
Shabbeer k kirdaar me pinHa'n hai sakeena
🕯
Khoone Abutalib ka Asar dekh le Duniya
Shabbeer Mohammad hain to Imra'n hai sakeena
🕯
Jab Natiq e Qur'aan k seene ki makee'n hai
Fir Q na kahu'n sura e insa'n hai sakeena
🕯
Abbas k shane jo qalam hain to hua kya
Pakde huwe bay'At ka gareeba'n hai sakeena
🕯
Chaahe to abhi saltanat e zulm baha de
Aankho'n me liye nooh ka toofa'n hai sakeena
🕯
Sunne ko zoroor aayenge Abbas e dilawar
Altaf teri Nazm ka unwa'n hai Sakeena.